Ek Ghar Me Ek Family Raha Karti Thi, Jinki Ek Kuwari Beti Ka Kisi Hadse Se Inteqal Ho Gaya Tha, Ya Use Mar Diya Gaya Tha.Fir unhone kuch din baad ghar khali kar diya, uske baad dusri family rehne ke liye aayi. To unka kehna hai ki, unhe saya dikhta hai, unko bulata hai . Sawal ye hai, kya aam insan ki rooh ko itna ikhtiyar hai ki wo kahi jaa ke logo ko dara sake. Jawab: Ye sab mushriko ke aqaaid hain ke koi hadse me mar jaaye, to uski rooh bhatakti hai. Shar’an aisa kuch nahi. Aadmi ki rooh apne taqat ke mutabiq sair karti hai, magar wo daraati nahi. Aur fasiqo kafiro ki rooh qaid rehti hai. Lehaza rooh ka saya nazar aana mahaal baat hai. Haan jinnati asaraat ho sakte hain. ○●●●●●●●●●●●●○ Khalife Tajushshariah Mufti Maqsood Akhtar Qadri Razvi Amjadi Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi ○●●●●●●●●●●●●○*Apne Mobile pr Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne ke liye Dowanlod kare Maslak E AalaHazrat Android App Es link se* https://paighame-raza.blogspot.com
|
0 Comments