Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

_______ Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Sayyed Mira Ali Datar

Muktasar Seerate Paak SHAHENSHAH E GUJARAT FAATAH E MAANDAVGADH SHAHID E AKBAR HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu 
(Urs 29, Muharramul haraam, Mazar : Unava Sharif, Gujarat)

“AAPKE DADA KA HINDUSTAN TASHRIF LANA”


 ☄ HAZRAT MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu ke Dada Jaan HAZRAT SAYYED ILMUDDIN Quddasa Sirrahu Apne Vaalide maajid HAZRAT SAYYED MOHAMMAD DAARAIN Alayhirrehma ke sath Bukhara se Tablige Deen ki garz se Hindustan tashrif laae aur Lucknow ke qarib qayaam kiya. HAZRAT SAYYED ILMUDDIN Alayhirrehma ke Vaalid Sahab ke Visal Sharif ke baad Aap Gujarat ke Ahmedabad Shaher me tashrif laae.. 

 ☄ Yaha Aapki Mulaqat QUTBUL AQTAB HAZRAT SAYYED ABDULLAH BURHANUDDIN AL MA’ROOF QUTB E AALAM radiyallahu anhu se hui. Us zamane me Ahmedabad me HAZRAT SULTAN AHMED SHAH BADSHAH rehmatullah alayh ki Hukumat thi. HAZRAT QUTB E AALAM radiyallahu anhu ki Sifarish par BADSHAH ne HAZRAT SAYYED ILMUDDIN ko rehne ke liye Ahmedabad ke Khanpur me jagah di aur Apni Fouj me Sipahsaalaar bana liya. 

 ☄ HAZRAT SAYYED ILMUDDIN radiyallahu anhu bahot hi Muttaqi aur Parhezgaar the. Fouj ke tamam Sipaahiyo ko Aap Taalim diya karte aur unhe Sunnate Rasool par chalne ki taakid karte. Bahot se Sipaahi Aapke Daste Paak par Murid ho gae. 


“AAPKE VAALIDE MAAJID AUR VAALIDA MAAJIDA”



 ☄ HAZRAT SAYYED ILMUDDIN radiyallahu anhu ke Sahabzade HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD urf DOSU MIYA Quddasa Sirrahu ka Nikah Ahmedabad ke mash’hoor Buzurg SARKAR QUTB E AALAM radiyallah anhu ke Chahite Khalifa HAZRAT SAYYED USMAN SHAM E BURHANI radiyallahu anhu ki Bahen HAZRAT SAYYEDA AAISHA BIBI rehmatullahi alyha se hua. Jinhe ham JANNATI MAA va RAASTI MAA ke Naam se jante he. 

 ☄ Aap bahot hi Nek, Paarsa aur Parhezgaar khaatoon thi. Aapka sara gharana hi Valiyo ka tha. HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD bahot bahadur aur Talvaar ke Maahir aur Dhani the. Jis Jung me Aap tashrif le jaate Aapke hatho waha Fateh zarur hoti. Isi liye SULTAN AHMED SHAH BADSHAH ki Nigaho me Aapki Bahot Izzat thi.  

 ☄ Aap Apne Khandan walo ke sath Ahmedabad ke Khanpur me rehte. Wahi Aapke yaha Ladke ki Viladat hui. Jinka Naam ABU MOHAMMAD rakha. (ye HAZRAT MIRA ALI DATAR ke bade bhai he. 


“HAZRAT MIRA ALI DATAR KI VILADAT SHARIF”



 ☄ HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu. Aap Gulshane Nubuvvat ke Mahekte Phool IMAM E ZAMANA HAZRAT SAYYEDNA IMAM ALI NAQI radiyallahu anhu ki Aulaade Paak me se he. Aapki Viladat Sharif 29 Ramzanul Mubarak 879 hijri me Ahmedabad ke Khanpur ilaqe ke Sayyedwada me hui.  

 ☄ Aap Itne Khubsurat the ke Aapke Chehre se Noor Barasta tha. Aap Paidaishi Valiyye Kaamil the. Jab Aap tin (3) Mahine ke the tab AHMED SHAH BADSHAH ne HAZRAT SAYYED ILMUDDIN se kaha ke Paatan Gaao me aur uske aas paas Bheel aur Daakuo ne bahot Zulm macha rakha he is liye Aapke Sahabzade HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD ko waha ki dekh rekh ke liye bheja he. 

 ☄ Jab HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD Paatan ke liye gae us waqt Unava Gaao ka Naam Lilapur tha. Lilapur ho kar Paatan aana jana tha. Is liye Aapne Lilapur me ek Makaan banvaya. Aapne Bhilo aur Daakuo ko Pakad kar unhe BADSHAH ke Paas Ahmedabad bhej diya usi douraan Aapne Mevaasan par chadhai ki, waha ka Raaja zer hua aur uska Zulm khatm hua.  

“AAPKI VAALIDA KA VISAAL AUR BACHPAN KI KARAMAT”


 ☄ HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu 10 Mahine aur 16 Din ke the jab 16 Rajab 880 hijri ko Aapki Vaalida JANNATI MAA ka Visaal ho gaya.  

 ☄ HAZRAT MIRA SAYYED ALI Chhote the. Doodh pine ke liye Rone lage. Aapke Ghar me ek Ladki (jinka Nikaah abhi tak nahi hua tha) Kaam kiya karti thi, jinko DAAMA AMMA kehte the, unhone Aapko God me liya aur jese hi Aapko chup karane liye Apna Pistaan Aapke Muh me diya…. 

 ☄ DAAMA AMMA ko Qudratan Doodh aa gaya. Aapne MIRA ALI DATAR ko Doodh pilaya. Ghar wale ye Karamat dekh kar bade Hairaan hue. HAZRAT MIRA ALI DATAR ke Vaalide Maajid ne DAAMA AMMA se Nikah kar liya. 


“AAPKI TAALIM O TARBIYAT AUR AAPKE MAMOOLAAT”



 ☄ DAAMA AMMA, DAADI AMMA, AUR DADA JAAN ki Taalimo Tarbiyat Hasil karte hue Aap bade hue. Uloome Zaahiri va Baatini Aapne Dada Mohtaram HAZRAT SAYYED ILMUDDIN radiyallahu anhu se hasil kiye. Aap bade hi Nek aur Parhezgaar the. Apna Zyadatar waqt Ibadate Ilahi me Guzaarte. 

 ☄ Us Zamane me koi Musibatzada Aapke paas aata Aap fouran Dua ke liye Hath utha dete. Aap Dua farmate us aane wale ki Taklif dur ho jaati. Aapki Sohbat me kai log Iman ki Doulat se musharraf hue. Aap vahi Kaam karte jisme ALLAH O RASOOL ki Raza hoti. Aapka har Qadam SUNNATE MUSTAFA sallallahu alayhi va sallam ke mutabiq hota. 

 ☄ Aapko Apne Jadde Karim SAYYEDUSH SHOHDA HAZRAT SAYYEDNA IMAM E HUSAIN SHAHID E KARBALA radiyallahu anhu se bahot Mohabbat thi. Aapke Dil me bhi ye Jazba tha ke mujhe bhi Shahadat Nasib ho aur me bhi ALLAH ki Raah me Shahid ho jaau. Jaha bhi Aap jate Log Aapke Akhlaq dekh kar Aapke Garvida ho jate aur Aapse Nasihate Hasil karte. 







*Urs Mubarak SHAHENSHAH E GUJARAT FAATAH E MAANDAVGADH SHAHID E AKBAR HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu (Urs 29, Muharramul haraam, Mazar : Unava Sharif, Gujarat)*


“DEHLI KE BADSHAH MOHAMMAD LODHI KE DARBAR ME FARIYAD”


 ☄ SULTAN AHMED SHAH BADSHAH ka Visaal hua. Chhoti Umr me Aapke Bete MEHMOOD BEGDA Gaddi par bethe. MEHMOOD BEGDA bahot Bahadur the. Unhone kai Qile fateh kiye, kai Gadh Fateh kiye isi vajah se BEGDA ke Naam se mash’hoor hue. Us waqt Dehli ki Gaddi par SULTAN MOHAMMAD LODHI BADSHAH ki Hukumat thi.  

 ☄ Ek Shakhs MOHAMMAD LODHI ke Darbar me fariyad lekar pahoncha . usne Badshah ki khidmat me arz kiya ke : “jahapanaah ! Madhya Pradesh (M.P.) ke Dhaar zile me Mandavgadh ek Gaao he, 70 mil ke Ahaate me basa hua he, Mandavgadh me 12 chhote chhote gaao aur he usme Mandavgadh ke Raaja MEHNDI RAAJ ki Hukumat he. RAJA MEHNDI bahot hi Khunkhar, Zaalim, Jaadugar he.” 

 ☄ Usne apne Mahel me 24 ft Lamba ek Dev (Murti) banaya he. Uska Mamool he ke Rozana ek Insan ka Qatl kar ke uske Khoon ka Tilak Dev par lagata he. Har din ek Insan ki Bali uske Dev ke samne chadhana uska Usool he. Usne Apne Qaid khane me kai Insano ko Bandi bana kar rakha he. Uske Paas bade bade Taantrik, Aghori aur Jaadugar he. Jo bhi Badshah us par chadhaai karta he wo Haar jata he. Us Jaadugar ke Zulm se dur dur tak Log Pareshan he. 

 ☄ Us Shakhs ne Mandavgadh ki sari Dastan BADSHAH MOHAMMAD LODHI ko sunaai. Badshah ne us se kaha ke : “is waqt Ahmedabad ki Gaddi par MEHMOOD BEGDA naam ka ek Badshah he, wo bahot Bahadur he. Usne kai jagah Fateh hasil ki he, me uske Naam ek Khat likh deta hu, unhe de dena”. MOHAMMAD LODHI ne us shakhs ko SULTAN MEHMOOD BEGDA ke Naam ka khat likh diya. 

 ☄ Us khat me Mandavgadh ke tamam haalat bhi likh diye aur Mandavgadh par chadhaai karne ke liye bhi likh diya. Us shakhs ne Ahmedabad aa kar SULTAN MEHMOOD BEGDA ko khat diya. Khat padhne ke baad MEHMOOD BEGDA ko bahot Gussa aaya. Aapne Maandavgadh par chadhaai karne ki tayyari ki. HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD Alayhirrehma ko paigam bheja ke Dhaai so (250) Ghode Savaar lekar yaha aa jaae. HAZRAT SAYYED DOST MOHAMMAD radiyallahu anhu Unava se Ahmedabad tashrif laae aur MEHMOOD BEGDA se mulaqat ki. 


“FATEH KI BASHARAT”


 ☄ SULTAN MEHMOOD BEGDA ki 12,000 ki Hazar ki Fouj Maandavgadh ke qarib pahonchi aur wahi Padaav daala. Jab Maandavgadh par chadhaai ki to pure Maandavgadh me halchal si mach gai. Kuchh Saalo tak Jung chali lekin Fateh nahi mili. Is par SULTAN MEHMOOD BEGDA bahot Pareshan hue ke aakhir kya maajra he jo Fateh nahi mil rahi he. 

 ☄ Ek Raat MEHMOOD BEGDA Ro Ro kar ALLAH ki bargah me Fateh ke liye dua kar rahe the. Ke Aapko Nind aa gai. Khwab me Basharat hui ke abhi ek Aandhi aaegi, jis se tamami Kheme ud jaaenge lekin ek Khema Salamat rahega. Usme jo Shakhs he unke Pote HAZRAT SAYYED ALI ke Hatho Maandavgadh ki Fateh he.  

 ☄ Jab MEHMOOD BEGDA bedaar hue, aandhi aa chuki thi aur tamami Kheme ulat pulat ho chuke the lekin ek Khema sahi salamat tha ke usme ka charaag bhi na bhuja tha. Us Kheme me HAZRAT SAYYED ILMUDDIN radiyallahu anhu Qurane Paak ki Tilawat kar rahe the. MEHMOOD BEGDA waha pahonche aur Apni Basharat sunaai.  


 “HAZRAT SAYYED ALI KI SHADI KI TAYYARI”


 ☄ Jab MEHMOOD BEGDA ne Apni Basharat ka zikr HAZRAT SAYYED ILMUDDIN alayhirrehma se kiya us waqt Ghar par HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu ki Shadi ki tayyari ho rahi thi. Dada Jaan ne HAZRAT MIRA ALI ko bulane ke liye khat likha. Lekin khat ka koi jawab na aaya kyunki koi bhi khat HAZRAT SAYYED ALI tak pahoncha hi nahi. 

