اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 01 ↡ Aqeeda Allah Ta’ala ke Bare Main↡ •─────────────• ⚘⌬ ➤ AllaH Ta’ala Ek hai Us Ka Koi Shareek Nahi Asman ,Zameen , insaan , Jaanwar Aur Saari Kaainat Ka Paida Karne Wala Wahi Hai Wahi ibadat Ka Haqdaar Hai Dusra Koi ibadat Ka Haqdaar Nahi Wahi Sab Ko Rozi Deta Hai Ameeri, Garibi, izzat Aur Zillat Sab Usi Ke Ekhtiyaar Main Hai, Jise Chaahta Hai izzat Deta Hai Aur Jise Chaahta Hai Zillat Deta Hai Sab Uske Mohtaaj Hain Aur Woh Kisi Ka Mohtaaj Nahi Hai Woh Har Khuli Aur Chhupi Chizon Ko Jaanta Hai Aur Dhimi Se Dhimi Awazon Ko Sunta Hai Koi Bhi Chiz Us Se Chhupi Huyi Nahi Hai Aur Woh Har Chiz Par Qaadir Hai Koi Bhi Chiz Uski Qudrat Se Bahar nahi, Jaisa Ki Khud Allah Ta’ala ne irshad Farmaya Ki Beshak Allah Har Chiz Par Qaadir hai. 📬 Surah Al-Baqrah,Aayat No.20 ⚠NOTE:-Allah Ta’ala Har Chiz Par Qaadir Hai Is ka Matlab Ye Hai Ki Har Woh Chiz Jo Us Ki Shaan Ke Laaeq Hai Un Sab Chizon Par Qaadir hai.is Ka Ye Matlab Nahi Hai ki Woh Har Chiz Par Qaadir Hai Chaahe Woh Chiz Us Ki Shaan Ke laaeq Ho ya Na Ho Yahan Tak ki Koi Shakhs Shaitan Ke Dhoke Main Aa Kar Ye Keh De Ki Allah Ta’ala Chori Aur Dusre Gunah ke kaam Bhi Kar Sakta Hai Aur insaan ka Roop Dhaar (Sakal Apna) kar Kisi ke Badan Main Bhi Sama Sakta Hai Wagairah (Tauba Tuba) Kuchh Log Kehte Hain Ki Allah Ta’ala Un Chizon Ke Karne Par Bhi Qaadir Hai Jo uski Shaan ke Laaeq Nahi Hai Jaise Jhoot Bolna,Sharab Pina Wagairah Magar Karta Nahi hai (Tauba Astaghfirullah) Ye Aqeeda bikul Galat hai Kyunki is Se Ye laazim Aata Hai ki Allah Ta’ala ke Andar Ye Sab Aib Toh Hain Magar Woh Ose Chhupaae Rahta Hai Aur Karta Nahi.Jab ki Ek Musalman Ke liye Zaroori Hai Ki Woh Allah Ta’ala ki Zaat ko Har Aib Aur Bura’ee Se Paak Jaane kyunki Quran Sharif ki Bahut Saari aayaton me Allah Ta’ala Ne Apne liye “Subhan” ka Lafz istemal Farmaya hai Jis Ka Matlab Hi Ye Hota Hai ki Allah Ta’ala Ki Zaat ke Andar Koi Aib Nahi Hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments