Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

_______ Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

➡ Qaza-e-umari Namaz Ka Aasaan Tareeqa Roman Aur Hindi Me


Qaza Har Din ki Namaaz ki Sirf 20 Rak'at ki Hoti hai, 

2 Rakat Fajr ke Farz, 
4 Rakat Zohar ke Farz, 
4 Rakat Asr Ke Farz, 
3 Rakat Maghrib Ke Farz, 
4 Rakat Isha Ke Farz Aur 
3  Rakat Witr.


🚦 Apni Maujuda umr me se baaligh hone ki umr kam karke hisaab kare.


👉 Ladka 12 Se 15 Aur ladki 9 Se 12 Ke bich kabhi bhi baaligh ho sakte hain, pahla ehtelaam, pahla haiz, ya pahla haml, ya ladke ki sohbat se pahli baar kisi ladki ka haamila ho jaana baaligh hone ki pehchaan hain. Inme se kuchh na ho to ladka 15 ke ba'd aur ladki 12 ke ba'd Shari'at me baaligh maane jaate hain ya'ni unpar Namaaz Roza waghaira Islaam ahkaam laagu ho jaate hain.


👉 Namaaz, Roza ya Zakaat ki umri qaza ke mas-ale me nichli hadd (ladke keliye 12 aur ladki keliye 9 saal) maankar Hisaab kare.


🚦 Qaza Namaaz Jitni Ziyada Har din parh sake utna behtar hai, masalan: 10 din ki rozaana parhe, ya 8 din ki ya 7 din ki, ya is se kam ya ziyada, chaahe ek waqt me parhe ya alag waqto me.


🚦 Har baar Niyat istarah Kare: Sabse pahli Fajr (ya kisi aur waqt) ki Namaaz jo mujhse qaza huwi, 

jab ek parh li phir isi tarah niyat kare, ya'ni ab jo baaqiyo me pahli hai, aakhir tak parhe ke ab qaza baaqi reh jaane ka khayaal na rahe.


🚦 5 waqt ki ada Namaazo ke Nafl aur ghair muakkada Sunnato (Asr aur Isha ke farzo se pahle waali) ki jagah bhi Qaza Namaazein parhe.


🚦Jispar Qaza Namaazein bahut ziyada hain wo agar chaahe to aasaani keliye istarah kare:

1. Har Ruku aur Sajde me tasbeeh 3 baar ki jagah sirf ek ek baar kahe. Magar ye hamesha aur har tarah ki Namaaz me yaad rakhna chahiye ke jab Ruku me purey pahunch jaye tab Tasbeeh ka S.... shuru kare aur jab Tasbeeh ka M.... khatm kare us waqt Ruku se sir uthaaye, isi tarah Sajdo me pura pahunch jaaye tab Tasbeeh shuru kare aur jab Tasbeeh puri khatm kar le us waqt Sajde se sir uthaaye.

2. Farzo ki 3sri aur 4thi Rak'at me (agar chaahe to) Surat Faatiha ki jagah sirf 3 baar
سبحان الله
keh le, magar yahaan bhi wohi khayaal zarur rakhe ke sidhe khade hokar S.... shuru kare aur khade khade pura kehkar tab Ruku me jaaye. Ye chhoot sirf Farzo keliye hai, Witro ki har Rak'at me Surat Fatiha aur Surat ya Aayat milaana 2no zarur parhi jayengi.

3. Aakhiri Rak'at ki Attahiyyaat ke sirf
اللهم صل على محمد وآله
kehkar salaam pher dein.

4. Witro ki 3sri Rak'at me du'a-e Qunoot ki jagah Allaahu Akbar kehkar sirf 1 baar ya 3 baar
رب اغفر لي
Ruku me chale jaye.

🌹 Jo shakhs apne zaruri kaamo se ziyada se ziyada waqt nikaalkar chhuti huwi Namaazo ko ada karne ki bharupr koshish kare aur ada karne se pahle zindagi khatm ho jaye to Allaah se ummid hai ke muaf farmaayega.
📖 Fataawa Razwiya: 8/157 se 163 ka khulaasa
🏠: *Jamea Nizamiya Salihaat Kurla Mumbai*

-------------------------------------------------------------
*🅿ᴀɪɢʜᴀᴍ-ᴇ-®ᴀᴢᴀ*
✨✨✨✨✨✨✨
🎓 QAZA E UMRI 🎓
════════════
QAZA NAMAZO KI ADAYGI KI ASAN TARKIB 
════════════

🎯Har Musalman Par khwah wo Mard Ho ya Aurat"BALIG" Hote Hi Namaz farz Hai_______ 

●━━━◆◐━━━━◑
★ Agar koi shakhs "BALIG" Hone ke kayi sal Baad Namazi Huwa To Us ke Darmiyan ki Namaze jo Qaza Ho Chuki Hai Uska Ada karna Farz Hai 

____MASALAN_____ 
●►Abdullah 14 Baras ki Umar Me "BALIG" Huwa Aur jab uski Umar 20 sal ki Huwi To wo Namazi Huwa To Usko 6 Baras ki Qaza Namaz Padhni Hai 

●━━━◆◐━━━━◑

★ _MAS'AAL_ ★ 

jis Mard ko Aapne BALIG Hone ki Tarikh Aur sal Yad Na Ho Wo Aapne BALIG Hone ki Muddat 12 Baras ki Umar karar De______ 

★ _MAS'AALA_ ★ 

jis Aurat ko Aapne BALIG ki Tarikh Aur sal Yad Na Ho wo Aapne BALIG Hone ki Muddat 9 Baras ki Umar karar De 

◉☞Aur sath Hi Me Har Mah se "HAIZ" ke Din Aur "NIFAS" ke Din Bhi kam kar Le kyu ki in Dino Me Namazo ki Qaza Aurato Par Lazim 
Nahi Hai

●━━━◆◐━━━━◑

●► Har Aadmi jis ke Zimme Qaza Namaze Ho Un Par Lazim Hai ki jald se jald Ada kare Na Malum kis wakt Mot Aa jaye 

☪QAZA NAMAZE  EK DIN KI 20 RAKAT NAMAZ HOTI HAI
____JAYSE____ 
●►FAJAR  ► 2-FARZ 
●►ZOHAR ► 4-FARZ 
●►ASAR    ► 4-FARZ 
●►MAGRIB ► 3-FARZ 
●►ISHA  ►   4-FARZ 
●►ISHA  ► 3-WITR 

●━━━◆◐━━━━◑

☝☝In Namazo ko siwaye 
◉☞Suraj Nikalte Wakt 
◉☞Suraj Dubte Wakt 
◉☞Zawal ke wakt 

◉in Wakto Me Sajda Haram Hai 

❖in Makruh Wakto ko Alawa Har Wakt Ada kar Sakta Hai

●►Aur Ikhtiyar Hai ki Pahele Fajar ki Sab Namaze Ada kare Fir zohar--Fir Asar--Fir Magrib--Fir isha 
Ya 

●►Sab Namaze sath sath Ada karta jaye 
Aur inka Aysa Hisab Lagaye ki Baki Na Rah jaye______ 
zyada Ho jaye To Haraj Nahi

●━━━◆◐━━━━◑

⚠QAZA NAMAZO KI NIYYAT

◉☞Jab Qaza Namaz ko Ada ke liye khada Ho us wakt Uski Niyyat karni Zaruri Hai

____MASALAN____ 

◉☞FAJAR ki Niyyat Yu kare 
●►'Mene Sab Me Paheli Fajar Padhne ki Niyyat ki jo Mujse QAZA Huyi 
Allah Ta'aala ke Liye Muh Mera kaba Shareef ki Taraf ALLAHU AKBAR'

◉☞Isi Tarah Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-ki Niyyat kare

●━━━◆◐━━━━◑

✔ JIN LOGO KE ZIMME QAZA NAMAZE BAHOT ZYADA HO UNKE 
LIYE AASANI SE ADA KARNE KI -4-SURATE HAI________ 
TAKI WO ASANI KE SATH QAZA NAMAZE ADA KAR SAKE 

AWWAL

FARZ ki Tsri Aur chothi Raka'aat Me 
"AL HAMDU" ki jagah sirf 3 Baar "SUBHAN ALLAH" keh kar Ruku Me chale jaye 

●►Ye Kami sirf Farz ki Tisri Aur chothi Raka'aat ke Liye Hai

●►WITR ki Tino Raka'aato Me "AL HAMDU" Aur "SURAT" Dono zarur Padhi jaye 

DOWAM 

RUKU Aur SAJDE ki TASBIH Me Sirf ek ek Baar 
"SUBHAN RABBIYAL AZIM" 
Aur 
"SUBHAN RABBIYAL AA'AALA" 
kahe
        
SOWAM 

Namaze Fajar Me "ATTAHIYYAT" 
◉☞Aur Yuhi Zohar-Asar-Magrib-Isha-witr-Me Dusri "ATTAHIYYAT" ke Bad "DAROOD SHAREEF" Aur 
"DUWA E MASURA" ki jagah sirf Ye "Darood shareef" 

◉☞''ALLA HUMMA SALLE ALA MUHAMMADIW-WA AALIHI''

Padh kar SALAM Ferde 

CHAHARUM 

Namaze WITR ki Tisri Raka'aat Me "DUWA E QUNUT" ki jagah3 Baar Ya Ek Baar 
◉☞''RABBIGFIRLI'' kahe 

●┄─━▣▣▣━─┄● 
•–⚀•RєԲ:➻┐ 
*📚FATAWA RIZWIYYA--JILD-3-SAFA--621-622*
*📚AL MALFUZ-JILD-1-SAFA-60-61*
*📚ISLAM ME KYA SAHI KYA GALAT -SAFA-45-46*

✳▪✳▪✳▪✳▪✳
------------------------------------------------------

*🌹✨ क़ज़ाए उम्री का तरीक़ा ✨🌹*
✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ ✪ 



_*💠👉नफ्ल इबादतें जितनी भी हैं चाहे वो नमाज़ हो या रोज़ा उसी वक़्त क़ुबूल होगी जब कि फर्ज़ ज़िम्मे पर बाकी ना हो,लिहाज़ा जिसकी नमाज़ क़ज़ा हो वो क़ज़ा-ए उमरी पढ़े और जिनका रमज़ान का रोज़ा क़ज़ा हो वो इस रोज़े के बदले रमज़ान के रोज़े की क़ज़ा की नियत करे,जिनकी बहुत ज़्यादा नमाज़ें क़ज़ा हो उसको आसानी से अदा करने के लिए सरकारे आलाहज़रत रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि !*_ 
 
*🌴फुक़्हा* _- एक दिन की 20 रकात नमाज़ पढ़नी होगी पांचों वक़्त की फर्ज़ और इशा की वित्र,नियत यूं करें "सब में पहली वो फज्र जो मुझसे क़ज़ा हुई अल्लाहु अकबर" कहकर नियत बांध लें युंही फज्र की जगह ज़ुहर अस्र मग़रिब इशा वित्र सिर्फ नमाज़ो का नाम बदलता रहे,क़याम में सना छोड़ दे और बिस्मिल्लाह से शुरू करे,बाद सूरह फातिहा के कोई सूरह मिलाकर रुकू करे और रुकू की तस्बीह सिर्फ 1 बार पढ़े फिर युंही सजदों में भी 1 बार ही तस्बीह पढ़े इस तरह दो रकात पर क़ायदा करने के बाद ज़ुहर अस्र मग़रिब और इशा की तीसरी और चौथी रकात के क़याम में सिर्फ 3 बार सुब्हान अल्लाह कहे और रुकू करे आखरी क़ायदे में अत्तहयात के बाद दुरूद इब्राहीम और दुआए मासूरह की जगह सिर्फ "अल्लाहुम्मा सल्लि अला सय्यदना मुहम्मदिंव व आलिही" कहकर सलाम फेर दें,वित्र की तीनो रकात में सूरह मिलेगी मगर दुआये क़ुनूत की जगह सिर्फ "अल्लाहुम्मग़ फिरली" कह लेना काफी है !_ 
 
*#📚 अलमलफूज़,हिस्सा 1,सफह 62*

 *➡क़ज़ा हर रोज़ की 20 रक्अ़तें होती हैं,*
_👉🏻2 फ़र्ज़ फ़ज्र के_
_👉🏻4 फ़र्ज़ जो़हर के_
_👉🏻4 फ़र्ज़ अ़स्र के_
_👉🏻3 फ़र्ज़ मग़रिब के_
_👉🏻4 फ़र्ज़ इशा के_
_👉🏻3 वित्र इशा के_

*══════════════════════*
 *💚✨ निय्यत इस त़रह़ करे ✨💚*
*══════════════════════*
➡ _जैसे- फ़ज्र की क़ज़ा हो तो यूं निय्यत करे:-_
_"सबसे पहली फ़ज्र जो मुझसे क़ज़ा हुई उसको अदा करता हूं"!_
_हर नमाज़ में इसी त़रह़ निय्यत कीजिए! और अगर निय्यत में लफ़्ज़ "क़ज़ा" कहना भूल गए तो कोई हरज नही, नमाज़ हो जाएगी!_
*══════════════════════*
 *✨ज़्यादा क़ज़ा हो तो उनके लिए आसानी*
*══════════════════════*
 *💎💫✨पहली आसानी✨💫💎*

➡ _अगर किसी पर ज़्यादा नमाज़े क़ज़ा हो और वो आसानी के लिए रुकूअ़ और सज्दे की तस्बीह़ तीन तीन बार पढ़ने के बजाए एक एक बार पढ़ेगा तो भी जाएज़ हैं!_

*💎💫✨दुसरी आसानी✨💫💎*

➡ _फ़ज्र के अलावा दुसरी चारों फ़र्ज़ नमाज़ों की तीसरी और चौथी रक्अ़त में सूरए फ़ातिह़ा (अलह़म्द शरीफ़) की जगह सिर्फ़ तीन बार "सुब्ह़ान अल्लाह" कह कर रुकूअ़ में चला जाए, मगर वित्र की नमाज़ में ऐसा न करे!_

*💎💫✨तीसरी आसानी✨💫💎*

➡ _क़ादए अख़ीरह (नमाज़ में आख़री बार बैठने को क़ादए अख़ीरह कहते हैं) तशह्हुद (यानी अत्तह्हिय्यात) के बाद दुरूदे इब्राहीम और दुआ़ की जगह सिर्फ़ "अल्लाहुम्मा सल्लि अ़ला मुह़म्मदिंव व आलेही" कह कर सलाम फैर दे!_

*💎💫✨चौथी आसानी✨💫💎*

➡ _वित्र की तीसरी रक्अ़त में दुआ़ए कुनूत की जगह एक बार या तीन बार "रब्बिग़्फिरली" कहे!_
 *📙(फ़तावा रज़विय्या, जिल्द-8, सफ़ह़ा-157)*

 *══════════════════════*
  *💎✨नमाज़े क़स्र की क़ज़ा✨💎*
*══════════════════════*
➡ _(सफ़र में जो नमाज़ पढ़ी जाती हैं उसे क़स्र कहते हैं)_
 _(क़स्र में ज़ोहर, अ़स्र और इशा की चार रक्अ़त फ़र्ज़ की जगह दो रक्अ़त ही पढ़े)_
_सफ़र में जो नमाज़े क़ज़ा हुई हो उन्हे क़स्र करके ही पढ़े चाहे सफ़र में पढ़ो या वापस लौट के घर पर, क़स्र की क़ज़ा क़स्र ही पढ़ी जाएगी! और घर पर जो नमाज़ें क़ज़ा हुई हो उन्हे पूरी पढ़े!_
*══════════════════════*
 *💎✨ क़ज़ा नमाज़ों का वक़्त ✨💎*
*══════════════════════*
➡ _क़ज़ा के लिए कोई वक़्त Fix नही उ़म्र में जब भी पढ़ेंगे तो बरिय्युज़िम्मा (यानी क़ज़ा की ज़िम्मेदारी से बरी) हो जाएगा!_

 *👉🏻सिर्फ़ तीन वक़्तों में कोई भी नमाज़ न पढ़े*

1⃣ _तुलूअ आफ़्ताब (यानी फ़ज्र के बाद से सूरज निकलने तक)_

2⃣ _गुरूब आफ़्ताब (सूरज डूबते वक़्त या यूं समझे कि अ़स्र के बाद से मग़रिब तक)_

3⃣ _जवाल के वक़्त_

*══════════════════════*
  *💎✨ छुप कर क़ज़ा पढ़ें ✨💎*
*══════════════════════*
➡ _क़ज़ा नमाज़े छुप कर पढ़िए लोगों पर (या घर वालों या करीबी दोस्तों पर भी) इसका इज़्हार न कीजिए!_
_जैसे कि:- किसी से ये मत कहे कि आज मेरी फ़ज्र क़ज़ा हो गई या मैं क़ज़ाए उम्री पढ़ रहा हूं वग़ैरा क्यूंकि नमाज़ क़ज़ा करना गुनाह हैं और गुनाह का इज़्हार करना भी मकरूह़े तह़रीमी व गुनाह हैं!_

_➡अल्लाह हर सुन्नी को नमाज़े पंजगाना अदा करने की तौफीक़ अ़ता फरमाए ।।_

💖आमीन🤲🏻

Post a Comment

1 Comments

Khadim E Raza said…
Jazzak Allah u khair