اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 20 ↡ Aqeeda Taqdeer ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘FAAIDA ⌬ ➤ Taqdeer ke Mas’ale Mein Bahas Karna aur us ke Bare Mein Zyada Gaur-o-Fikr karna Mana hai Kyun ki is ki Wajah se Gumrah Hone ka Andesha hai Isi liye Jab Huzurﷺ Ne Ek Baar Sahaba ko is Mas’ale Mein Bahas karte hue dekha to Aap ﷺ bahut Naa’raaz hue , Hazrate Amar bin Shu’aib Radhi Allaho anho Bayan karte hain ki Aap ﷺ ka Chehra-e-Aqdas Gusse se itna Surkh Ho Gaya ki Maloom Padhta Tha ki Aapﷺ ke Chehre-e-Aqdas me Anaar ka Daana Nichod Diya Gaya hai. 📬 Ibn-e-Majah ,Hadith No:85 📗 ⚘ ⌬ ➤ Ek Dusri Hadees Me hai ki Huzur ﷺ Ne irshad Farmaya ki jis ne Taqdeer ke Bare Me Bahas kiya us se us ke bare Mein Qayamat ke Din Sawal kiya Jaayega Aur Jis Ne Bahas Nahi Kiya us Se us ke Baare Mein Puchha Jaayega 📬 Ibn-e-majah,hadith No:84 📒 ⚘ ⌬ ➤ Is liye Hame Bas itna Yaqeen Rakhna Chahiye ki ye haq hai aur us ke Bare me Bahas Karne se Bachna Chahiye Aur Ye Soch kar na Baith Jaana Chahiye ki Jo likha hai Woh To ho kar Rahega Phir Ham kyun Mehnat wa Mushaqqat kare Balki Taqdeer Par Yaqeen Rakhne ke Saath Amal Bhi Kare Kyun ki Hame isi ka Hukm Diya Gaya hai... 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments