Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-36

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 36

♻ Ye Muaaheeda Abhi Likha Hee Ja Raha Tha Ke Ek Musalman Abu Jindal Jo Makka Me Tarah Tarah Ke Zulm o Sitam Kuffar Ke Hatho Seh Rahe The Kisi Tarah Chhut Kar Musalmano Ke Pass Aa Gaye. Magar Huzur ﷺ Ne Inhe Makka Walo Ke Hawale Kar Diya. 

♻ Unhone Zakhmo Ke Nishan Jo Dushmano Ke Zulm o Sitam Ki Nishani The Musalmano Ko Dikha Kar Fariyad Ki Ke Kya Phir Azab Ke Liye Dushmano Ke Hawale Kare Jate Ho? Musalman Unki Ye Fariyad Sun Kar Tadap Uthe Lekin Huzur ﷺ Apne Faisle Par Atal Rahe. 

♻ Halake Abhi Muaaheede Par Dastkhat Nahi Huve The. Aap Chahte To Shart Na Manzoor Bhi Ki Ja Sakti Thi. Lekin Aap Apni Taraf Se Koi Aisa Kadam Uthana Chahte The Jis Se Aapki Zaat e Paak Par Koi Harf Aaye. Varna Koi Bhi Sahib e Aql o Fikr In Sharto Ko Padhne Ke Baad Aasani Se Faisla Kar Sakta Hai Ke Aksar Sharte Ahle Makka Ke Hee Haq Me Thi.

♻ Huzur ﷺ Ka Maksad Sirf Jung o Qatl Na Tha. Balke Jaha Tak Mumkin Hota Huzur ﷺ Ki Koshish Ye Rehti Thi Ke Jung Ki Naubat Na Aaye. Varna Koi Bhi Jung Pasand Shaksh Is Tarah Ki Sharte Kisi Kimat Par Qubul Nahi Kar Sakta. 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 


Post a Comment

0 Comments