Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Abu Mohammad Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَرَسُوۡلَ اللهﷺ
اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَحَبِيۡبَ‌اللهﷺ

Hazrat Abu Mohammad Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu : 
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ 
Alqab: 
‾‾‾‾‾‾‾‾
Mujtaba, Shaheed e Abraar, Imaam e Aali maqaam, Sayyed-ush-Shabaabi Ahlil Jannah, Zakī, Rehaan e Rasool, Sibt-al-akbar. Kunniyat : Abu Mohammad. ********* 
Aap ki wilaadat 15 Ramazaan 3 Hijri (4 March 625 A.D.) ko Madeena Munawwara me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Ali al-Murtaza ibne Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrate Sayyeda Faatima Zahra binte Muhammad Mustafa (sallallāhu alaihi wa sallam) radiy-Allāhu ta’ala anha hai. Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ne ALLĀH ke farmaan se aap ka naam Hazrate Hāroon alaihis salaam ke bete ‘Shabbar’ ke naam se ‘Hasan’ rakha. Is tarah ye Jannati naam sab se pehle aap ko mila. Is se pehle kisi ka naam Hasan nahi tha. ************
 Ek martaba dauraane safar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Hasan aur Hazrat Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke rone ki aawaaz suni to Aap ne Hazrat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha se pucha “Bachche kyun ro rahe hain?” Sayyeda ne arz kiya “Pyaas ki wajah se.” Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne tamam saathiyo se paani ke baare me puchha magar paani na mila. Farmaaya “Dono ko mere paas laao.” Sayyeda chaadar ke andar lekar aai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne pehle Hasan ko uthaakar seene se lagaaya aur apni zabaan mubarak unke munh me daali aur Hazrat Hasan ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki zabaan chusna shuru kiya aur unki pyaas door hui aur chup ho gaye. Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Husain ko uthaakar seene se lagaaya aur unke munh me bhi zabaan mubarak daali aur woh bhi zabaan mubarak chuskar chup ho gaye. 
 ***************
 Ek din Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu ko bachpan me apne kandhe mubarak par bitha liya. Raaste me ek shakhs mila aur us ne Hazrate Hasan ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke kandhe par dekha to kaha “Aye bache! Tumahri sawaari badi achhi hai!” Yeh sunkar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Aur sawaar bhi to bada achha hai.” ************ 
Hazrat Abdullāh bin Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu farmaate hain ki “Maine dekha ki Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam rooku ki haalat me hote aur agar Imaam Hasan masjid me aa jaaye to apne pairo ke bich me itna faasla kar dete ki Imaame Hasan bich me se guzar kar dusri taraf nikal jaate.” 
 ************ 
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai ke “Ye mere bete (Hasan aur Husain) musalmano ke Imaam hain, chaahe wo baithe ho ya khade ho.” Ek din Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam mimbar par tashreef farma the. Saath hi pehlu me Hazrat Imaam Hasan radiy-Allahu ta’ala anhu bhi tashreef farma the. Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ne ek nazar logo ki taraf farmai aur phir Hazrat Imaam Hasan radiy-Allahu ta’ala anhu ki taraf dekhkar farmaaya ‘Yeh mera beta Sardaar hai. ALLĀH ta’ala is ke zariye musalmano ke do bade giroh me suleh karayega.’ Hazrat Bara bin Aazib radiy-Allahu ta’ala anhu farmate hain ki “Maine Rasool-Allāh ko dekha ke Aap imaame Hasan ko apne kandhe par bithaaye hue hain aur dua kar rahe hain ki : Aye ALLĀH! Main is se mohabbat karta hu tu bhi is se mohabbat rakh.” ************ 
Jab Aap ki umr 8 saal thi tab Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ki aur phir Sayyeda Faatima Zahara radiy-Allāhu ta’ala anhu ka wisaal hua. 
 ************
Aap sar se lekar seene tak Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki shabi the. Logo ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki yaad aati thi tab wo Imaame Hasan ki ziyarat kar lete the. 
 ************ 
35 Hijri me jab raafziyo ne Ameer ul mo’mineen Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala to tab aap ne Hazrat Husain ibn Ali al-Murtaza, Abdullāh ibn Zubair aur Marwan bin Hakam ke saath un ki hifaazat ke liye un ke ghar par pehra diya. Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap ne Kufa jaakar lashkar tayyaar kiya. Aap Jung e Jamaal (Jamaadi ul awwal 36 Hijri), Jung e Siffin (Safar 37 Hijri ) aur Jung e Nahrawan (Safar 38 Hijri) me shareek hue. 
