Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-46

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 46

⏩ Lenpol Ka Bayan Hai Ke 40 Roz Tak Aazad Hone Wale Isaiyo Ki Rihai Ka Silsila Chalta Raha. Yaha Tak Ke Ria'ayat Ka Zamana Khatm Ho Gaya. Is Par Bhi Hazaro Garib Aur Muflis Isai Jinhe Bakhil Aur Kanjoos Taajiro Aur Maaldar Isaiyo Ne Gulam Banane Ke Liye Chhod Diya Tha, Shaher Me Reh Gaye Yerushelam Ke Ek Bade Paadri Ne Jo Akhlaak Aur Imaan Dono Se Khali Tha, Girjaao Ki Daulat Sameti, Sone Ke Pyale Aur Tamam Sone Ke Bartano Ko Apne Kabze Me Liya Aur Apna Zaati Khazana Bhi Mehfooz Kar Liya. Jama Ki Hui Daulat Itni Thi Ke Agar Vo Chahta To Bahut Se Garib Isaiyo Ko Aazad Kara Sakta Tha. Musalmaan Amiro Ne Sultan Se Kaha Ke Is Be-Imaan Aur Nalayak Paadri Ko Loot Ka Maal Le Jaane Se Roka Jaaye Magar Sultan Ayyubi Ne Jawab Diya Ke Me Kaul De Chuka Hu, Is Se Phir Nahi Sakta. 
( Lenpol, Safah 202 ) 

⏩ Lenpol Likhta Hai Ke Daulatmand Isaiyo Ki Khudgarzi Ki Vajah Se Garib Isaiyo Ki Ek Badi Taadad Baaki Reh Gai. Unki Bekasi Dekh Kar Sultan Ayyubi Ke Bhai Al Aadil Ne Sultan Ayyubi Se 1,000 Isaiyo Ko Bataur Gulam Lekar Inhe Apni Taraf Se Aazad Kiya. 
( Lenpol, Safah 213 ) 

⏩ Iske Baad Sultan Ayyubi Ne Kaha Ke Sabne Apni Apni Taraf Se Khairat Kar Di. Ab Me Apni Taraf Se Khairat Karta Hu Aur Sipahiyo Ko Hukm Diya Ke Vo Shaher Me Aam Elaan Kar De Ke Vo Tamam Budhe Jo Fidiya Nahi De Sakte Aazad Kiye Jaate Hai. Unhe Ikhtiyar Hai Ke Vo Jaha Chahe Chale Jaaye. Chunanche Suraj Nikalne Ke Waqt Se Suraj Dubane Tak Barabar Unki Jama'ate Shaher Se Nikalti Rahi. Ye Ek Khairat Thi Jo Salahuddin Ayyubi Ne Beshumar Mufliso Aur Garibo Ko Inayat Ki. 
( Salahuddin Ayyubi, Safah 203 )  

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega.

Post a Comment

0 Comments