Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-20

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 20

➡️ Khoone Insani Ki Hifazat

📌 Kisi Shaher Ya Mulk Ki Kamyabi Usi Waqt Mumkin Hai Jab Vaha Amno Amaan Ho. Varna Har Insan Khub Samaj Sakta Hai Ke Jab Insan Ke Khoon Ki Koi Kimat Na Ho Us Ki Koi Izzat Na Ho. Uski Hifazat Ka Koi Zimmedar Na Ho To Koi Jama'at Kis Tarah Aapas Me Karobar Kar Sakti Hai. Mohsin E Insaniyat Huzur ﷺ Apni Zindagi Ke Aakhari Lamhat Tak Khoon e Insani Ki Hifazat Ki Talkin Karte Rahe. 

📌 Chunanche Irshad Farmaya:

Tarjuma:- Bade Gunaho Me Sabse Bada Gunah Allah Ke Sath Shirk Karna, Kisi Jaan Ko Halak Karna Aur Maa Baap Ki Nafarmani Karna Aur Jhoothi Shahadat Dena Hai.
( Kanzul Ummal, Jild 1, Safah 350) 

📌 Hazrat Ibne Umar Radiyallahu Ta'ala Anhu Se Riwayat Hai Ke Huzur ﷺ Ne Farmaya:

Tarjuma:- Momin Apne Deen ke Felav Me Us Waqt Tak Barabar Rehta Hai Jab Tak Vo Kisi Begunah Ka Khun Nahi Karta.

📌 Aur Ek Jagah Irshad Farmaya:

Tarjuma:- Qayamat Ke Din Bande Se Jis Chiz Ka Sabse Pehle Hisab Liya Jayega Vo Namaz Hai Aur Pehli Chiz Jiska Fesla Logo Ke Darmiyan Kiya Jayega Vo Khoon Ke Daave Hai.

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 

Post a Comment

0 Comments