ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 43
🔯 Aaiye Ek Nazar Us Muaahide Par Bhi Daal Le Jo Islam Ke Dusre Khalifa Hazrat Umar Radiyallahu Ta'ala Anhu Ne Isi Baitul Mukaddas Ke Isaiyo Ko Khud Apne Haatho Se Likh Kar Diya Tha. Jisko Padhne Ke Baad Aap Yakinan Isi Natije Par Pahochenge Ke Islam Hee Vo Mazhab Hai Jisne Khoone Insani Ka Har Mod Par Ehtaram Kiya Hai. Aap Khud Kahenge Ke Agar Kisi Mazhab Ne Apni Hukumat Ke Waqt Bhi Dusro Ki Ibadatgaho Ki Hifazat Ki Hai To Vo Islam Hai.
🔯 Kisi Hukumat Ke Adal o Masawaat Ko Parakhne Ka Sabse Bada Me'ayar Ye Hai Ke Gair Kaum Ke Saath Uska Tarz e Amal Kya Hai Aur Gair Kaum Ko Us Hukumat Me Kya Huquq Haasil Hai. Aap Khud Gaur Kare Ke Isi Shahar Me 17 Hijri/640 Isvi Me Hazrat Umar Radiyallahu Ta'ala Anhu Ne Tamam Logo Ki Jaano Aur Ibadatgaho Ki Hifazat Ka Zimma Apne Sar Liya Tha Aur Zarra Barabr Kisi Isai Par Zulm Na Hone Diya.
🔯 Magar 470 Saal Baad Isi Shahar Me Isaiyo Ne Musalmano Ke Saath Kya Sulook Kiya Vo Abhi Aapne Angrez Itihaskaro Ke Kalam Se Hee Mulaheeza Kiya Kyu Ke Agar Hum Iski Jagah Arbi Itihaskaro Ke Hawale Aapke Saamne Pesh Karte To Shayad Aap Yahi Samjte Ke Hamne Kuch Apni Taraf Se Keh Diya.
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments