اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 18 ↡Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main↡ •─────────────• ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Ambiya-e-Kiraam ka Aapas me ek Darja nahi hai Balki kuchh Nabi kuchh Nabi Oar Fazilat Rakhte Hain Aur Saare Nabiyon Me Sab se Afzal Hamare Nabi Sallallaho Alaihe Wasallam hain 📬 SuraH Aal-e-Imran,Aayat No.81.Surah baqra,Aayat No.253.Tirmizi,Hadith No.3615 📕 ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Hamare Nabi ﷺ ko Allah Ta’ala ne Qayamat tak ke liye Tamam Makhluq ki Taraf Aakheri Nabi Bana Kar bheja Is liye Aap Sallallaho alaihe Wasallam ke Baad ab koi naya Nabi nahi ho Sakta Aur jo Shakhs ye kahe ki Aap Sallallaho Alaihe Wasallam ke baad bhi koi Naya Nabi ho Sakta Hai Woh Kaafir hai. 📬 SuraH Ahzaab,Aayat No.40.Sahi Bukhari,Hadith No.3534.Sahi Muslim,Hadith No.523 📚 ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Hamare Nabi ﷺ ko Allah Ta’ala ne Meraj Ata Farmaya Aur Apna Didaar karaya Jaisa ki Huzur ﷺ ne irshad Farmaya ki Main ne Apne Rab Ta’ala ko Dekha. 📬 Masnad-e-Imam Ahmad,Hadith No.2623/2678.Sahi Muslim,Hadith No.178.Tirmizi,Hadith No.3278 📒 ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Qayamat ke Din Allah Ta’ala ki Hamd ka Jhanda Hamare Nabi ﷺ ke Haathon Me Hoga Aur Sab se pahle Aap hi Shafa’at Farmaaenge Us ke baad Allah Ta’ala Aapﷺ ko ''Maqam-e-Mahmood'' Yani Aisi Jagah Par Khada karega Jahan Par Saare log Aap ki Taarif karenge. 📬 Surah bani isra’il,Aayat No.79.Tirmizi,Hadith No.3616 📘 ⚘AQEEDAH ⌬ ➤ Jab Tak koi Shakhs Huzur ﷺ Se Apne Maa,Baap,Aulad Aur Tamam Logon Se ziyadah Mohabbat na kare Woh Momin Nahi Ho Sakta hai.. 📬 Sahi Bukhari,Hadith No.15 📚 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments