بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 46 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Salam Karne Ka Bayan ⁀➷ ─≽ Mas’ala:- Jab Bhi Kisi Se Mulaqat Ho To Pehle Salam Karna Chahiye Phir Koi Baat.Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Farmaya ki:Jab Koi Shakhs Apne Bhai Se Mile To Pehle Salam Kare.Phir Un Dono Ke Bich Kisi Darakht Ya Diwar Ki Wajah Se Parda Ho Jaae Aur Phir Mile To Phir Salam Kare. 📒(Abu Dawood,Hadees No.5200) ─≽ Mas’ala:- Jab Bahut Saare Log Baithe Ho Aur Un Ke Paas Koi Aa Kar Salam Kare To Baithe Hue Logon Mein Se Ek Shakhs Ka Jawab De Dena Kafi Hai. 📕(Abu Dawood,Hadees No.5209) ─≽ Masa’ala:- Jab Koi Shakhs Ghar Mein Daakhil Ho To Use Chahiye Ki Woh Apne Ghar Walo Ko Salam kare.Hazrat-e-Anas radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki :Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Mujh Se Farmaya Ki: Bete! Jab Tum Apne Ghar Walo Ke Paas Jaao To Unhein Salam Karo. is Ki Wajah Se Tum Par Aur Tumhare Ghar Walo Par Barkat Hogi. 📝(Tirmizi,Hadees No.2698)📘 |
Share on |
0 Comments