ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 21
➡️ Khoone Insani Ki Hifazat
🖊 Huzur ﷺ Khoonrezi Aur Ladai Ko Khud Napasand Karte The. Aap Khud Chahte The Ke Jung Ki Naubat Na Aaye. Lekin Jab Fitna Dabane Ke Liye Talwar Ke Alawa Aur Koi Rasta Na Rehta Tab Aap Iski Ijazat Dete. Isliye Aapne Irshad Farmaya:
Tarjuma:- Dushman Se Mulaqat Ki Tamanna Mat Karo. Balke Allah Se Aman Va Aafiyat Ki Dua Kiya Karo. Magar Jab Dushman Se Mulaqat Ho Jaye To Phir Jam Kar Lado Aur Jaan Lo Ke Jannat Talwaro Ke Saye Tale Hai. ( Yani Kisi Ko Chhedo Mat Lekin Jab Vo Chhede To Chhodo Mat )
( Kanzul Ummal, Jild 2, Safah 277 )
🖊 Aapne Jung Ki Ijazat To Di Lekin Sirf Raza E Ilahi Ki Khatir. Apni Taaqat Ka Tamasha Dikhane Ya Sirf Apne Fayde Ke Liye Nahi Jesa Ke Khud Aapne Farmaya:
Tarjuma:- Ladai 2 Kism Ki Hai Jis Shaksh Ne Sirf Allah Ki Raza Ke Liye Ladai Ki Aur Usme Imam Ki Ita'at Ki, Apna Behtarin Maal Kharch Kiya Aur Fasad (Aatankwaad) Se Parhez Kiya Uska Sona Jagna Sab Sawab Hai. Lekin Jisne Duniya Ke Dikhave, Shoharat Aur Naamwari Ke Liye Jung Ki Aur Usme Imam Ki Nafarmani Ki Aur Zameen Me Fasad (Aatankwaad) Felaya To Vo Bilkul Na Chhutega Yani Ulta Azab Me Giraftar Hoga.
( Kanzul Ummal, Jild 2, Safah 281 )
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments