*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Kya Koi Jinnat Me Bhi Sahaba Guzre
/
Jawab Inayat Farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jinnato Me Sahaba E Kiraam Bhi Guzre He Or Rasoole Qaainat ﷺ Par Apni Jaañ Nichaawar Karne Wale Aashiqe Rasool Jinnat Me Bhi Guzre He, Jis Raat Ke Bare Me Qura'an Shareef Me Allah Tabarak W Ta'ala Ne Zikr Farmaya Us Raat Me RasoolAllah ﷺ Ke Paas Qura'an Shareef Sunne Ke Liye Taqreeban 900 Ya 950 Ke Qareeb Jinnat Musalman Tashreef Laaye The, Aap ﷺ Ki Mubarak Zuban Se Qura'an Shareef Suna Aapke Hatho Par Bay'at Ki, Or Aapke Sachche Aashiq Bane Rahe.
Allama Faiz Ahemad Owaisi Sahab Alaihir Rahmat Ne Apni Kitab Me Un 950 Jinnat Sahabiyoñ Me Se 3 Jinnat Ke Zinda Hone Ke Bare Me Darj Farmaya, Or Vo Jinnat Jo 950 Me The Unmese Ek Afganistan Me The Jo Taqreeban Aaj Se 30 Saal Pahle Ki Riwayat Bayan Ki Jati He,
Algarz Jinnatoñ Me Musalman Aadil Usi Tarah Aashiq Or Sahaba E Kiram Allah Ke Awliya Buzurgane Deen Farma Bardaar Jinnat Bhi Guzre He,
Rab Tabarak W Ta'ala Ne Qura'an Majeed Me Irshad Farmaya,
وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ.
*📚(Surah Zariyaat, Surah Number-51, Aayat-56)*
Yaani Ham Ne Jinn Or Insan Ko Ibadat Ke Kiye Paida Kiya,
Is Aayate Kareema Me Jinnat Bhi Insanoñ Ki Tarah Muqallaf He.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️12 July 2020, 20 Zilqad 1441*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments