ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 42
💫 Ek Dusre Aini Shaheed Remand Vajel Poi Ke Kasis Ka Bayan Nakal Karta Hai:
📌 "Jis Waqt Hamare Aadmi Diwar Aur Minaro Par Chadh Gaye To Musalmano Me Ajeeb Nazara Dekhne Ko Mila. Kisi Ka Sar Kata Hua Tha, Kisi Ka Chehra Zakhmi Tha Aur Vo Majboor Hokar Khud Ko Diwaro Se Niche Gira Rahe The. Kuch Log Der Tak Zakhmi Pade Rehne Ke Baad Aag Me Jala Diye Gaye. Baitul Muqaddas Ke Raasto Aur Har Jagah Kate Hue Sar Aur Haath Pero Ke Dher Lage Hue The Aur Laasho Par Se Chalna Padta Tha, Magar Ye Sab Kuch Bahut Kam Tha Uske Mukable Me Jo Hakikat Me Huva."
📌 "Haikale Sulemani Me Is Kadar Khoon Baha Tha Ke Iske Aangan Me Laashe Tairti Firti Thi. Kisi Ka Haath, Kisi Ka Pair, Kisi Ka Dhad Sab Bejod Ek Dusre Se Is Tarah Mile Hue The Ke Unhe Pehchanna Mushkil Tha. Isaiyo Ne Is Qatl e Aam Ko Kaafi Na Samaj Kar Ek Meeting Ki Jisme Ye Baat Tay Hui Ke Baitul Mukaddas Ki Kul Aabadi Muslim Yahoodi Sab Ko Qatl Kar Diya Jaaye. Inki Taadad Lagbhag 60,000 Hazar Thi. Ye Qatl e Aam Aath (8) Roz Tak Garm Raha. Aurte, Bachche, Budhe Sab Maare Gaye. Koi Jaandaar Baki Na Raha."
💫 Is Waaqiye Ko Likhne Ke Baad Liban Likhta Hai:
📌 "Hum Khayal Kar Sakte Hai Ke Pachchimi Qaume Jo Is Waqt Sabse zyada Mohajjab Hone Ka Dawa Karti Hai Unki Taarikhe Bhi Nafrato Se Bhari Hui Hai. Farsi Ghazal Goi Ke Baadshah Sa'adi Shirazi Ne Inhi Ke Baare Me Kaha Tha Ke "UNHE AADMI KEHNA INSANIYAT KI TAUHEEN HAI". Unka Bartav Is Paakiza Shahar Ke Logo Ke Saath Us Se Bilkul Mukhtalif Tha Jo Hazrat Umar Radiyallahu Ta'ala Anhu Ne Kai Sadi Pehle Isi Shaher Ke Isaiyo Ke Saath Kiya Tha."
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments