اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 19 ↡ Aqeeda Taqdeer ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘ AQEEDA ⌬ ➤ Dunya mein jo kuchh hota hai aur bande jo kuchh bhala’ee ya bura’ee karte hain Allah Ta'ala Ne Use Apne ilm ke Mutabiq Pehle Se Likh diya hai usi ko Taqdeer Kehte hain Ye Haq hai aur is Par imaan laana Zaruri Hai Aur is ka inkaar karne wala Gumraah Bad’Mazhab hai Lekin koi ye Khayal Na Kare ki Allah Ta'ala ne Hamari Taqdeer Mein Jaisa likh diya hai hame Majbooran Waisa hi karna Padhta hai Sahi baat ye hai ki Ham jaisa karne wale the, Allah Ta'ala ne apne ilm se waisa hi likh diya agar kisi ki taqdeer mein Bura’ee Likhi To is liye ki woh Apne Ekhtiyar Se bura’ee karne wala Tha Agar woh bhala’ee Karne Wala hota To Allah Ta'ala uski Taqdeer Me bhala’ee likhta. Khulasa Ye hai ki Allah Ta'ala ke likh dene Se Banda kisi Kaam ke karne par Majboor nahi Kiya Gaya Taqdeer ka Pehle se likha jaana haq hai aur is par imaan laana Zaruri hai Huzur ﷺ ne irshad Farmaya ki لاَ يُؤْمِنُ عَبْدٌ حَتَّى يُؤْمِنَ بِأَرْبَعٍ : بِاللَّهِ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ ، وَأَنِّي رَسُولُ اللهِ ، وَالْبَعْثِ بَعْدَ الْمَوْتِ ، وَالْقَدَرِ ⚘TARJUMA ⌬ ➤ Koi Banda Momin nahi ho Sakta Jab Tak ki Woh Chaar (4) Baaton Par imaan na le aaye ⚘1 ⌬ ➤ Allah Par jis ka koi shareek nahi hai ⚘2 ⌬ ➤ Aur ye ki Beshak Main Allah ka Rasool hu ⚘3 ⌬ ➤ Marne ke Baad Dobarah Zinda Kiye Jaane par ⚘4 ⌬ ➤ Aur taqdeer par.. 📚 Ibn-e-Majah , Hadith No. 81 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments