ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 11
➡ Jihad Quran Ki Roshni Me
⚡ Ab Jo Allah Va Rasool ﷺ Ke Hukm Ke Khilaf Aatankwaad Aur Lootmar Ko Apni Zindagi Ka Maksad Bana Le To Goya Vo Allah Aur Uske Rasool ﷺ Ke Khilaf Elan E Jung Kar Raha Hai. In Logo Ko Islam Apni Society Me Hargiz Bardasht Nahi Kar Sakta. Balke Islam To Inke Zulm Va Tashaddud Ki Saza Dene Ka Apne Man Ne Walo Ko Hukm Deta Hai. Mumkin Hai In Aatankwadiyo Ke Sath Narmi Karna Kisi Mazhab Me Reham Ho, Lekin Islam Ke Nazdik Zalim Ke Hath Se Zulm Ki Talwar Chin Lena Aur Uske Zalim Hath Ko Kat Dalna Hee Rehmat Hai. Take Fitna Va Fasad Ka Darwaza Hamesha Ke Liye Band Ho Jaye.
⚡ Fasad Ki Ek Mukmmal Tarif Qur'an E Karim Me Is Tarah Ki Gai Hai Ke Un Ta'alluqat Ko Kharab Karna Aur Un Rishto Ko Todna Jo Hakikat Me Ek Achhi Society Ke Liye Utne Hee Aham Hote Hai Jitne Kisi Achhi Imarat Ke Liye Uski Buniyad. Chunanche Qur'an Me Farmaya Gaya:
Tarjuma:- Aur Jo Log Un Rishto Ko Todte Hai Jinke Jodne Ka Hukm Allah Ta'ala Ne Diya Hai Aur Zameen Me Fasad Felate Hai Unhi Par Khuda Ki Laanat Hai Aur Unhi Ke Liye Bura Ghar Yaani Jahannum Hai.
📚( Para 13, Surah Ra'ad, Aayat 25)
⚡ Aayat Me Jin Rishto Ke Todne Ka Bayan Huva Unse Vo Taman Jaeez Rishte Murad Hai Jo Society Aur Samaj Ke Aitbaar Se Logo Me Kayam Hote Hai. Misal Ke Taur Par Aziz Aur Rishtedar, Miya Biwi, Dost, Padosi , Len-Den, Karobari Mamle, Ahad Va Paiman Aur Aapsi Etemad Ke Ta'alluqat Etc.
⚡ Alag Alag Mulk Aur Hukumat Ke Ta'alluqat. Chunke Yahi Ta'alluqat Behatarin Society Ki Buniyad Hai. Inhi Ke Salamat Rehne Par Duniya Ke Aman Aur Khush-hali Ka Daromadar Hai Aur Inhi Ta'alluqat Ki Kharabi Duniya Me Jagde Aur Fasad Ka Sabab Ban Jati Hai. Isi Liye Allah Ta'ala Ne Inko Todne Ko Fasad Ka Naam Diya Hai Aur Fasadiyo Par Laanat Farmayi Hai.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.........
0 Comments