ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 13
➡ Jihad Quran Ki Roshni Me
💠 Yaha Tak Hamne Koshish Ki Ke Aatankwaad Aur Julm Va Fasad Ke Hukm Ko Qur'an Se Aayato Ko Nikalne Ki Maang Karne Vaalo Ko Kuch Samaj Haasil Ho Sake ! Lekin Ek Najar 1400 Saal Pahele Ke Jung Ke Tariko Par Bhi Daalna Behtar Malum Hota Hai Jis Waqt Yah Qur'an Ke Hukm Logo Ko Sunaye Gaye !
💠 Chunki Yah Ek Fitri Baat Hai Ki Jab Tak Insaan Ko Taklif Ka Ehsaas Na Ho Use Aaram Ki Kimat Malum Nahi Hoti ! Jab Tak Pyaas Ki Khuski Gale Me Chubhan Paida Na Kar De Pani Ki Qadar Mehsoos Nahi Hoti ! Kyunki Hamesh Ujaalo Me Rahene Vali Zindagi Andhero Ki Ghutan Se Navafik Hoti Hai !
💠 Isi Tarah Hamne Jo Aayate Yaha Aap Ke Saamne Pesh Ki Hai Shayad wo Aap Ke Dil Me Jyada Asar na Kar Paayi Ho Kyunki Abhi Aap Ko Us Waqt Ke Jung Ke Vahsiyana Aur Darindana Tariko Ki Malumaat Nahi Hai Lijiye Ham Aap Ke Samne Us Waqt Ki Sabse Badi Mani Jane Wali Qaumo Ke Tarik-E-Jung Aur Mujrimo Ke Saath Unke Sulooq Ke Baare Me Kuch Tarikhi Vaqiyat Sunate Hai Jisko Sunne Ke Baad Yaqinan Aap ko Islam Ki Sachhi Tasvir In Aayato Me Dekhne Ko Milegi !
💠 Aap Khud Andaza Karege Ki Us Waqt Me Agar Kisi Mazhab Ne Insaniyat Ka Parcham Apne Haatho Me Liya Tha To Vah Islam Hi Tha.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.....
0 Comments