Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Post:-02 AQeeDa AllaH Ta’aLa ke Baare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E Ahlesunnat 🅿🄾🅂🅃 ➫02
↡ Aqeeda AllaH Ta’aLa ke Baare  ↡ 
    •─────────────•
⚘AQEEDA ⌬ ➤ AllaH Ta’ala ne Quran sharif me apni bahut saari sifaat ka zikr farmaya hai jaise ki woh Rauf-o-Rahim hai,Sami-o-baseer hai,Halim-o-karim hai,Gaib yani poshida baaton ko jaan ne wala hai wagairah, phir yehi sifaten ambiya-e-kiraam aur dusron ke liye bhi bayan farmaya To is ka matlab ye nahi hai ki ye sab Allah ke barabar ya Allah ki tarah ho gae kyunki jis tarah Allah ta’ala ki zaat ki tarah kisi ki zaat nahi usi tarah uski sifaat ki tarah kisi ki sifaat nahi jaisa ki Allah Ta’ala khud bayan farmata hai ki,
            
  [لَیۡسَ کَمِثْلِہٖ شَیۡءٌ [سورۃ الشوریٰ:11          
 Uski tarah koi bhi chiz nahi hai
        📬 SuraH Shura : 11 📗

⚘⌬ ➤ is ka sahi matlab yeh hai ki yeh sab sifaten Allah Ta’ala ki zaati hai yani begair kisi ke diye use khud se hai aur dusron ko us ke dene se hasil hai,Aur ye baat bilkul zaahir hai ki dene wala aur lene wala ek tarah nahi ho sakta Is liye agar ham Nabi kareem sallallaho alaihe wasallam ke liye gaib ki sifat maane ya Hazrat-e-Isa alaihissalam ke liye murdon ko zinda karne ki sifat maane to ye shirk nahi ho sakta kyunki ye sifat Allah ta’ala ke liye zaati maana jaata hai aur dusron ke liye ata’ee maana jaata hai aur shirk usi waqt hota hai jab ki Allah ki zaat ya sifaat ki tarah kisi dusre ki zaat ya sifaat maana jaae.Haan agar koi shakhs huzur ke liye gaib jaan ne ki sifat ya hazrat-e-Isa alaihissalam ke liye murdon ko zinda karne ki sifat na maane to woh Quran ka inkaar karne wala hoga kyunki Allah ta’ala ne apni is ata ka zikr khud Quran sharif me bayan farmaya hai.Allah Ta’ala ne Huzur ke ilm-e-gaib ko bayan karte hue farmaya ki,
وَ مَا ہُوَ عَلَی الْغَیۡبِ بِضَنِیۡنٍ.
⚘⌬ ➤  Aur woh( Muhammad ﷺ) Gaib ki baat batane par bakhil(yaani kanjoos) nahi hain,
            📬 SuraH Takveer, Aayat No.24 📒
⚘⌬ ➤  Yaani gaib ki baat bataate hain aur us ke bataane me kanjusi nahi karte hain, Saaf baat hai ki gaib ki baaten wahi bataaega jiske paas gaib ka ilm hoga Is liye is aayat se maloom hua ki Huzur ﷺ gaib ki baat jaante hain..
📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ


Share on: |


Post a Comment

0 Comments