 ☄ Aapke Bade bhai aur Aapki Vaalida wo khat chhupa dete kyunki Aapki Shadi hone wali thi. Jab kai dino tak khat ka jawab na aaya to BADSHAH aur SAYYED ILMUDDIN bahot fikrmand hue. Phir kisi Qaasid ko bheja jiski Mulaqat HAZRAT MIRA SAYYED ALI se ho gai. Qaasid ne HAZRAT MIRA ALI ko Paigaam diyaa jis se Aapko tamam haalaat maloom hue.  

 ☄ Aap Apni Vaalida DAAMA AMMA ke paas aae, vahi Aapke bade bhai bhi mojud the. Aapne Vaalida ko khat dikhaya aur puchha ke : aane wale khat mujhe kyu nahi diye gae? Dada Jaan ne mujhe bulaya he, Maandavgadh me jo kuchh Saalo se Jung ho rahi he uski Fateh In Sha ALLAH hamare hatho se hogi. Ammi Jaan ! Aap hame jane ki Ijazat dijiye. 

 ☄ DAAMA AMMA ne farmaya : “Bete ALI ! tumhari Shadi hone wali he mene is liye sare Khat chhupa diye the”. SAYYED MIRA ALI radiyallahu anhu ne kaha : “Maandavgadh ke Raaja ke Zulm ko mitane ke liye aur Logo ko uske Shar se bachane ke liye Aap mujhe ijazat dijiye”. DAAMA AMMA ne farmaya : “Jab ALLAH ki yahi Marzi he to me tumhe jane ki Ijazat deti hu”. Vaalida ne Aapki Peshani ko Bosa diya, bhai se mulaqat ki aur Khuda ki Raah me Aap chal pade. 


 “HAZRAT MIRA ALI DATAR KI MAANDAVGADH KE LIYE RAVANGI”


 ☄ Aap Ghar se ravana hue. Unava Talab ke paas aa kar Aapne Misvaak kiya, Vuzu kiya aur Namaz ada farmaai. Jis jagah Aapne Namaz padhi usi jagah Aapne Apna Misvak gaad diya. Aapne Dil me ye khayal kiya ke agar me Raahe Khuda me Shahid ho jaau to mujhe yahi Dafn kiya jaae. Unava se Namaz ke baad Aap Maandavgadh ke liye ravana hue. 

 ☄ waha pahonch kar Aapne Dada Jaan se mulaqat ki. MEHMOOD BEGDA ko jab Aapke aane ki khabar mili wo bhi Aapse milne aae. Badshah Aapse mil kar bahot khush hue aur Aapko bhi Apni Basharat sunaai. Haalat sunne ke baad HAZRAT MIRA DATAR radiyallahu anhu ne farmaya ke : “Ham Maandavgadh ke Raaja ko sahih raste par lane ki koshish karenge aur agar won a mana to usko mout ke ghaat utaar kar uske zulm se Logo ko Najaat dilaai jaaegi” 










*Urs Mubarak SHAHENSHAH E GUJARAT FAATAH E MAANDAVGADH SHAHID E AKBAR HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu (Urs 29, Muharramul haraam, Mazar : Unava Sharif, Gujarat)*

Part 3 of 3

 “HAZRAT MIRA SAYYED ALI QILE ME DAKHIL”


 ☄ Dada Jaan se rukhsat lene ke baad sirf sawa so (125) Ghode sawaaro ko apne sath lekar chale. Raaste me Nadi aai. Aap Ghoda lekar Nadi ke qarib pahonche to Nadi ka Paani do hisso me phat gaya aur Nadi ne Aapko Raasta de diya. Aap Maandavgadh ki had me Kaakda koh ke paas pahonche aur wahi padaav kiya. Phir Qile ka muaayna kiya. Qile ki unchaai qarib 18 ft thi. HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR NE 18 FT KI DIWAR GHODE SE CHHALANG LAGA KAR PAAR KARLI. 

 ☄ us jagah par Aapke Ghode ki Taapo ke Nishan aaj bhi moujud he. Kaakda koh se Aapne qile ke andar Apni Fouj ko jane ke liye surang banvaai. Surang ke zariye Fouj andar aai. Jab HAZRAT SAYYED ALI Qile me pahonche to Raaja ke Sipaahiyo ne Aapko dur se dekha, Aapka Mubarak chehra Noor se Roshan dikhai de raha tha, Dushmano ke Kaleje Kaanp uthe. Sipaahiyo ne Raaja ko khabar ki ek Nou Jawan aisa aisa he jiska Muqabla karne ki ham me taaqat nahi he. 

 ☄ Raaja Apne Sipaahiyo par bahot Gussa hua aur Sipaahiyo ko hukm diya ke Jahaz Mahel ke jitne bhi Jaadugar aur Tantrik he unhe hukm de ke jitney bhi Log hamare Qile me aae unhe Apni Jaadu ki taqat se qaid karle. jitne bhi Jaadugar aur Tantrik HAZRAT SAYYED MIRA ALI ke samne aae unka koi Jaadu aap par asar na kar saka. Jaadugar bhi ye dekh kar Hairan reh gae ke ye koun he ke jis par Hamara koi Jaadu asar nahi karta. HAZRAT SAYYED MIRA ALI Jaadugaro aur Raaja ke Sipaahiyo ko Qatl karte hue aage badhte chale gae. 


“QILA FATEH HUA”


 ☄ HAZRAT SAYYEDNA MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu badi Bahaduri aur Jawa mardi ke sath Jung kar rahe the. Douraane Jung bhi jab namaz ka waqt hota Aap jung rok kar pehle Namaz ada farmate. Aapki is adaa ko dekh kar Maandavgadh ke kai Sipaahi Iman le aae. HAZRAT MIRA SAYYED ALI Jung karte hue Raaja ke Mahel tak pahonche. Jahaz Mahel, jaha Raja Apni Jaadu ki nagri chalata tha usi Jahaz Mahel me 24ft ka ek Dev tha jiski wo Pooja karta. 

 ☄ Jab HAZRAT MIRA ALI DATAR Mahel me pahonche to aapka saamna RAJA MAHENDI se hua. HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR ko dekh kar uske Hosh ud gae. Dono ke bich Jung hui. MEHNDI RAAJ Kaafi zakhmi ho gaya. Usne dekha ke in par na koi Jaadu asar karta he na inse muqable ki kisi ko taaqat he, uske Sipaahiyo ne bhi Hathiyaar daal diye. Mouqa dekh kar RAJA MAHENDI waha se bhag gaya. HAZRAT SAYYED ALI ke sathiyo ne Apne Nishanat Mahel par laga diye, Jahaz Mahel me bhi Apne Fouji Nishan laga diye ke HAZRAT MIRA SAYYED ALI ke hatho Qila fateh ho gaya he. 

 ☄ HAZRAT MIRA ALI RAJA ko dhoondhte hue Neelkanth pahonche. Neelkanth me jo Sipaahi moujud the wo HAZRAT SAYYED ALI ko dekh kar darne lage. HAZRAT MIRA ALI ne farmaya : Daro nahi ! tum mujhe Raaja ka pata bata do me tumhe maaf kar dunga. Sipaahi ne kaha ke MEHNDI RAAJ Lohani Gufa me chhupa he waha jaaiye, aur Aapko Lohaani Gufa ka raasta bata diya. 


 “AAPKI SHAHADAT”


 ☄ Aap Raaja ko dhoondhte hue Lohani Gufa pahonche aur waha pahonch kar usko pakad liya. Aapko dekh kar Raaja Kaanpne laga. HAZRAT MIRA ALI ne Raaja ki Choti pakad li. Aur us se farmaya ke : Tum Rozana Na Haq Qatl karte ho, Khoon bahate ho, Logo par Zulmo Sitam karte ho, ye saare Kaam chhod do aur Iman le aao to me tumhe Bakhsh dunga. Raja ne kaha ke me Iman nahi laaunga.  

 ☄ Is par Aapne uski Choti kaat di. Raaja kehne laga ke meri Guzarish he ke meri is Choti ko Aap apne Qadmo ke paas hi dafn karna. Baato hi baato me Raaja ne Dhoke se HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR par Vaar kar diya. Jis se Aapka Mubarak Sar tan se Juda ho gaya. Phir bhi Aap bagair Sar ke Raaja se lade aur uske jism ke tin tukde kar diye. 

 ☄ HAZRAT SAYYED MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu ne 19 Saal ki umr Sharif me Shahdat ka Jaam nosh farmaya. Jis din Aap Shahid hue. 29 Muharramul Haraam ka din aur Safarul Muzaffar ki chand raat thi hijri 898 thi. 


“SHAHADAT KE BAAD”


 ☄ Jis jagah par Aap Shahid hue us jagah Aapke Mubarak Jism par Phoolo ka dher ho gaya. HAZRAT MIRA ALI DATAR ne Apne Dada Jaan ko khwab me Basharat di ke Maandavgadh Fateh ho chuka he aur Ham Khuda ki Raah me Shahid ho chuke he. Maandavgadh me jo Lohani Gufa he waha se mujhe le ja kar Unava me Dafn kare aur Raaja ki Choti mere Qadmo ke paas Dafn kar de. 

 ☄ HAZRAT SAYYED ILMUDDIN ne Apne Khwab ki Basharat MEHMOOD BEGDA ko bataai. SAYYED ILMUDDIN aur Badshah Sipaahiyo ko lekar Lohani Gufa pahonche. Gufa ke bahar hi HAZRAT MIRA ALI ka Ghoda khada hua tha. Ghoda Dada jaan ko MIRA ALI DATAR ke Muqaddas Jisme Paak tak le gaya. Jaha Aapka Mubarak Jism tha us par Phoolo ka dher laga hua tha. Aapko waha se nikaal kar Aalamgir Masjid me le gae. Waha Aapko Sandooq me rakh kar Oontni par Unava ke liye ravana hue. 

 ☄ ek jagah par aa kar Oontni ruk gai. Bahot koshish ki lekin Oontni aage nahi badhi. Ye wahi maqam tha jaha Aapne Vuzu karte waqt Misvaak Gaadi thi. Aapke Rihtedaaro ko waha bulaya gaya. Aapki Vaalida DAAMA AMMA bade bhai ABU MOHAMMAD vagaira aur kuchh der baad aapke Dada aur Badshah bhi waha pahonche. Aapki Namaze Janaza padhi gai aur Phir Aapko Dafn kiya gaya. Raaja ki Choti Aapke Qadmo ke paas dafn ki gai. 

 ☄ jis Lohani Gufa me Aapne Shahadat paai thi waha Qudratan Paani ka ek Chashma jaari ho gaya tha, jiska Paani Bahot Mitha he aur wo Chashma Aaj bhi jaari he. 


"AAPKA AASTANA DARUSHSHIFA HE"


 ☄ Aapka Aastana Ek Aisa Darushshifa He Jaha Musibatzada Ko Musibat Se Najat Milti He. Bhoot, Palit, Jaadu Tona, Aaseb, Vagaira Ki Taklifo Ke Liye Log Dur Dur Se Yaha Aakar Faiz Pate He. Aapke Darbar Me Har Waqt Zairin Ka Ek Hujum Laga Rehta He. Aasebzada Logo Ki Haazri Bharte Waqt Ajib Kefiyat Hoti He. Bahot Jununi Aur Sharir Aaseb Walo Ke To Bahot Herat Angez Waqeat Yaha Hote Rehte He. 

 ☄ Ek Sahab Jo Rajasthan Se The Unka Bayan He Ke Unko Aaseb Ka Asar Ho Gaya, Wo Rajasthan Se HAZRAT MIRA SAHAB radiyallahu anhu Ke Darbar Me Aae. Unko Loban Ke Waqt Hajri Aane Lagi Wo Jhumne Lage Aur Ek Jununi Kefiyat Tari Ho Gai Hajri Bharte Hue Unhone Achanak Apna Gala 1.5 Inch Tak Kaat Dala. Lekin SARKAR MIRA ALI DATAR radiyallahu anhu Ke Karam Se Unko Kuchh Nahi Hua. Jab Usko Hospital Le Jaya Gaya To Doctor Bhi Ta'ajjub Me Pad Gae Ke Ye Zinda He Aur Baate Kar Rahe He? 

 (Sawaneh Sayyed Mira Ali Datar) 

~~~~~~~~~~~~~

Posted by ↘

فیضانِ اولیاء

Post a Comment

0 Comments