بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 28 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Naakhun Kaatne Ka Tariqa Aur Masa’il ⁀➷ ─≽ Naakhun Kaatne Ka Sunnat Tariqa: Ye Hai Ki Sab Se Pehle Daahene Haath Ke Kalma Ki Ungli Se Shuru Kare Aur Sab Se Chhoti Ungli Tak Kaate. Phir Baae Haath Ki Sab Se Chhoti Ungali Se Shuru kare Aur Anguthe Par Khatam Kare.Phir Sab Se Baad Mein Daahene Haath Ke Anguthe Ka Naakhun Kaate. ─≽ Pair Mein Daahene Paao Ki Sab Se Chhoti Ungli Se Shuru Kare Aur Angutha Par Khatam Kare.Phir Baae Pair Ke Anguthe Se Shuru Kar Ke Sab Se Chhoti Ungli Tak Kaate. ─≽ Mas’ala:- Daant Se Naakhun Nahi Kaatna Chaahiye.Kyunki Ye Makruh Hai Aur Aisa Karne Se Safeed Daag ki Bimaari Paida Hone Ka Darr Hai. ⚠Note:-Kuchh Log Saare Nakhun Kaat Lete Hain Aur kisi Ek Naakhun Ko Chhod Dete Hain.Ye Huzur Aur Sahaba Ka Tariqa Nahi hai. os Liye Musalmano Ke Liye Aisa Karna Munasib Nahi hai. |
Share on |
0 Comments