ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 14
➡️ Arab Ka Tasvvure Jung
🔲 Jung Ka Elaan Sunte Hi Talvaar, Neze Lekar Daud Padna Arbi Society Ka Ahem Farz Tha Aur Yeah Sawal Karna Ki Yeah Kis Maqsad(Purpose) Ke Liye Ki Ja Rahi Hai Kisi Haram Kaam se Kam Na Tha !
🔲 Ek Bahadur Arab Ki Badi Se Badi Tamnna Yahi Hoti Thi Ki Har Tarah Usko Dusro Par Fazilat Haasil Rahe ! Wo Jisko Chahe Qatl Kar De, Koi Usse Khoon Ka Inteqam Na Le ! Jo Libaas wo Pehne Koi Dusra Use Na Pahene ! Arab Ki Taarikh Me zyada Tar Khatarnak Ladkiya Sirf Ek Dusre Ko Nicha Dikhane Ko Lekar zara zara Si Baato Par Shuru Huyi Or Sadiyo(सदियो) Tak Ek Dusre Ki Naslo Ko Bhuke Sher Ki Tarah Khati Rahi !
🔲 Ek Mashoor Jung Jo Bani Taglab Aur Bani Bakr Bin Vaail(वाइल) ke Darmiyan Pure Chaalis Saal Tak Jari Rahi Sirf Itni Chhoti Baat Par Huyi Thi Ke Bani Taglab Ke Sardar Kalib Bani Rabia(रबीआ) Ke Charagaah Me Bani Bakr Bin Vaail(वाइल) Ke Ek Mehman Ki Utni(ऊँटनी) Ghus Gai Aur Uske Unto(उँटो) Ke Saath Charne Lagi.
🔲 Kabile Ke Sardar Ka Niyam(Rules) Ye Tha ki wo Apni Charagaah Me Na Kisi Ke Jaanvar Ko Charne Deta Tha Na Apne Jaanvaro Ke Saath Dusro Ke Janvaro Ko Pani Pine Deta Tha ! Usne Gusse Se Unto(उँटो) Ke Than Par Tir Maar Diya ! Is par Bani Bakr Ke Ek Naujawan Ne Kalib Ko Qatl Kar Diya! Kalib ke Bhai Ko Jab Iski Khabar Huyi To Wo Apne Bhai Ka Inteqam (Revenge) Lene Khada Ho Gaya ! Fir Kya Tha Dono Giroho Me Aesi Sakht Jung Huyi Jo Chaalis Saal Tak Jaari Rahi Aur Dono Ko Tabah Kar Diya.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.....
0 Comments