بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 45 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Salam Karne Ka Bayan ⁀➷ ─≽ Mas’ala:- Har Musalman Ko Chahiye Ki Woh Pehle Salam Karne Ki Koshish Kare.Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Farmaya Ki : Allah Ta’ala Ke Zyada Qareeb Woh Shakhs Hai Jo Pehle Salam Karta Hai. ✍(Abu Dawood,Hadees No.5197)📕 ─≽ Mas’ala:- Salam Sirf Jaan Pehchan Ke Logon Hi Ko Nahi Balki Sab Se Salaam Karni Chahiye,Woh Umar Mein Chhota Ho Ya Bada,Ameer Ho Ya Garib.Ek Shakhs Ne Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Se Puchha Ki Ya Rasollah Sallallaho alaihe Wasallam! Sab Se Achchha Musalman Kaun Hai? To Aap Sallallaho alaihe Wasallam Ne Farmaya Ki Woh Jo Khana Khilaye Aur Sab Se Salaam Kare Jise Pehchanta Ho Us Ko Bhi Aur Jise Nahi Pehchanta Ho Us Ko Bhi. ✍[Sahi Bukhari,Hadees No.28]📒 |
Share on |
0 Comments