اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 17 ↡Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main↡ •─────────────• ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ AllaH Ta’ala ne Apne Nabiyon ko Gaib ka ilm Ata Farmaya, Is liye Woh Jaise Zaaheri Baaton ko Jaante Hain usi Tarah Poshida Baaton ko bhi Jaante hain 📬 SuraH Aal-e-Imran,Aayat No.179. Surah Jin,Aayat No.26.Sahi Bukhari,Hadith No.3192/741.Sahi Muslim,Hadith No.2892/1779 ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Allah Ta’ala ka Wada Pura hone ke liye har Nabi ko Maut Aai Lekin Phir Allah Ta’ala ne Unhen Pehle se bhi Achchhi Zindagi Ata Farmaya Is liye Saare Ambiya-e-Kiraam Apni Apni Qabron me Zinda Hain Aur un ki Zindagi Shahidon ki Zindagi Se Bahut Badh ke hai.Nabi kareem sallallaho Alaihe wasallam ne irshad Farmaya ki Abmiya-e-Kiraam Apni Qabron me Zinda Hote hain aur Namaz Padhte hain 📬 Hayatul Ambiya lil-baihaqi,Hadith No.1📘 ⚘ ⌬ ➤ Aur Hadis Sharif Me hai ki Ek Shakhs Ne Puchha ki Ya Rasoolallah ﷺ Kya Ham logon ka Salaat-o-Salam Aap ke Duniya se Jaane ke Baad bhi Aap Par Pesh kiya Jaaega?To Huzurﷺ ne Farmaya ki Haan Aur Farmaya ki Allah Ta’ala Ne Zameen Par Haram kar diya hai ki Woh Nabiyon ke jimson ko khaae to Allah ke Nabi Zinda Hote hain aur unhen Rizq Diya jaata hai. 📬 Abu’dawood,Hadith No.1047.Ibn-e-Majah,Hadith No.1637 📕 ⚘ ⌬ ➤ Is liye Ambiya-e-Kiram ke Baare Me ye kehna ki Woh mar kar Mitti me Mil gaye Gumrahi Aur Be-Deeni hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments