Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-06

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 6

➡ Jihad Quran Ki Roshni Me

🔸Allah Ta'ala Qura'n Me Irshad Farmata Hai: 

Tarjuma:- Aur Allah Ki Raah Me Un Se Lado Jo Tumse Ladte Hai Aur Had Se Na Badho, Allah Had Se Badhne Walo (Zulm Va Sitam Karne Walo) Ko Pasand Nahi Karta.
(Para 2,  Aayat 190) 

🔸 Islam Ke Jihad Ko Samajne Ke Liye Pehle Tin (3) Bato Ko Yaad Rakhna Zaroori Hai. 
1) Kis Maksad Ke Liye. 
2) Kiske Sath. 
3) Aur Kin Pabandiyo Aur Kin Sharto Ke Sath. 

🔸 Is Aayat Me In Tino (3) Bato Ko Bilkul Saaf Taur Par Bayan Kar Diya Gaya Hai Balke Agar Gaur Va Fikr Se Kaam Liya Jaye To Isi Aayat Se Aatankwad Aur Zulm Va Fasad Ka Hukm Itne Vazeh Andaz Me Dekhne Ko Mil Jata Hai Ke Kisi Dusri Aayat Ko Dalil Banane Ki Zaroorat Hee Nahi Reh Jati.  

🔸 Jihad Ka Maksad Kya Hona Chahiye? Yani Kis Chiz Ki Khatir Jihad Kiya Jana Chahiye? Kis Chiz Ko Hasil Karne Ke Liye Jihad Kiya Jaaye? To Aayat Se Jawab Milta Hai "Fee Sabilillah" Yani Allah Ki Raah Me Haq Ki Sarbalandi Ke Liye, Haq Ke Paigam Ko Har Jagah Aam Karne Ke Liye, Amn Va Amaan Kayam Karne Ke Liye, Vatani Ya Nasli Dushmani, Karobari Ranjishe, Apni Taqat Ki Numaaish, Islam Ke Jihad Ka Maksad Hargiz Nahi Ho Sakti. 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 

Post a Comment

0 Comments