ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 12
➡ Jihad Quran Ki Roshni Me
🖌 Ab Aaiye Ek Najar me Un Aayato Ko bhi Mulahiza Kiya Jaye Jo Aatankwad, Julm va Fasad Aur Qatl va Garatgiri Ke Bare Me Allah Ta'ala Ne Apne Mehboob Rasool ﷺ Par Nazil Ki !
📌 Ek Jagah Is Tarah Farmaya Gaya :
Tarjuma:- "Aur Jab Woh Haakim Banta Hai To Zamin Me Fasaad Failane Ki Koshish Karta Hai ! Aur Faslo Aur Jaano Ko Tabah Karta Hai ! Aur Allah Fasaad Ko Hargiz Pasand Nahi Karta !"
( Surah Baqrah Para 2, Aayat 205)
📌 Dusri Jagah Is Tarah Irshad Farmaya :
Tarjuma:- "Un Had Se Guzarne Walo Ki Itteba' Na Karo Jo Zamin Me Fasad Failate Hai Aur Islah Nahi Karte !"
( Surah Sho'ara Para 19, Aayat 151-152)
📌 : Kabhi Iss Taur Par Fasad Se Mana Kiya Jata Hai :
Tarjuma:- "Aur Zamin Me Fasad Na Chah ! Beshak Allah Ta'ala Fasadiyo Ko Pasand Nahi Karta"
( Surah Kisas Para 20, Aayat 77)
📌 Yun Bhi Irshad Huva :
Tarjuma:- "Aur Zamin Mai Fasad Machate Mat Firo !"
( Surah Aaraf Para 8, Aayat 74)
➡ Mazmoon Jaari Rahega.....
0 Comments