Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-35

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 35

♦ Jung E Uhad Me Huzur ﷺ Ke Chehra E Paak Par Abdullah Bin Kumayya Ne Esi Talwar Mari Jis Se Aapke Chehre Se Khoon Behne Laga. Hazrat Talha Radiyallahu Ta'ala Anhu Aap Ko Bachane Ke Liye Talwar Ke Vaar Hath Se Rokte Rahe. Jis Se Unka Ek Hath Kat Kar Gir Gaya. Jung Ke Khatm Hone Ke Baad Kuraish Ki Aurto Ne Jung e Badr Ki Haar Ke Inteqam Me Musalman Shaheedo Ke Naak-Kaan Kat Dale. Abu Sufiyan Ki Biwi Jo Ke Baad Me Musalman Ho Gai Thi Hazrat Hamza Radiyallahu Ta'ala Anhu Ka Kaleja Nikal Kar Chaba Liya. 

♦ Batao Iske Baad Bhi Zulm Ki Koi Aur Had Hai? Dushmano Ne Musalmano Ki Laasho Tak Ke Sath Darindana Sulook Kiya. Magar Islam Ne Iske Bawajood Iski Ijazat Nahi Di. Balke Loot, Khasoot Aur Badan Ke Hisse Katne Ko Huzur ﷺ Ne Mana Farma Diya. 

♦ Ab Aaiye Ek Nazar Sulah Hudaibiya Ke Waqiye Par Bhi Dalte Chale. Jisko Padhne Ke Baad Aap Khud Andaza Laga Lenge Ke Huzur ﷺ Ne Apni Taraf Se Kabhi Bhi Sakhti Ko Jaiz Nahi Samja. Musalmano Aur Ahle Makka Ke Bich Jo Sulah Hui Thi Uski Kuch Sharte Is Tarah Thi. 

➡️ Musalmaan Is Saal Bagair Umrah Kiye Laut Jayenge. 

➡️ Agle Saal Aayenge Aur 3 Din Se Zyada Nahi Therenge.
 
➡️ Hathiyar Laga Kar Na Aayenge. Sirf Talwar Sath Ho Aur Vo Bhi Miyaan Me. 

➡️ Makka Me Jo Musalman Rehte Ho Unhe Apne Sath Na Le Jayenge Aur Jo Musalman Makka Me Rehna Chahta Ho Use Qayam Se Na Rokenge. 

➡️ Ahle Makka Ya Makka Ke Musalmano Me Se Agar Koi Madina Chala Jata Hai To Musalman Use Vapas Kar Denge. Lekin Agar Koi Musalman Madina Se Makka Chala Jayega To Use Vapas Nahi Kiya Jayega. 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega

Post a Comment

0 Comments