Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Kabarastan Main Qabar Ke Sarhaane Paththar Rakhna Kaisa????

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum, Jo Qabarastan Mein Kisi Ke Marne Ke Baad Hum Jo Sarke Paas Naam Ka Patthar Lagatey Hain Kisi Wahabi Nai Eteraz Kiya Ki Pathar Nahi Laga Saktey, Hadees Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmaye.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zaroorat Ke Waqt Yaani Qabr Ki Pahechan Nishan Wagairah Ke Liye Qabar Ke Sarhaane Paththar Rakhna Jaiz He Usme Koi Harj Nahi, Or Paththar Par Pahechan Ke Liye Naam Wagairah Bhi Likh Sakte He, Haañ Aam Muslimeen Ki Qabr Par Qura'ani Aayat Wagairah Na Likhe Ki Isme Be Adbi Ka Andesha He, 

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Huzure Akram  ﷺ Ne Hazrat Usman Bin Maz'aoon RadiAllahu Anhu Ki Qabar Par Paththar Nasb Farmaya Taakeh Us Paththar Ke Sabab Qabar Ki Pahchan Rahe Or Huzur ﷺ Ke Khandan Mubarak Se Wisal Farmane Wale Afraad Ko Us Qabar Ke Qareeb Dafan Kiya Jaye, Jaisa Ki Imam Dawood Ne Apni Sunan Me Jayyad Sanad Ke Sath Uski Takhreej Ki He.
*📚(Sunan Abi Dawood, Kitabul Janaaiz, J-2, S-101)*
*📚(Fatawa Razviya, J-25, S-422, Ruhul Madina Acadmy Software)*

Or Isi Tarah Jaa Al Haq Me He,
Mishkat Kitabul Janaiz Baabul Dafn Me Bariwayat Abu Dawood He Ki Jab Huzur ﷺ Ne Usman Ibne Maz'aoon Ko Dafan Faramaya To Unki Qabar Ke Sarhaane Ek Paththar Nasb Farmaya. Or Farmaya Ki Ham Isse Apne Bhai Ki Qabar Ka Nishaan Lagayeñge  Or Usi Jagah Ahle Bayat Ke Murdoñ Ko Dafn Kareñge.

Bukhari Kitabul Janaaiz Baabul Jareed Alal Qabr Me Ta'aleeqan He Hazrat Khaarja Farmate Hai, Ham Zamana Usman Me The, Ham Me Bada Kud Ne Wala Vo Tha Jo Ki Usman Ibne Maz'aoon Ki Qabar Phalaang Jata.

Mishkat Ki Riwayat Se Ma'aloom Huva Ki Usman Ibne Maz'aoon Ki Qabar Ke Sarhaane Paththar Tha Or Bukhari Ki Is Riwayat Se Ma'aloom Huva Ki Khud Hazrat Usman Ka Taweez Us Paththar Ka Tha, Or Dono Riwayaat Is Tarah Jama'a Ho Sakti He Ki Mishkat Me Jo Aaya Ki Qabar Ke Sarhaane Par Paththar Lagaya Iske Ma'ana Ye Nahi He Ki Qabar Se Alaahida Sar Ke Qareeb Khada Kar Diya Tha, Balki Matlab Ye He Ki Khud Qabar Me Hi Sar Ki Taraf Usko Lagaya. Ya Matlab Ye Ki Saari Qabar Us Paththar Ki Thi Magar Sarhaane Ka Zikr Kiya. In Dono Ahaadis Se Ye Sabit Huva Ki Agar Kisi Khas Qabar Ka Nishan Qaayam Rakhne Ke Liye Qabar Kuchh Unchi Kardi Jaye Ya Patthar Ki Wagairah Se Pukhtaar Kardi Jaye To Jaiz He Taakeh Maloom Ho Ki Ye Kisi Buzurg Ki Qabar He.
*📚(Jaa Al Haq, Hissa-2, Safha-230)*

Or Sharah Mishkaat Me He,
Aam Qabroñ Par Jahañ Ehtiyaat Na Ho Sake Allah Ka Naam Ya Qura'an Ki Aayat Likhna Mana'a He Ki Isme Be Adbi Ka Qawi Ehtemaal He, Log Bhi Guzar Jate Hai, Wahañ Janwar Bhi Guzarte Hai, Khawas Ke Mazaarat Jahañ Unki Be Adbi Ka Ehtemaal Na Ho Vahañ Jaiz He. Mirqaat Me He Ki Ba'az Aulma Farmate Hai Qabr Par Mayyat Ka Naam Or Tarikhe Wafat Likhna Sunnat He Or Likhne Ki Mumane'at Ki Hadees Mansookh He, Jaisa Ki Haakim Je Farmaya Ye Tamam Gufatagu Qabr Ke Ta'aweez Par likhne Me He, Agar Qabar Ke Sarhaane Paththar Khada Kiya Jaye Us Par Kuchh Likha Jaye To Bila Karaahat Jaiz He.
*📚(Miraatul Manajeeh Sharah Mishkaatul Masabeeh, J-2, S-518)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️1 July 2020, 9 Zilqad 1441*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Post a Comment

0 Comments