Muktasar Seerate Paak
GOUSUL AALAM MEHBOOB E YAZDANI HAZRAT MAKHDOOM SULTAN SAYYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI radiyallahu anhu
(Urs :- 28, Muharramul Haraam, Mazar :- Kichhouchha Sharif, Faizabaad, U.P.)
“AAPKI VILADAT SHARIF”
>> Aapke Vaalide Maajid HAZRAT SULTAN SAYYED IBRAHIM rehmatullah alayh ke yaha chand Ladkiya paida hui ladka koi na tha. Dil me aarzu thi ke ALLAH PAAK Apne karam se koi Ladka ata farmae de jo is Saltanat ka Vaali ho aur ye Silsila aise hi jaari rahe. Aap har Darvesh va Vali ki taraf Dua ki garz se mutavajjeh hue.
>> ek raat me ALLAH KE PYARE HABIB sallallahu alayhi va sallam ki Ziyarat ka sharf hasil hua. Aapne nihayat Adab o Aehtaram se SARKAR sallallahu alayhi va sallam ki qadambosi ka sharf hasil kiya. ALLAH KE PAYRE HABIB sallallahu alayhi va sallam ne hans kar irshad farmaya ke…
>> Ae Farzand IBRAHIM ! tumko mutaraddid dekhta hu, kya Aulad ki khwaish he. Aapne adab se arz kiya ke Huzur ! agar farzand ata ho to kamaale Inayat hogi. HUZUR E AQDAS sallallahu alayhi va sallam ne irshad farmaya ke HAQ TA’ALA tumko do bete ata farmaaega. Ek ka naam ASHRAF aur dusre ka naam A’ARAF rakhna. Lekin tumhara pehla farzand ASHRAF zaahiri va baatini Saltanat ka maalik hoga.
“TAALIM O TARBIYAT”
>> Jab HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu ki umr sharif char saal char mahine char din ki hui to HAZRAT MOULANA IMADUDDIN TABREZI quddasa sirrahu ne aapko Bismillah karaai. Aapne saat baras ki umr me pura Qurane Paak saato Qiraat ke sath hifz kar liya. Chaudah (14) baras ki Umr hui to tamam Uloom o Kamaalat me sanad hasil karli aur Fazilat ki Dastaarbandi hui.
>> ek saal Aapne fanne Sipahgiri bhi sikha. Aapka rujhaan shuru hi se Faqr o Darveshi ki taraf tha aur Ibadate Ilahi ka zauq pura pura tha. Aapki zamir me talabe Haq ka madda Bachpan hi se tha jis Buzurg ko dekhte us se Faiz hasil karne ki koshish karte.
>> aur usi dauraan ek martaba HAZRAT SAYYEDNA KHIZR Alayhissalam ne Muraqabae isme zaat aur Paas Anfaas ki taalim di aur HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA OWAIS QARNI radiyallahu anhu ne Silsilae Owaisia ke azkaar ki Ijazat ata farmaai.
"AAP KI NIGAH E PAAK KI SHAAN"
⛰Ek Baar HAZRAT MAKHDOOM SULTAN SAYYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI Radiyallahu Anhu Ki Mehfil Me Ek Falsafi (Phylospher) Aaya Aur Aapki Mehfil Me Beth Gaya. Uski Shakl,Surat Aur Libas Se Aisa Maloom Hota Tha Ke Wo Bada Pakka Musalman He. Jab SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Ki Nigah Us Par Padi To Farmaya Ke “Kyu Behrupiya Bane Ho? Tum Sufiya Ki Nigah Se apni Haqiqat Ko Nahi Chhupa Sakte”.
⛰ Falsafi Apne Dil Me Bahot Sharminda Hua Aur Dil Hi Dil Me Toba Ki Aur Taaib Ho Gaya. Fir Thodi Der Ke Baad SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Ne Farmaya Ke “Alhamdulillah..Khuda Ne Tumhe Toba Nasib Farmai”.Hazrat Ke Is Kashf Par Usko Badi Herat Hui..Rota Hua Aapke Qadmo Me Gir Gaya Aur Islam Qubul Karke Aapka Murid Ho Gaya...
"AAPKI QURBAT AUR SOHBAT KA ASAR"
⛰ GOUSUL AALAM MEHBOOB E YAZDANI HAZRAT MAKHDOOM SULTAN SAYYED ASHRAF JAHANGIR SIMNANI Radiyallahu Anhu Ka Ek Murid Jo Khurasani Tha Aur Safar Va Hajar Me Hamesha Hazrat Ke Sath Rehta Tha. Use Ek Din Khoon Ki Kharabi Ki Bimari Ho Gai Aur Uska Sara Jism Kharab Ho Gaya. Usne Khayal Kiya Ke Meri Mojudgi Me Khankah Walo Ko Taklif Hogi Aur Ho Sakta He Unko Bhi Meri Vajah Se Ye Bimari Lag Jaae. Usne Ye Socha Ke Me Kahi Dur Chala Jata Hu Aur Apna Saaman Bhi Taiyyar Karne Laga.
⛰ Lekin MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Aur Khankah Ki Judai Ke Sadme Me Wo Bahot Rone Laga. Jab Logo Ne Uska Ye Haal Dekha To MAKHDOOM PAAK Se Jakar Uska Haal Bataya. MAKHDOOM PAAK Ne Us Murid Ko Bulwaya Aur Use Tasalli Di.
⛰ Phir Ek Paani Ka Pyala Mangwa Kar Usme Apna Luabe Dahan Yaani Thuk Sharif Dala Aur Us Murid Ko Dekar Farmaya Ke ‘Isko Apne Bimari Wale Jism Par Lagana’. Jab Us Murid Ne Aisa Kiya To Kuchh Hi Din Me Usko "Shifa" Ho Gai.....
"AAPKE ILM E GAIB KI SHAAN"
⛰ Ek din Qazi Shahabuddin HAZRAT MEHBUB-E-YAZDANI (radiyallahu anhu) ki Khidmat-E-Aali me is khayaal se hazir huve ke Huzur mujko mere laayak KHITAB(lakab) ataa farmaye aur wo chiz khilaaye jo maine kabhi na khaayi ho. Jese hi kheme mubarak ke karib aaye, kheme ki rassi se ulajkar QAZI SAHAB ki dastaar(amaama sharif) gir padi. HAZRAT MEHBUB-E-YAZDANI (radiyallahu anhu) ne farmaya, ' "MALEKUL OLMA !" Dastaar sar par rakho.' is taraha QAZI SAHAB ko 'MALEKUL OLMA' ka KHITAB(lakab) ataa hua.
⛰ QAZI SAHAB jab kadambosi karke adaban do zanu baithe, HAZRAT ne baavarchi se farmaya ke Qazi Sahab ke liye khana layiye. Baavarchi ne khir ka ek pyaala Qazi Sahab ke samne pesh kiya. Qazi Sahab sochne lage ke Khir koi naayab khana nahi, Mene baaraha khir khaayi hai.
⛰ HAZRAT MEHBUBE-E-YAZDANI (radiyallahu anhu) ne farmaya ke "fakir ke sath gaay-bhens(cow-buffelo) nahi rehti hai. Jahan fakir jaata hai, Jungle ke Hiran, Nilgaay aakar dudh de jaate hai. Bhala is dudh ki khir apko kab mayassar huyi ? Ye sunkar Qazi Sahab dil hi dil me pasheman huve" is tarah Qazi Sahab ko Hiran, Nilgaay ke dudh ki khir khane mili jo apne pehle kabhi na khayi thi.
"ALLAH RABBUL IZZAT KI BARGAH SE KHITAB E JAHANGIRI ATAA HUVA"
⛰ Yu to HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu Apne Pir o Murshid ki Khidmat me 12 saal rahe. Pehli baar 4 saal musalsal Apne Pir o Murshid ki Bargah me rahe. Us darmiyan HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ALAUL HAQ VADDIN radiyallahu anhu ki badi tamanna thi ke aapke liye koi Laqab tajviz kare magar aapko iska intezar tha ke Gaib se koi Khitab ataa ho.
⛰ Chunanche HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu ko Apne Pir o Murshid ki khidmat me rehte hue 4tha saal tha ke ek raat ko jo “Shab e Baraat” thi HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ALAUL HAQ VADDIN radiyallahu anhu Apne Avraad o Vazaaif ke mamoolat se farig ho kar khalvat me tashrif farma hue aur ek Muraqiba farmaya yaha tak ke Sahar ka waqt aa gaya aur….
⛰ Daro Divaar se Aavaz aane lagi ke “JAHANGIR” “JAHANGIR” Aapne samajh liya ke ye Aasmani khitab ataa hua he. Irshad farmaya ke “ALHAMDULILLAH ! FARZAND ASHRAF KO KHITAB E JAHANGIRI ATAA HUA HE”
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu dusre hujre me the. Subah ko jab Namaz e Fajr ke liye bahar nikle aur Namaz e Fajr padhi to HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM SHAIKH ALAUL HAQ VADDIN radiyallahu anhu ne Hasbe Mamool sab se musahfa farmaya aur sab log Aapas me musahfa karne lage lekin Aaj jo shakhs bhi HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu se Musahfa karta to wo kehta tha ke “KHITAB E JAHANGIRI MUBARAK HO”
⛰ usi waqt HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu ne do (2) She’ar farmae. Us 4 baras ki Khidmate Shaikh ka natija ye hua ke ek dafaa 27 Ramzanul Mubarak ki raat thi. HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ALAUL HAQ VADDIN radiyallahu anhu ne farmaya ke “Ae farzand ASHRAF ! koi Nemat ibtidaai aur intihaai jo mere paas thi use tumko na diya ho. Bas samajh lo ke ab mene tumko bilkul labrez kar diya he”
"ALLAH RABBUL IZZAT KI BARGAH SE KHITAB E “MEHBOOB E YAZDAANI"
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu ne Ishq e Ilahi ki raah aur talabe Moula ki sabil me sab se pehla qadam bachpan hi me hosh sambhalte hi rakh diya tha.
⛰ 27 Ramzanul Mubarak 782 hijri ki raat ko ‘Roohabaad, Kichhouchha Sharif’ me SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu ko ‘Shab e Qadr’ mili. Muridin, Khulfa aur Qalandaraan va Arbaab e Safa ka achha khasa majma tha. HAZRAT SAYYEDNA ABDUR RAZZAQ NOORUL AIN, HAZRAT DURRE YATIM, HAZRAT SHAIKH KABIR, HAZRAT SHAIKH RUKNUDDIN SHEHBAAZ, HAZRAT SHAIKH ASILUDDIN SAFEDBAAZ, HAZRAT SHAIKH JAMILUDDIN JARAHBAAZ, HAZRAT QAZI RAFIYUDDIN AVADHI, HAZRAT SHAIKH SHAMSHUDDIN AVADHI, HAZRAT SHAIKH AARIF, HAZRAT SHAIKH MAROOF, HAZRAT MALIK MEHMOOD ridvanullahi alayhim ajmain vagera us raat ko bedaari me hazir the. Thik Subha Sadiq ke waqt logo ne suna ke Haatife Gaibi ne Nidaa di ke….
🌹“ASHRAF HAMARA MEHBOOB HE”🌹
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu ki Aadate karima thi ke rozana Namaz e Fajr Makka Mukarrama me Adaa farmate the. Chunanche us Shab e Qadr ki subah ko bhi Aap Makka Mukarrama Namaz adaa karne ke liye tashrif le gae. Vaha HAZRAT SHAIKH NAJMUDDIN ASFAHANI radiyallahu anhu bhi moujud the. HAZRAT MAKHDOOM PAAK ko dekhte hi farmaya ke “MEHBOOB E YAZDAANI AAIYE, AAPKO YE KHUDAVANDI KHITAB MUBARAK HO”
⛰ us waqt dono Buzurgo ne izhare Masarrat ke liye Muanqa kiya. Us waqt taqriban 500 Mashaikh e kiram Haram Sharif me moujud the. Uske baad SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu jaha bhi tashrif le jate Mashaikh e Kiram Aapko MEHBOOB E YAZDAANI keh kar Mukhatib karte the.
"ALLAH RABBUL IZZAT KI BARGAH SE “MARTABAE GAUSIYAT" ATA HONA
⛰ Maratib e Vilayat me sab se Aala martaba jis ko istelaah me “MARTABA E GOUSIYAT” kehte he Rab Ta’ala ne ye Martaba bhi SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu ko Inayat farmaya aur Aalam ka Aalam Aapki Bargahe Be kas Panaah ka Bhikari aur fariyadi ban gaya.
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu ka Naam e Naami Radde Balaa va Masaaib aur Dafa’e Aaseb va sahar va Junoon ke liye Aahini Qila he. ‘Akhbarul Akhiyaar Sharif’ me he ke “MAKHDOOM PAAK KA NAAM IS DAYAAR ME JINNAAT DAFA KARNE KE LIYE BAHOT HI MUSIR (Asardaar, Asar rakhne wala) HE”
⛰ SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu ki Viladat e Paak se pehle hi Akabir Aulia Allah ne Aapko ‘MARTABA E GOUSIYAT’ ke muta’alliq Basharate di thi. ‘Tabqatus Sufiya’ ke hawale se HAZRAT MOULANA NIZAMUDDIN YAMANI Alayhirrehma naql karte he ke HAZRAT SHAIKH MUHYUDDIN ARBI radiyallahu anhu Khana e Kaaba ke tavaaf me mashgool the. Aapne dekha ke ek shakhs nihayat tezi ke sath tavaaf kar rahe he, Jab Aadmiyo ke Hujum se Guzarte he bagair kisi ko hataae Hawa ki tarah nikal jate he aur Aage badh jate he.
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MUHYUDDIN ARBI radiyallahu anhu farmate he ke Jab wo tavaaf kar chuke to mene unko Salaam kiya unhone Salaam ka Jawab diya. Daryaft karne par maloom hua ke wo HAZRAT ABU BAQR VAASTI Alayhirrehma he. Mene unse Puchha ke kya Aapko maloom he ke is waqt GOUS E ZAMANA kon he? Farmaya ke “Me hu aur mere baad MIR SAYYED JALALUDDIN MAKHDOOM JAHANIYA JAHANGASHT (radiyallahu anhu) honge, unke baad MIR SAYYED ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI (radiyallahu anhu) honge”
⛰ ‘Risaala e Gousiya’ me KHWAJA E KHWAJGAA HAZRAT SAYYEDNA KHWAJA MOINUDDIN CHISHTI radiyallahu anhu ne tehrir farmaya he ke “Mere Silsile me ek GOUS JAHANGIR paida hoga aur wo taraqqi ke sath mere Silsile ko jari karega”
"AAPKE JAANVAR BHI BA ADAB HE"
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu Jab Jonpur Ke Karib qasba Zafrabaad Me Pahuche To Aapne “Zafarkhan Masjid” Me Qayam Farmaya, Aapke Saath Jo Qalandar Log The, Unhone Aapke Jaanvar Oont(Camel), Ghode(Hourse) Aur Khachcharo Ko Masjid Ke Sahen Me Baandhna Shuru Kiya.
⛰ Is Khabar Ko Sunkar Chand Ulma va Talba Puchhtaachh Ke Liye Haazir Huve. Itne Me Ek Ghode(Hourse) Ne Gardan Se Ishaara Kiya. SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Ne Farmaya, "Ye Ghoda Lid Karega, Ishaara Karta Hai, Ise Masjid Ke Baahar Le Jaao." Fir Ek Oont(camel) Ne Ishaara Kiya. Aapne Farmaya Ke, "Ye Peshaab Karega, Isko Bhi Baahar Le Jaao." Isi Tarah Chand Jaanvaro Ne Ishaare Kiye.
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu Ne Ulma Va Talba Se Farmaya, "Ye Jaanvar Paak Hai, Masjid Ke Sahan Me Unka Laana Mamnu Nahi. Isliye Ke Hamaare Saath Rehnewaale Ye Jaanvar Baa-Adab Hai. Apni Havaaeej Se Khabar Kar Dete Hai. To Aese Jaanvaro Ka Masjid Me Laana Kya Kabaahat Hai . ? ? Haan! Adab Ka Takaaza Ye Hai Ke Jaanvar Masjid Me Na Laaye Jaaye." Aitraaz Karnewaale Pashemaan Hokar Chale Gaye.
"AAPKA DARIYA SE KHITAAB"
⛰ Ek Baar HAZRAT SAYYEDNA SARKAR MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNANI radiyallahu anhu Ka Guzar Kasba Saubankali Me Hua. Waha Par Har Saal Dariya Ki Tugyaani (Sailaab) Se Logo Ki Khetiya Kharaab Ho Jaati Thi. Is Baar Dariya Ki Tugyaani Jyaada Huyi. Wahaake Musalmano Ne SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Ki Bargah Me Aakar Apni Taklif Bayaan Ki.
⛰ SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu Ne Kaagaz Ka Ek Tukda Mangvaaya Aur Us Par Apne Daste Mubarak Se Likha ke "Ay Dariya Ke Paani ! ABDULLAH ASHRAF SIMNANI (radiyallahu anhu) Ki Taraf Se Tumko Maalum Ho Ke Agar Teri Tugyaani (Sailaab) Hukm-E-KHUDA Se Hai To Bahukm-E-KHUDA Jaha Tak Had Mukarrar Ki Jaaye Usse Aage Na Badhna Aur Un Hudud(Hado) Par Lakdi ya Patthar(stone) Nishaan Ke Liye Gaad Diye.
🌹 Logo Ki Taklif Dur Ho Gayi, SubhanALLAH . . .
📘 (Al Ashraf Monthley)
"AAP JAHANGIR BHI HE AUR JAA(N) GIR BHI"
⛰ Ek Martaba Aapki Bargah me ek Qalandar Ghus aaya jiska Naam ‘ALI QALANDAR’ tha. Uske sath 500 kafan posh Qalandar aur the, ALI QALANDAR ne HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNAANI radiyallahu anhu se Mukhatib ho kar kaha ke “Bataiye Aapne JAHANGIRI kaha se paai?”
⛰ HAZRAT SAYYEDNA MAKHDOOM E PAAK radiyallahu anhu ne farmaya “Apne Pir se (Khitaab e Jahangiri paya)”
⛰ Is Par us Qalandar ne kaha ke iska Saboot kya he? Ye sunte hi SARKAR MAKHDOOM PAAK radiyallahu anhu ko Jalaal aa gaya aur Gazabnaak ho kar farmaya ke “Saboot yahi he ke ME JAHANGIR BHI HU AUR JAA(N)GIR BHI HU”
⛰ (itna Sunte hi) ALI QALANDAR Zamin par gira aur vahi dam tod diya. Uske sathi Qalandar Touba kar ke Aapke Murid ho gae.
“AAPKA VISAALE PAAK”
>> Aapka Visaale Paak 28 Muharramul Haraam 808 hijri me hua. Aapka Mazare Aqdas U.P. me Kichhouchha Sharif me ziyarate gaahe khaso aam he.
(Tazkira Hazrat Makhdoom Ashraf Jahangir Simnaani radiyallahu anhu, Mehboobe Yazdani,
Al Ashraf Monthly, Siyarul Akhiyaar)
~~~~~~~~~~~~~
Posted by ↘
فیضانِ اولیاء
0 Comments