 ************ 
Aap ka Ilm, Husn e akhlaaq, Sakhaawat aur Ibaadat mash'hoor hai. 
 *********** 
Aap ne taqreeban 20 baar paidal chalkar Hajj ada kiye. ****************
Aap ne 2 baar apna saara maal raahe khuda me de diya aur 3 baar apna aadha maal rahe khuda me de diya. Aap ke baargaah me aane waale har ghareeb, miskeen aur haajatmand ko Aap zyada se zyada dete the. Kisi ne puchha ke “Aap sab ko itna zyada dete hain ke kabhi kabhi to khud ke liye bhi baaqi nahi rakhte.” To Aap ne farmaaya ke “Mujhe ye sab kuchh ALLĀH ta’ala ne diya hai aur mere zariye se woh dusro ko dila raha hai. Main darta hu ke agar main hajatmando ko dena band kar du to mera Rab mujhe bhi dena band kar dega.” Ek baar Aap apne ghar me the ki Aap ne kisi miskeen ko raaste par ye kehte hue suna ki “Mere paas kuchh nahi hai ke jis se main apna guzaara kar saku aur mera yeh haal aap sab log dekh rahe hain.” Aap ne apne khaadim ko 10,000 dirham ke saath bheja aur farmaaya “Use ye dekar kehna ki abhi hum tumhe itna hi de sakte hain. Shaayad is se tumhe tumhari takleef door karne me kuchh madad mil jaaye.” Aap har saal maah e Ramazaan aane se pehle apna sab maal hajatmando to taqseem kar dete the, sirf zaroorat ke liye thoda rakhte the. Aur pura mahina ibaadat me guzaarte the. ***********
Ek baar ek buzurg wuzu kar rahe the. Hazrate Hasan aur Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ne dekha ke us buzurg ka wuzu sahi nahi hai. Lekin agar unko sidha kahen to shayad unko bura lage kyun ki woh dono nau umr the. Is liye dono bhaiyo ne mashwara karke dono ne saath me wuzu karna shuru kiya aur wuzu ke baad Hazrate Hasan ne Imaam Husain se kaha “Bhai, Mera wuzu tum se behtar aur sahi hai.’Hazrate Husain ne kaha “Bhai, Mera wuzu behtar aur sahi hai.” Phir unho ne us buzurg se kaha “Hum dono dobaara wuzu karte hain. Aap theek se dekhen aur hame bata'iye ke kis ka wuzu behtar aur sahi hai.” Jab dono ne wuzu kar liya to us buzurg ko pata chal gaya ke dono bhaiyo ka wuzu sahi tarteeb se tha. Unho ne kaha “Aap dono ka wuzu sahi hai. Main tum dono ka ehsaan-mand hu ke aap ne mujhe itne khubsurat tareeqe se wuzu ka sahi tareeqa sikhaaya.” 
 ***************
Ek din Aap apne ghar par kuchh logo ke saath khaana tanaawul farma rahe the. Aap ne apne Ghulaam ko saalan laane ke liye farmaaya. Woh saalan lekar pahuncha to achaanak us ke haath se bartan gir pada aur toot gaya. Saalan ka kuchh hissa Hazrat Imaam Hasan par bhi gira. Yeh manzar dekhkar Ghulaam ghabraaya. Aap ne uski taraf dekha to woh foran ek aayat padhne laga “Ghussa peene waale” Aap ne farmaaya “Maine Ghussa pee liya.” Us ne phir padha “Aur logo se darguzar karne waale” Aap ne farmaaya “Jaao, Maine muaf bhi kar diya.” Us ne phir padha “Aur Ehsaan karne waale ALLĀH ke Mehboob hain.” Aap ne farmaaya, “Jaao, Maine tumhe aazaad bhi kar diya.” ***************** 
Karamat: 
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ 
(1) Ek martaba Hazrat Imaam Hasan radiy-Allāhu anhu Hazrat Abdullāh bin Zubair radiy-Allāhu anhu ke saath safar me the. Dauraane safar dono Hazraat ne ek khushk baagh me qayaam kiya. Imaam Hasan ek taraf aur Hazrat Abdullāh bin Zubair dusri taraf aaraam farma rahe the. Hazrat Abdullāh bin Zubair ne kaha “Kaash is nakhlistaan me taaza khajoore hoti to hum shikam sair hokar khaate.” Aap ne farmaaya “Kya aap ko taaza khajooro ki talab hai?” Hazrat Abdullāh bin Zubair ne kaha “Haan.” Aap ne dua ke liye apne haath uthaaye aur aahista se kuchh padha. Foran Khajoor ka ek darakht namudaar hua jo khajooro se bhara hua tha. Saath me jo shuturbaan (oonto ki hifaazat karne waala) tha wo bola “Yeh to jaadoo lagta hai.” Imaam Hasan radiy-Allāhu anhu ne farmaaya “Yeh jaadoo nahi hai balke ye us dua ka aṡar hai jo Rasool alaihis salaam ke bete ne maangi hai.” Us ke baad logo ne us khajoor ke darakht par chadhkar tamaam khajoore tod li aur unhe shikam sair hokar khaaya. 

 (2) Ek martaba Aap Hajj ke liye paidal Makka mukarrama tashreef le jaa rahe the. Raaste me aap ke paanv mubarak me waram aa gaya. Aap ke ghulaam ne arz ki ke “Huzoor! Kisi sawaari par sawaar ho jaaye taake paanv ka waram kam ho jaaye.” Aap ne inkaar kiya aur farmaaya “Mujhe apne parwardigaar se haya aati hai ke us se milne ke liye main paidal jaane ke bajaay sawaariyo par sawaar hokar jaaun.” Phir farmaaya “Agli manzil par ek Habashi ghulaam milega jis ke paas kuchh tel hoga. Use khareed lena. Us tel ko lagaane se aaraam ho jaayega.” Chunaanche jab Aap agli manzil par pahunche to ek Habashi dikhaai diya. Aap ne us ki jaanib ishaara karke apne ghulaam se farmaaya “Yeh wo hi Habashi hai jis ke muta’alliq maine tum se kaha tha. Jaao aur us se Tel khareed kar laao.” Jab Aap ka ghulaam Habashi ke paas pahuncha aur tel kharidna chaaha to Habashi ne puchha “Yeh tel tum kis ke liye khareed rahe ho?” Aap ke ghulaam ne kaha ke “Shehzaada e Rasool Hasan ibn Ali radiy-Allāhu anhu ke liye.” Habashi ne kaha “Main bhi un ka ghulaam hu. Mujhe un ke paas le chalo.” Chunaanche Aap ka ghulaam us Habashi ko lekar Aap ki khidmat me haazir hua to Habashi ne bade adab se arz kiya “Huzoor! Main bhi Aap ka ghulaam hu. Main tel ki qeemat nahi lunga. Bas ye guzaarish hai ke meri biwi darde zeh me mubtila hai. Dua farma dijiye ke ALLĀH ta’ala mujhe sahi wa tandurust bachcha ataa farma de.” Aap ne farmaaya “Jaa, Apne ghar laut jaa. ALLĀH ta’ala ne tujhe waisa hi beta ataa farma diya hai jaisa tu chaahta hai aur wo bacha bhi hamara pairokaar hoga.” Jab wo Habashi apne ghar pahuncha to ghar ka haal waisa hi paaya jaisa Aap ne farmaaya tha. ************
 Aap ne ek khat likhkar use taaweez me rakhkar apne bete Hazrate Qaasim ke gale me daala tha aur farmaaya tha ke “Jab aisi koi bahot mushkil ghadi aaye to us ko kholkar padh lena. In shaa Allāh tumhe sahi raasta mil jaaega.” Jab maidaan e Karbala me jaan-nisaarane Ahle bait ek ke baad ek shaheed ho rahe the tab Hazrate Qaasim ne apne chacha Imaame Husain radiy-Allahu ta’ala anhu se jang me jaane ke liye ijaazat maangi. Lekin aap ne inkar kiya aur farmaya ke “Tum mere bhai Hasan ki nishaani ho. Main tumhe ijaazat nahi de sakta.” Tab Hazrate Qaasim ko apne waalid ki wasiyat yaad aai aur wo taaweez kholkar padha to us me Imaame Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu ne likha tha “Aye mere farzand! Ek waqt aisa aaega jab baatil zaalim lashkar Karbala me Husain aur unke wafadaar saathiyo ko gher lega aur jaan-nisaarane ahle bait deene islaam ki hifaazat ke liye shaheed ho rahe honge. Us waqt main tum sab ke saath nahi hounga. Lekin tumhe apne chacha Husain se pehle maidaan e jung me jaakar shaheed hona hoga.” Hazrate Qaasim rahmatullāhi alaihi ne Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ko ye taaweez bataaya aur farmaaya ke “Mujhe mere waalide mohtaram ne pehle hi ijaazat de di hai.” Imaame Husain ne maghmoon Hazrate Qaasim ko jung me jaane ki ijaazat ata farmai. ************ 
Aqwaal : 
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ 
Aap irsaahd farmaate hain : 
(1) Jis ke paas Ilm nahi us ke paas tehzeeb nahi hoti, jis ke paas Husne akhlaaq nahi us ke paas jis ke paas sharaafat nahi hoti aur jis ke paas Haya aur adab nahi us ke paas deen nahi hota.
(2) Duniya ki sab se tez raftar cheez Dua hai jo dil se zaban tak pahunchne se pehle hi Khuda tak pahunch jaati hai. 
 (3) Khuda apne un bando ko buland-tareen martabe ata farmata hai jo zindagi me zayada sakhtiyon ko bardasht karte hain. 
 (4) Nek banne ka aur har burai se najaat paane ka tareeqa ye hai ki ne’amato ka shukr ada karo aur taklif me sabr karo. 
 (5) Khuda ki ne’amat imtihaan hai. Agar us ka shukr ada karte ho wo tumhare liye rehmat hoti hai aur agar na-shukri karte ho to wo azaab ban jaati hai. 
 (6) Jo shakhs ALLĀH ke diye hue Rizq ko kaafi samjhe, Wo kabhi kisi ka Mohtaaj nahi ho sakta. 
 (7) Insaan ki barbaadi ki wajah 3 cheezo me hai : Takabbur, Laalach aur Hasad. Takabbur eimaan ko nuqsaan karta hai, Laalach qalb ko nuqsaan karta hai aur Hasad gunaah aur burai ki taraf le jaata hai. (8) Kisi ki galti par saza dene me jald-baazi na karo. Hamesha galti aur saza ke darmiyaan kuchh mohlat rakha karo. 
 ************ 
Pariwaar : 
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾ 
Aap ke 12 saahabzaade aur 5 saahabzaadiya hain. 
 (1) Umme Kulṡum bint Fazl bin Abbaas bin Abdul Muttalib 
(2) Umme Basheer bint Abi Mas'ood al-Ansaari 1 beta – Zaid, 2 betiya – Ummul Hasan, Ummul Husain,
 (3) Khawla bint Manzoor bin Zaban al-Fazzaziyah se 5 bete - Hasan al-Muṡanna, Abdur Rahmān, Ismāeel, Hamza, Ya’aqoob, 
(4) Umme Is'hāq bint Talha bin Ubaidullāh al-Taeemi se 2 bete - Talha, Husain al-Asraam, 3 betiya – Faatima, Umme Abdullāh, Umme Salama. 
(5) Hafsa bint Abdur Rahmān bin Abu Bakr Siddeeq
(6) Hind bint Suhail bin Amru 
(7) Umme Farwa se 2 bete – Qaasim, Umar, 
(8) Ramla se 1 beta – Abu Bakr, 
(9) Aa'isha al-Khusa’amiyah 
(10) Zainab bint Sabee’ bin Abdullāh 
(11) Ja’ada bint al-Ash'as bin Qays 
(12) Baqliya 
(13) Safia. Umm Walad se 1 beta – Abdullāh. 
 ⭕ Aap ke 3 saahabzaade – Qaasim, Abu Bakr aur Abdullāh Karbala me shaheed hue hain. 
 ⭕Aap ki nasl Hazrate Zaid aur Hazrate Imaam Hasan muṡanna rahmatullāhi alaihi se jaari hai. 
 *************
Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa Hazrat Ali radiy-Allahu ta’ala anhu ke silsila e tareeqat ke 4 khulfa me se hain. 
 ************
Aap Aa'imma e Ahle bait ke dusre Imaam hain. Hazrat Ali ke wisaal ke baad Aap Imaam bane. 
