Radd E Wahabiyat Khaarjiyat
⚠ Kya Allah ke Siwa Kisi Aur ko Pukarna Shirk Hai?
Kuch Waabi Khaarji Munafiq Log Qur'an ki kuch Aayato ke Galat Maani bataakar Musalmano ko Mushrik kehte hai Usme se Ek Ayat ye bhi hai
*اِنَّ الَّذِیْنَ تَدْعُوْنَ مِنْ دُوْنِ اللّٰهِ عِبَادٌ اَمْثَالُكُمْ فَادْعُوْهُمْ فَلْیَسْتَجِیْبُوْا لَكُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِیْنَ*
1). Word to word Tarjuma (begair tafseer dekhe) "Beshak wo jinhe tum Allah ke Siwa Pukarte ho, tumhari tarah bande hai, to unhe pukaro, phir wo tumhe jawab de, agar tum sacche ho to"
2). Kanzul iman Tarjuma (Asal matlab or tafseer dekhke) "Beshak wo Jinko tum Allah ke siwa pujte ho, tumhari tarah bande hai, to unhe pukaro, phir wo tumhe jawab de agar tum sacche ho"
Dono Tarjume me Lafz "تدعون" ka matlab alag hai, pehle me kiya "pukarte" kanzul iman me hai "pujte", to sahee konsa hai? Aayiye dekhe..
Sabse pehle ye dekhte hai ke Allah is ayat me kise mukhatib farmaraha hai :
Isi Ayat se pehle ki ayate dekhei:
*اَیُشْرِكُوْنَ مَا لَا یَخْلُقُ شَیْــٴًـا وَّ هُمْ یُخْلَقُوْنَ٘ۖ*
Tarjuma: "kya wo use shareek thahrate hai jo koi cheez nahi bana sakta khud unhe banaya gaya hai,
*وَ لَا یَسْتَطِیْعُوْنَ لَهُمْ نَصْرًا وَّ لَاۤ اَنْفُسَهُمْ یَنْصُرُوْنَ*
"Aur na wo unki madad karne ki taqat rakhte hai, na apni jano ki madad karsakte hai"
*وَ اِنْ تَدْعُوْهُمْ اِلَى الْهُدٰى لَا یَتَّبِعُوْكُمْؕ-سَوَآءٌ عَلَیْكُمْ اَدَعَوْتُمُوْهُمْ اَمْ اَنْتُمْ صَامِتُوْنَ*
"Aur agar tum unhe rahnumai karne ke liye bulao, to tumhare piche nahi aayege, tumpar barabar hai ke tum unhe pukaro ya tum khamush raho" *(Al'araaf : 191,192,193)*
➖➖➖➖➖➖➖➖
⭕In ayat se pata chala ke yaha un logo ki baat horahi hai jo Allah ke sath kisi aur ko shareek karte hai yaani buth (idols)
⭕ Mushrikeen ke Buth na Madad Karsakte hai na apni madad karne ki taqat rakhte hai
⭕ unhe pukarna aur na pukarna ek jaysa hai
Lekin Aao dekho ke Allah Ke Momin bando ka kya Haal hai.
➖➖➖➖➖➖➖➖
Surah Aali imraan ayat no. 52 me hai:
*قَالَ مَنْ اَنْصَارِیْۤ اِلَى اللّٰهِؕ-قَالَ الْحَوَارِیُّوْنَ نَحْنُ اَنْصَارُ اللّٰهِۚ*
"Hazrat Isaa عليه السلام ne Apne Hawaariyo (sathiyo) se farmaya "Kon hai jo Allah ke raste me meri madad kare?
To Sacche sathiyo ne kaha hum Madad Karne wale hai Allah ke deen ki"
🔹Dekho, upar Jab Mushriko ki baat aayi to Allah ne kaha Na ye sunte hai, na madad karsakte hai, yaani kafiro ke buth,
🔹Lekin Yaha Hazrat isaa عليه السلام ne Musalmano se madad Mang kar bata diya ke ye Madad karte hai, Sunte hai, Aur Aapke sathiyo ne bhi keh diya ke hum Allah ke deen ke madadgar hai,
to Farq samajh me aagaya ke Mushriko ke buth aur nek Musalman me zameen Aasman ka faraq hai.
‼Ab dekhe ke Surah Aaraf ki 190-194 tak ki aayat me un logo ko kaha gaya hai jo Allah ke siwa kisi Aur ko Mabood/ilaah samjh kar Pukarte the, yaani unki ibadat karte the, ye to khula Shirk hai,
‼To Allah ne khaas mushriko ka radd kiya hai is ayat me, naake tamam Bando Chahe musalman ho ya kafir, balke sirf kafiro ka apne butho ko pukarna murad hai
🔹Ab jab pata chal gaya ke yaha mushrik murad hai aur Pukarne se murad unka apne jhute mabud (idols) ko pukarna hai to "تدعون" ka maani bana "تعبدون" yaani pujte hai,
➖➖➖➖➖➖➖➖
⭕Agar Pukaarna hi Tarjuma kiya jay to kya hoga dekhe:
‼Baap Apne bete ko Agar pukare "aye bete"
‼Beta Apne baap ko pukare "Oh Abbu/father"
‼Maa Apne bete ko pukare "Aye bete"
🔹To batay kya yaha shirk hoga?
Ayat me to "pukarna" hai, to ab yaha shirk kyu nahi horaha?
⭕Pata chala ke har tarah ka pukarna Yaha Muraad nahi,
⭕Yaha sirf Ek khaas Haalat aur qom ka pukarna murad hai yaani kaafiro ka Butho ko pukarna.
🔹Jab Saaf hogaya ke yaha kaafiro ka Apne butho jinhe wo Allah ka shareek smjhte hai unhe pukarna hai aur ye shirk hai,
⭕To pata chala ke Jabtak Kisi ko Allah ka shareek ya mabood samjhkar na pukara jay tabtak shirk nahi hota
➖➖➖➖➖➖➖➖
🔹Ab Aalahazrat رحمه الله ne jo Tarjuma kiya "تعبدون" yaani "tum pujte ho"
‼ taake padhne wale ko Pata chal jay ke yaha murad kaafir mushrik hai, naake har tarah ka pukarna,
⭕Aur Tafseero me bhi yehi hai dekhe :⏩
➖➖➖➖➖➖➖➖
Hazrat Abdullah bin Abbas
رضي الله عنه (D:68 H) ki tafseer me isi ayat ke tahet hai :
*{إِنَّ الَّذين تَدْعُونَ} تَعْبدُونَ {مِن دُونِ الله} من الْأَصْنَام*
"(Beshak jo Pukarte hai) yaani pujte hai (Allah ke siwa (Butho ko) "
*(Tanviral biqbas min tafseer ibn Abbas)*
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imam Maqatil bin sulaiman رحمه الله (D: 150H) ki tafseer me isi ayat ke tehet hai hai
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ يعني تعبدون مِنْ دُونِ اللَّه*
"Behshak jinhe tum pukarte ho 'yaani pujte ho' Allah ke siwa"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imaam Sahal Tustari رحمه الله (D: 283 H) Apni Tafseer me isi ayat ke tehet likhte hai:
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ يعني: تعبدون مِنْ دُونِ اللَّهِ يعني: الأصنام*
"Beshak Jinhe tum Pukarte ho : yaani "pujte" ho Allah ke alawa : yaani Butho ko"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Tafseer Baidaawi me Imaam Nasiruddin Baidaawi رحمة الله عليه (D:685 H) is aayat (Surah Aaraf :194) ke andar likhte hai:
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ أي تعبدونهم وتسمونهم آلهة*
"Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho Yaani Jinhe tum "pujte" ho aur unhe ilaah kehte ho"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imam husain bin Mas'ood Bagawi رحمة الله عليه (D:510 H) Apni tafseer me isi ayat ke andar likhte hai:
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ، يَعْنِي الْأَصْنَامَ*
"Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho Yaani Buth (idols) ko"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Allama ibnul jauzi (D: 597 H) Apni tafseer me likhte hai:
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ، يَعْنِي الْأَصْنَامَ*
"Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho Yaani Buth (idols) ko"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imaam Nasafi رحمه الله (D: 710) Apni Tafseer me isi ayat ke andar likhte hai
*{إِنَّ الذين تَدْعُونَ مِن دُونِ الله} أي تعبدونهم وتسمونهم آلهة*
"Beshak jinhe tum Allah ke siwa pukarte ho Yaani Jinhe tum "pujte" ho aur unhe ilaah kehte ho"
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imam Jalaluddin Mahalli (D:864H) wa imam Jalaluddin Suyuti (D:911H) رحمهما الله Tafseer Jalalayn Me likhte hai:
*{إنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ} تَعْبُدُونَ*
"(Beshak jinhe tum pukarte ho ) yaani pujte ho "
➖➖➖➖➖➖➖➖
Imam Alauddin Khaazin رحمه الله (D: 741 H) isi ayat ki tafseer me likhte hai :
*إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِنْ دُونِ اللَّهِ عِبادٌ أَمْثالُكُمْ يعني أن الأصنام التي يعبدها هؤلاء المشركون*
"Beshak jinhe tum pukarte ho Allah ke siwa tumhari tarah bande hai "yaani Buth jinki ye mushrikeen ibadat kiya karte hai"
➖➖➖➖➖➖➖➖
⭕In Tafseero Se bhi Saaf Hogaya ke 1400 saal se ulamaa ka yehi moquf hai ke yaha pukarna se muraad pujna hai,
❤Qurban jay mere Sayyidi Aalahazrat par ke ek tarjume me Itni tafseer ko samet diya Aur ayat ka sahi matlab smjhadiya,
‼Jo log is aur is jaisi dusri ayate jo mushriko kafiro aur buto se talluq rakhti hai musalmano par lagate hai wo gaur kare
👇🏻👇🏻👇🏻
➖➖➖➖➖➖➖➖
Kaafiro Aur mushriko se mukhatib wali ayat Musalman par lagane walo:
➖➖➖➖➖➖➖➖
Saheeh Bukhari :
بَابُ قَتْلِ الخَوَارِجِ وَالمُلْحِدِينَ بَعْدَ إِقَامَةِ الحُجَّةِ عَلَيْهِمْ
Me hai:
‼"Hazrat Ibn Umar رضي الله عنه khaarjiyo ko Sabse badtareen makhluq Jaantey the, Aur farmate ke wo khaarji un ayato ko jo kaafiro ke rad me nazil hui hai unhe musalmano par chaspa karte the"
➖➖➖➖➖➖
⭕Pata chala ke Aalahazrat ne jo tarjuma kiya wo bilkul sahee hai,
Khaarji log Musalmano ko mushrik sabit krne ke liye insab imamo aur tafseer ko aur ayat ke sahee matlab ko chor diye hai. Isi Tarah ke mAzmoon (subject) ki Aur bhi Aayate hai jisme Allah عزوجل ne Mushriko ka radd kiya hai Aur unka Apne buto ki ibadat karne ka radd kiya hai, Jaise
وَ الَّذِیْنَ یَدْعُوْنَ مِنْ دُوْنِ اللّٰهِ لَا یَخْلُقُوْنَ شَیْــًـا وَّ هُمْ یُخْلَقُوْن
"Aur Jo ye log pukarte hai Allah kesiwa kisi Aur ko wo to kisi cheez kon paida nahi karte balke wo to khud banaye jate hai
(Surah AnNahl 20)
Upar ki ayat ki tarah yaha bhi wohi mushriko ke but muraad hai
Imam abul lais samarqandi رحمة الله عليه iski tafseer me likhte hai
"Kaafir log Allah ke alawa jin buto ki ibadat karte hai wo is baat par qadir nahi ke koi chiz paida karsakte balke khud patthar Aur lakdi se banay jate hai" (Tafseer samar qandi) Isi Tarah Aur bhi ayate hai sabke liye ye jawab kafi hai
➖➖➖➖➖➖➖
‼Ayeteraz:
"Zinda Insan ko Madad ke liye Pukarna Shirk Nahi, jo Jaa Chuke Unhe Pukarna Shirk hai
⭕Jawaab:
🔹Quran Ki Kisi Bhi Ayat me Nahi Likha ke Jo ja Chuke Unhe hi Pukarna Shirk Hai,
🔹Jahan Bhi Ayat me "Pukarna" aya hai waha ye nahi likha hai ke guzre hue ko pukarna ya zinda ko, waha to bas pukarna likha hai
🔹Agar tum iska matlab wohi loge ke kisi ko bhi pukarna shirk hai to tumhare fatwe se koi bhi musalman nahi bachega tum bhi nahi,
🔹To manna padhega ke Kisi Ko Apna Mabud Aur Allah ka shareek maankar pukarna ye shirk hai, Aur Agar tum kehte ho ke jo Hum Allah ke Nabiyo Aur Waliyo ko Visaal ke baad pukarte hai wo shirk hai,
🔹 to iske liye koi ayesi aayat batao jisme ho ke "Waliyo Aur Nabiyo ko Visaal ke bad pukarna shirk hai" aur ayesi koi aayat nhi hai.
🔹to aakhri rasta yehi hai ke wo aayate sirf un mushriko ke liye radd me hai jo Allah ke siwa kisi aur ko mabood aur shareek jaankar pukarte the
🔹Aur koi Musalman Kisi Wali Ya Nabi ko Na Allah samjhta hai na Allah ke barabar, balke Allah ka nek banda samjhta hai
🔹Tumhe koi haq nahi ki begair kisi Musalman ke dil ka haal jane uspe fatwa lagao,
🔹tumhare dharam me to Rasool صلي الله عليه وسلم ko gaib ka ilm nahi, tumhe kaha se pata chal gaya kisi ke dil ki niyat?
🔹sirf waliyon Aur nabiyo ko pukarne wale par shirk kyu? Police Aur Doctor ko madad ke liye pukarne wala kyu nahi?
🔹balke Musalmano par badgumani karna haraam hai.
‼Yaad Rakhe‼
Hadees Mubarakah Hai: Huzooe Nabi Paak صلي الله عليه وسلم ne Farmaya :
لاَ يَرْمِي رَجُلٌ رَجُلًا بِالفُسُوقِ، وَلاَ يَرْمِيهِ بِالكُفْرِ، إِلَّا ارْتَدَّتْ عَلَيْهِ، إِنْ لَمْ يَكُنْ صَاحِبُهُ كَذَلِكَ
" Agar koi shaksh kisi ko faasiq ya kaafir kahey aur wo haqeeqat mein faasiq ya kafir na ho to khud kahney wala faasiq ya kafir ho jayega"
(Sahih Bukhari Shareef: 6045)
0 Comments