Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-47

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 47

🔁 Mardo Ke Alawa Baitul Mukaddas Me Bahut Si Mua'zazz Aurte Bhi Thi. Chunanche Raum Ki Ek Malka Ghar Baar Chhod Kar Baitul Mukaddas Me Ibadat o Riyazat Me Mashgool Rehti Thi. Jiske Paas Badi Daulat Thi. Usne Sultan Ayyubi Se Darkhwast Ki Ke Yaha Se Nikal Jaane Diya Jaaye. Sultan Ayyubi Ne Tamam Maal Samet Usko Nikalne Ki Ijazat De Di. Yerushelam Ke Baadshah Ki Biwi Ne Apne Shohar Gai Ke Paas Jo Kaid Me Tha, Jaane Ki Darkhwast Ki. Sultan Ne Usko Gai Ke Paas Bhej Diya. 
( Kitab ur Rozatain, Jild 2, Safah 96 ) 

🔁 Jung Me Maare Gaye Isaiyo Ki Biwiyo Ke Saath Jis Sharifana Andaz Se Sultan Ayyubi Pesh Aaya Duniya Ke Baadshaho Me Uski Misaal Mushkil Se Milti Hai. Had To Ye Hai Ke Jab Unhone Apni Bigdi Hui Halat Par Reham Ki Ilteja Ki To Sultan Salahuddin Ayyubi Ki Aankhe Ashkbaar Ho Gai. Yaha Tak Ke Jinke Shohar Qaid Me The Sultan Ne Unko Riha Kar Diya Aur Jinka Inteqaal Ho Chuka Tha Sultan Ayyubi Ne Unki Biwiyo Ko Unke Rutbe Ka Lihaaz Karte Hue Rupay Ataa Karke Unko Tasalli Di. 

🔁 In Waaqiyat Ko Nakal Karne Ke Baad Lenpol Likhta Hai Ke Jab Ham Sultan Ke In Ehsano Par Gaur Karte Hai To Vo Vehshiyana Harkate Yaad Aati Hai Jo Isaiyo Ne Baitul Mukaddas Ki Fateh Ke Waqt Ki Thi. Isaiyo Ne Begunah Aur Laachar Musalmano Ko Sakht Taklife Dekar Maara Tha Aur Unko Zinda Jala Diya Tha Aur Jab Musalmaan Baitul Mukaddas Ki Chhat Par Panah Lene Ke Liye Chadhte To Isai Unhe Tiro Se Chhed Kar Gira Dete The. 

🔁 Ye Wahi Jagah Thi Jaha Hazrat Isa Alayhissalam Ne Farmaya Tha Ke Khair o Barkat Waale Hai Vo Log Jo Reham Karte Hai Unhi Par Khuda Ki Barkate  Naazil Hoti Hai. Magar Jis Waqt Ye Isai Is Paak Aur Mukaddas Shaher Ko Musalmano Ke Khoon Se Nehla Rahe The To Shayad Vo Is Kalaam Ko Bhul Gaye The Aur Ye Un Berahem Isaiyo Ki Khushkismati Thi Ke Aaj Sultan Salahuddin Ayyubi Ke Haatho Un Par Rahem Ho Raha Tha. Lenpol Likhta Hai Ke Agar Salahuddin Ayyubi Ka Yahi Karnama Duniya Ko Maalum Hota Ki Usne Kis Tarah Baitul Muqaddas Ko Hasil Kiya To Sirf Yahi Karnama Iss Baat Ko Sabit Karne Ke Liye Kaafi Tha Ki Wo Sirf Apne Zamane Ka Hi Nahi Balki Tamam Zamano Ka Sabse Buland Hausla Aur Jalalat va Sahamat Me Tanha Aur Bemisal Insaan Tha.  

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega. 

Post a Comment

0 Comments