 ************ 
Ramzan 40 Hijri me Ameer ul momineen Hazrate Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shahaadat ke baad Aap mimbar par tashreef laaye aur khutba farmaaya “Aye logo! Aaj marzi e khuda se tumhare darmiyaan se wo marde Khuda rukhsat ho gaya jis ki nazeer qayaamat tak tum ko nahi milegi. Lihaaza ab tum ko chaahiye ke deene Mohammadi ki itteba karo.” Chunaache Hazrat Mateen bin Sa’ad Ibada Ansaari radiy-Allāhu ta’ala anhu ne foran aage badhkar Aap ke daste haq par Bai'at ki. Phir Ahle Kufa ne jhok dar jhok Aap ke haath par bai'at karni shuru ki. Taqreeban 40 hazaar logo ne aap se bai'at kar li. Is tarah Aap 6 mahine tak Khalifa rahe aur is ke baad 41 Hijri (661 A.D.) me jab khilaafat ko lekar musalmano me aapas me jung shuru hone waali thi tab khoon-rezi na ho is liye chand sharto ke saath Aap ne Hazrate Ameer Muawiya radiy-Allāhu ta’ala anhu ko khilaafat di. Jin me se kuchh sharten ye thi ke : (1) Hazrat Ameer Muawiya radiy-Allāhu ta’ala anhu ke baad Khilaafat phir se Hazrat Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’ala anhu ko milegi. (2) Ahle Madeena, Ahle Hijaaz aur Ahle Iraq ke kisi shakhs se zamaana e Ameer-ul-momineen Ali Murtuza radiy-Allāhu ta’ala anhu ke muta’alliq koi muwaakheza wa mutaalba nahi kiya jaayega. 
 ****************
 Ek martaba Damishq ke logo ne bahot zyada israar kiya to Aap Madeena munawwara se Damishq ki jaanib rawaana hue. Raaste me jo Shaher aata waha ke log Aap ka shaandaar isteqbaal aur ta’azeem o takreem karte. Jab Aap Mosul pahunche to Hazrat Sa’ad Mosuli ke israar par Aap kuchh din unke yaha thehre. Phir Aap Damishq tashreef le gaye. Damishq me kuchh din qayaam karne ke baad Aap Madeena munawwara ke liye rawaana hue. Waapsi par jab Aap Mosul se guzre to yaha ek andhe shakhs ne israar karke apne yaha thehraaya. Us andhe khabees ne Aap ko dhoke se khaane me 3 baar zeher diya. Us zeher se Aap ko kuchh takleef to hui lekin ALLĀH ta’ala ke fazl se zeher ka pura aṡar na hua. Phir jab Aap tabdeeli e aab o hawa ki khaatir kuchh ahbaab ke saath ek jungle me tashreef le gaye to us andhe shakhs ne ek shakhs ko zeher bhari hui botal ke saath bheja aur magar woh Aap ko zeher dene me nakaam raha. Phir jab Aap Madeena munawwara waapas tashreef laaye to Aap ko umda qism ki Khajooro me Zeher mlilaakar bheja. Un khajooro ko khaane ke baad us zeher ke aṡar se takleef hui. Subah ko Aap naana jaan ke Roza mubarak par haazir hue to aaraam ho gaya. Aap ne phir se Mosul jaane ka iraada kiya aur Hazrat Abdullāh ibn Abbaas ke saath Mosul ki jaanib rawaana hue. Jab Aap Mosul tashreef laaye to woh andha shakhs apni lakdi me ballam ke miṡl zeher me bujha hua naukdaar loha lagwaya. Aur Imaam Hasan ki mehfil me haazir hota raha aur masjid me Aap ke pichhe namaaz bhi padhta raha. Ek roz Aap namaaze Zohar ke baad masjid ke baahar apne ek moataqid ki dukan par tashreef farma the aur ahabab se guftagu farma rahe the. Woh andha duaen deta hua aaya aur andaaze se apni lakdi ke lohe ki nok ko Aap ke paav mubarak par rakhkar bahot zor se dabaaya. Zakhm se khoon jaari ho gaya aur paav mubarak me waram (sujan) aa gaya. Hazrat Abdullāh ibn Abbaas radiy-Allāhu ta’aala anhu aur dusre aqeedat mando ne us andhe ko pakad liya. Aap ne farmaaya “Ise chhod do. Yeh aakhirat me bhi andha hai.” Hakeem ko bulaaya gaya. Us ne jakhm ko dekhkar arz kiya “Huzoor! Yeh zeher ke bujhe hue aale ka jakhm hai aur qasdan lagaaya gaya hai.” Us ne ilaaj shuru kiya aur ALLĀH ke karam se kuchh roz me shifa ho gai. Ek din Hazrat Abdullāh ibn Abbaas Hazrat Sa’ad Mosuli ke ghar jaa rahe the to woh andha khabees haath me lakdi liye chala jaa raha tha. Unho ne us ke haath se lakdi cheen kar us ke sar par is tarah waar kiya ke sar ke tukde ho gaye. Is ke baad Aap Madeena munawwara waapas tashreef laaye. ************ 
Ek raat Hazrat Imaam Hasan radiy-Allāhu ta’aala anhu ne khwaab me dekha ki Aap ki dono aankhon ke darmiyaan ‘Surah al-Ikhlaas (Qul huwallāhu ahad)’ likhi hui hai. Aap ke Ahle bait yeh khwaab sunkar bahot khush hue. Lekin jab Hazrat Saeed ibne Musayyab radiy-Allāhu ta’ala anhu ko yeh khwaab bataaya to unho ne farmaaya “Waaqai agar aap ne yeh khwaab dekha hain to Hazrat Imaam Hasan ki zindagi ke chand hi roz baaqi reh gaye hain.” Is ke chand roz baad Aap ki shahaadat zeher ki wajah se hui. Fajr ke waqt aap uthe to Aap ne apni bahen Sayyeda Zainab se farmaaya ke “Maine khwaab me naana jaan aur waalid e mohtaram aur waalida e mohtarama ko dekha woh sab apne saath mujhe jannat ki sair kara rahe the.” Phir Aap ne wuzu ke liye paani maanga. Sayyeda Zainab paani lene ke liye gai. Aap ko pyaas lagi thi to aap ne qareeb me rakhi hui Suraahi me se paani piya. Us me zaalim ne qaatil zeher mila diya tha. Paani pait me jaate hi Aap ko zeher ki aṡar hone lagi. Jab Aap ko bahot zyada takleef ho rahi thi aur Imaam Husain radiy-Allāhu anhu ne puchha ke “Aap ko kisi par shak hai ke kis ne aap ko zeher diya hai?” Aap ne farmaaya ke “Agar mera shak sahi hua tab to theek hai lekin agar mera shak galat hua to main nahi chaahta ke meri wajah se kisi begunaah ko takleef ho.” Aur Aap ne kisi ka naam nahi bataaya. Wisaal ka waqt bilkul qareeb aaya to Aap ke chehre par kuchh be-qaraari aur ranj ke aaṡaar nazar aaye. Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ne is ki wajah puchhi to Aap ne bataaya ‘Aye biraadar e azeez! Main (mustaqbil me pesh aane waale) kuchh aisi khalq aur aise haalaat dekh raha hu jis ki miṡl kabhi nahi dekhi. Aise log aayenge jo tumhare saath bad-sulooki karenge aur tumhe izaa denge.’ 
 **************** 
Hazrate Aa'isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha ki ijaazat ke baad jab Aap ko Roza e rasool me dafn karne ke liye le gaye tab Marwaan bin Hakam ne aitraaz kiya. Aur jab Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saathi aur Marwaan ke saathiyo ke bich jung ke haalaat paida ho gaye tab Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Imaame Husain ko Imaame Hasan ki wasiyat yaad dilai ke aap ne farmaaya tha ke “Agar mujhe Roza e Rasool me dafn karne se roka jaaye to mujhe Jannatul Baqi me dafn karna.” Yeh sunkar Imaame Husain waisa hi kiya. 
 ************ 

Aap ki Shahadat Ki Tarikh 05 RABI-UL-AWWAL Hai.. Aap ki namaaze janaaza Madeena ke Governor Saeed bin Aas ne padhaai. Aap ka mazaar Jannatul Baqi, Madeena munawwara me hai. 
 ************ 
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Ahle bait aur Ashaaba ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae. Aameen.



Share on: |


Post a Comment

0 Comments