Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-27

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 27

➡️ Islam Ka Tarika E Jung

⏭  Loot Maar, Tabahkari Ki Rok  ⏮

☑ Hazrat Abu Bakr Siddique Radiyallahu Ta'ala Anhu Ne Sham Va Iraq Ki Taraf Fauj Bhejte Waqt Jo Hidayate Ki Thi Unme Ye Bhi Thi Ke  Bastiyo Ko Veeran Na Karna, Fasalo Ko Kharab Na Karna, Phaldar Darkhto Ko Na Katna. 

☑ Ahle Arab Jab Jung Ki Taraf Nikalte The To Khub Hangama Karte, Raste Me Jo Milta Use Pareshan Karte, Charo Taraf phel Jaate, Jung Me Lasho Ke Naak Kaan Kat Dalte. Lekin Huzur ﷺ Ne In Tamam Harkaat Se Baaz Rehne Ki Sakht Taaqid Farma Di. 

➡ Chunanche Ek Mauke Par Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya:

☑ "Jo Koi Manzil Ko Tang Karega ( Yani Charo Taraf Fel Jayega) Ya Raahgiro Ko Lootega Uska Jihad Nahi Hoga. 

♻ Jung Me Shor o Hangama Ke Baare Me Abu Musa Ash'ari Se Riwayat Hai:

☑ Abu Musa Ash'ari Kehte Hai Ke Ham Huzur ﷺ Ke Saath The Aur Jab Kisi Waadi Par Pahuchte To Khub Jor Shor Se Nara-e-Taqbeer Kehte. Is Par Huzur ﷺ Ne Farmaya Ke Aye Logo Waqar Ke Saath Chalo. Jisko Tum Pukar Rahe Ho Vo Na Behra Hai Na Gayab Hai. Vo To Bahot Hee Kareeb Hai. 
( Kanzul Ummal, Jild 2, Safah 350) 

♻ Dushman Ki Laasho Ke Saath Galat Harkat Karne Ke Baare Me Abdullah Bin Yazid Se Riwayat Hai:

☑ "Huzur ﷺ Ne Loot Ke Maal Aur Laasho Ke Uzv (Ang) Kaatne Se Mana Farmaya."
( Kanzul Ummal, Jild 2,Safah 350 ) 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 


Post a Comment

0 Comments