Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-07

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 7

➡ Jihad Quran Ki Roshni Me

🔹 Jihad Ka Dusra Nihayat Aham Pahlu Ye Hai Ke Jihad Kin Logo Ke Sath Hona Chahiye? Yani Kisi Shahar Ke Aam Logo Ke Sath Bhi Kya Jihad Kiya Jayega Ya Sirf Dushman Ki Fauj Ke Sath? Iske Jawab Me Aayat Kehti Hai AL-LAZINA YUQATILUNAKUM Yani Sirf Unke Sath Jihad Hona Chahiye Jo Tumse Ladte Ho. Jinka Maksad Islam Aur Musalmano Ki Tabahi Ho. 

🔹 Islam Ki Talwar Un Logo Ke Liye Zaroor Tez Hai Jo Islam Aur Musalmano Ko Mitane Ki Koshish Karte Hai. Jo Allah Ta'ala Ki Zameen Me Fasad Paida Karte Hai, Fitne Felate Hai. Lekin Koi Aqalmand Ye Baat Nahi Keh Sakta Ke Islam Agar Aisa Karta Hai To Galat Karta Hai. Jo Log Ye Kehte Hai Ke Islam Ki Isha'at (Felane) Me Talwar Ka Koi Hissa Nahi To Shayad Vo Galti Par Hai. Islam Ki Isha'at Me Talwar Ka Hissa Hai Lekin Sirf Utna Hee Jitna Ke Jism Ke Kharab Hisse Ko Nikalne Me Kechi (Scissors) Aur Dusre Saman Ka Hota Hai. 

🔹 Jis Tarah Jism Ke Kharab Hisse Ko Nikale Bagair Jism Ki Sehat Namumkin Ho Jati Hai Usi Tarah Kisi Mazhab Ki Tablig Va Isha'at Us Waqt Tak Namumkin Hai Jab Tak Usko Rah Ke Tamam Kanto Aur Gandgiyo Se Saf Na Kar Liya Jaye. Lekin Jo Log Zalim Nahi Hai, Jo Log Islam Ko Mitana Nahi Chahte Jinka Maksad Khuda Ki Makhluq Ke Amno Aman Ko Gaarat Karna Nahi, Vo Chahe Hindu Ho Ya Isai, Unke Aqaaeed Kitne Hee Bure Kyu Na Ho, Unke Mazhab Ki Buniyad Kitne Hee Kamzor Sutoono Par Kyu Na Qayam Ho Bahar Hal Islam Unhe Taklif Pahochane Se Mana Karega. 

🔹 Isi Tarah Traino Ke Musafir, Mandiro Ke Pujari, Bazaro Me Kharidari Karne Wale, Jo Kisi Islami Mulk Ko Tabah Karne Ke Irade Se Gharo Se Nahi Nikle The, Jinka Maksad Musalmano Ke Sath Jung Karna Nahi Tha Unko Taklif Pahochana Usi Tarah Najaiz Hai Jis Tarah Kisi Musalman Ko Taklif Pahochana Najaiz Hai. 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 


Post a Comment

0 Comments