اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 21 ↡ Aqeeda Sahaba-e-Kiraam ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘⌬ ➤ Saare Sahaba-e-kiraam se Allah Ta’ala Raazi hai aur un Sab se bhalai Yani Jannat ka wada Farma liya hai Jaisa ki Allah Ta’ala ne irshad Farmaya رَّضِیَ اللہُ عَنْہُمْ وَرَضُوۡا عَنْہُ وَ اَعَدَّ لَہُمْ جَنّٰتٍ تَجْرِیۡ تَحْتَہَا الۡاَنْہٰرُ خٰلِدِیۡنَ فِیۡہَاۤ اَبَدًا ؕ ذٰلِکَ الْفَوْزُ الْعَظِیۡمُ ⚘Tarjuma ⌬ ➤ Allah un Sab se Raazi Huwa aur woh sab Allah se raazi hue aur Allah ne un ke liye aisi jannati tayyar ki hai jinke niche nahrein bahti hai,woh us mein hamesha rahenge ,woh badi kaamyabi hai 📬 SuraH Tauba,Aayat No.100 📒 Aur Dusri jagah irshad Farmaya ki وَکُلًّا وَّعَدَ اللہُ الْحُسْنٰی ⚘Tarjuma ⌬ ➤ Aur Allah ne (tamaam sahaba se) se bhala’e ka wada farma liya 📬 SuraH Hadid,Aayat No.10 📘 ⚘ ⌬ ➤ In dono aayaton se maloom ho gaya ki saare sahaba se Allah raazi hai aur un se jaanat ka wada farma liya hai is liye woh sab jannati hai Balki un ki shaan ye hai ki un ke chehre ko dekhne wala bhi jannati hai Jaisa ki Huzur ﷺ ne irshad farmaya ki Us musalman ko jahannam ki aag nahi chhuyegi jis ne mujhe dekha ( yaani mere sahaba ko) ya jis ne mere dekhne walo ko dekha ( Yani tabayein ko) 📬 Tirmizi,Hadith No.3858 📕 ⚘ ⌬ ➤ To ab agar koi Shakhs kisi Sahabi se Naa’raaz hota hai ya un ke bare mein galat baat kehta hai to is se sahaba ki zaat par koi asar nahi padhta balki woh khud apni aakhirat ko Tabah aur barbaad karta hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments