*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Wa Rahmat Ullahi Wa Barkatuh
Muharram Ke Din Laal(Red), Hara(Green), Ya Kala(Black) Rang Ke Kapde Ya Kurta Pehenna Kaisa??
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Ayyame Muharram Me Yaani Pahli Muharram Se Barhviñ (12) Tak 3 Qism Ke Rang Na Pahne Jayeñ, Siyah Ke Ye Rafziyoñ Ka Tareeqa He Or Sabz Ki He Mubtadaeen Yaani Taziya Daroñ Ka Tareeqa He Or Surkh Ki Ye Kharjiyoñ Ka Tareeqa He, Ki Vo Ma'azallah Izhare Masarrat Ke Liye Surkh Pahante Hai.
*📚(Bahare Shariyat Application, J-16, S-59)*
Fatawa Hindiya Me He,
Matam Ki Wajah Se Siyah (black) Libas Pahanna Haram He.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-333, Noorani Kutub Khana Peshavar)*
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Ayyame Muharram Shareef Me Sabz (Green) Libas Jis Tarah Jahiloñ Me Murawwaj He Najaaiz W Gunah He. Or Ooda Ya Neela Ya Abi Ya Siyah (black) Or Badtar He. Ki Rawafiz Ka Shuaar Or Unki Tashbah He Is Tarah In Ayyam Me Surkh (laal/red) Bhi Naasbi Khabees Ba Niyyat Khushi W Shadi Pahante Hai.
*📚 (Fatawa Razviya Jadeed, J-22, S-180)*
Or Aage Farmate Hai,
Muharram Me Sabz Or Siyah Kapde Alamate Sog (Mourning/Sadness) Hai Or Sog Haram He Khusoosan Siyah Ki Shuaare Rawafiz Libas He.
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-24, S-746)*
Lihaza Ayyame Muharram Me In 3 Rango Ko Na Pahna Jaye.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓23 Aug 2020, 3 Muharram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments