Hazrat Sayyed Aale Rasool Hasnain miyan urfe Nazmi miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Sayyed-e-Millat.
****************
Aap ki wilaadat 6 Ramazaan 1365 Hijri (14 August 1946 A.D.) ko Kasganj (Uttar Pradesh) me hui.
****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Shaah Aale Mustafa bin Sayyed Aale Ibaa Basheer Haidar Barkaati rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Qaisar Jahaan Begum binte Sayyed Aale Habeeb hai.
Aap Husaini saadaat hain.
****************
Aap ne ibtidaai ta’aleem Madrasa Qaasim-ul-Barkaat me haasil ki.
Haafiz Abdur Rahmān urfe Haafiz Kalloo Marehrawi se Qur’an majeed ki aur Ahsan-ul-Ulama Sayyed Shaah Mustafa Haidar Hasan Miyan Barkaati Marehrawi rahmatullāhi alaihi se Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
Phir Aap apne waalid Hazrat Sayyed-ul-Ulama ke saath Mumbai aaye aur Hashmiya High School me ta’aleem haasil ki.
Saath me apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil karte rahe.
1378 Hijri (1958 A.D.) me Aap Marehra waapas aaye aur M.G.H.M. Inter College, Marehra me padhaai puri ki.
Phir Delhi jaakar Jaamiya Milliya Islaamiya me Isslaami Uloom me S.A. ki degree haasil ki.
Phir UPSC ke Indian Information Service (IIS) imtihaan me kaamyaabi haasil ki.
Aap ne Indian Institute of Mass Communication (IIMC), Delhi me Basic Course in Media Operations ki ta’aleem bhi haasil ki.
****************
1373 Hijri (1953 A.D.) me Aap (apne waalid) Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Shaah Aale Mustafa rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
1378 Hijri (1958 A.D.) me Hazrat ne Aap ko khilaafat ata farmai.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1393 Hijri (1973 A.D.) me Aap ka nikaah Sayyeda Aamena Sultaana se hua.
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Sayyed Sibtain Haidar,
(2) Sayyed Safi Haidar,
(3) Sayyed Zulfiqaar Haidar
****************
1406 Hijri (1985 A.D.) me Aap ne apni waalida aur saas ke saath Hajje Baitullāh ada kiya.
Waapas aane ke baad Aap ne apni kitaab ‘Madaa'ih-e-Mustafa’ (Na’at ka majmua) likhi.
Aap ne 1414 Hijri (1994 A.D.) me aur 1417 Hijri (1997 A.D.) me bhi Hajje Baitullāh ki sa’adat haasil ki.
Aap ne apni tasannif aur ta’aleemaat se Ahle Sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat farmai hai.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Kalaam-ur-Rahmān (Kanz-ul-Eimaan wa Khazaa'in-ul-Irfaan ka Hindi Tarjuma [अनुवाद])
(2) Mustafa Jaan-e-Rahmat (Sirat mubarak-e-Huzoor Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam)
(3) Kya Aap Jaante hain? (Islaami ma’aloomaat) (Urdu / Hindi)
(4) 73 me Ek
(5) Mustafa se Aale Mustafa tak
(6) Mustafa se Mustafa Raza tak
(7) Mustafa se Mustafa Haidar Hasan tak
(8) Asraar-e-Khandaan-e-Mustafa
(9) Qur’ani Namaaz ba-muqaabala Microphony Namaaz (Urdu /Hindi)
(10) Fazl-e-Rabbi (Urdu /Hindi)
(11) Zibh-e-Azeem
(12) Ghar aangan Meelaad (Aurto ke Meelaad ke liye)
(13) Sharh Qaseeda Burdah (Urdu / Hindi /English).
English :
(1) Nazm-e-Ilāhi (English Commentary [Tafseer] on Surah al-Baqarah, jo Britain aur Malawi ke kai madaaris ke syllabus me saamil hai.)
(2) The way to be
(3) Islaam the Religion Ultimate
(4) Destination Paradise
(5) The Great Beyond
(6) Gateway to Heaven
(7) In Defence of A’ala Hazrat
(8) In Defence of Sab’e Sanaabil
(9) Kitaab-us-Salaat.
Aap ki likhi hui Na’at shareef ki kai kitaaben mash'hoor hain :
(1) Shaan-e-Naa’t-e-Mustafa
(2) Mada'ih-e-Mustafa
(3) Tanweer-e-Mustafa
(4) Irfaan-e-Mustafa
(5) Nawaazish-e-Mustafa
(6) Ba’ad az Khuda.
****************
Aap (apne waalid) Hazrat Sayyed-ul-Ulama Sayyed Shaah Aale Mustafa rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Sayyed Hasan Miyan rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Sayyed Shaah Habeeb Miyan rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aur ‘Qaadri Brkaati’ silsila ke shaikh han.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Uwais Zaidi
(2) Hazrat Mohaddeeṡ e kabeer Allama Zia-ul-Mustafa Ghausi
(3) Hazrat Sayyed Shaah Husain Sultanpuri
(4) Hazrat Maulana Muhammad Shaakir Noori.
****************
Kuchh din beemaar rehne ke baad Aap ka wisaal 1 Moharram 1435 Hijri (1 November 2013 A.D.) ko Mumbai me hua.
Aap ke jisme aqdas ko hawaai jahaaz se Marehra shaeef laaya gaya.
Aap ki namaze janaaza aap ke bade saahabzaade Maulana Sayyed Sibtain Haidar ne padhaai.
Aap ka mazaa Marehra (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Aale Rasool Hasnain urfe Nazmi miyan Barkaati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments