اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَرَسُوۡلَ اللهﷺ اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَحَبِيۡبَاللهﷺ |
Hazrat Khwaja Abu Ali, Fazl al-Faarmadi rahmatullāhi alaihi :➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ Aap ki wilaadat 402 Hijri (1011 A.D.) me Tus ke qareeb Faarmad (Iran) me hui. Aap ke waalid ka naam Muhammad ibn Ali hai. ************* Aap Nishapur me madrasa me ta’aleem haasil kar rahe the. Is dauraan Shaikh Abu Saeed bin Abul Khair Miana se tashreef laaye aur taqreer farma rahe the. Un ke baare me sunkar Aap bhi un ki mehfil me pahunche. Un ke nooraani chehre ki ziyarat se Aap ko Hazrat se aur Soofiya se mohabbat ho gai. Ek baar Aap madrasa me kamre me baithe hue the ke achaanak Aap ko Hazrat ki ziyarat karne ki khwaahish hui. Aap Hazrat ki qayaamgaah par pahunche magar Hazrat ka baahar aane ka waqt muqarrar nahi tha. Is liye Aap ne thodi der intazaar kiya. Magar zyada intazaar na kar sake aur baahar aaye to dekha ke Hazrat apne shaagirdo ke saath mehfil e sama me hain. Aap bhi ek hazrat ke saath andar aaye aur mehfil e sama me ek kone me baith gaye. Aap ne socha ke Hazrat mujhe dekh nahi sakenge. Sama me Shaikh Abu Saeed bin Abul Khair ne aalam e wajd me apna kurta phaad daala. Jab woh wajd se baahar aaye to unho ne apne kurte ke tukde apne shaagirdo ko taqseem kiye. Phir Hazrat ne kurte ki aastin apne haath me li aur farmaaya “Aye Abu Ali Tusi! Kahan ho?” Aap ne socha ke Hazrat apne shaagirdo me se kisi ko bula rahe hain? Hazrat ne dobaara Aap ka naam pukaara. Aap khaamosh rahe. Jab Hazrat ne phir se Aap ka naam pukaara to logo ne Aap se kaha ke Hazrat Aap hi ko bula rahe hain. Aap aage aaye aur Hazrat ke paas gaye to Hazrat ne Aap ko apne kurta mubarak ki aastin ata farmai aur farmaaya ke “Ise hifaazat se rakhna.” Is ke baad Aap ne hazrat ki khidmat me beshumaar faiz haasil kiye. Jab Shaikh Abu Saeed bin Abul Khair Nishapur se tashreef le gaye tab Aap Imaam Abul Qaasim Qushairi ki baargaah me aaye to Hazrat ne pehle madrasa ki ta’aleem mukammal karne ke liye farmaaya. 3 saal tak ta’aleem haasil karne ke baad ek martaba Aap ne jab qalam uthaaya to dekha ke woh khaali ho gaya. Aap ne Hazrat ki khidmat me aakar bataaya to Hazrat ne farmaaya ‘Ab tumhare madrasa chhodkar baatini ta’aleem haasil karne ka waqt aa gaya hai.’ Aap Imaam Abul Qaasim Qushairi ki khidmat me rehkar ta’aleem haasil karte rahe. Ek martaba Aap ne Hazrat ke liye hamaam me paani ke chand bartan bharkar rakhe. Jab Hazrat tashreef laaye to dua farmaai aur puchha ke “In bartan me paani bharkar kis ne rakha hai?” Aap ne socha ke shaayad koi gustaakhi ho gai ho aur dar ki wajah se khaamosh rahe. Hazrat ne dobaara puchha. Jab teesri baar puchaa to aap ne arz kiya “Is khaadim ne rakha hai.” Imaam Abul Qaasim Qushairi ne farmaaya “Abu Ali! Abul Qaasim Qushairi ne 70 saal me jo kuchh jama kiya hai wo tum ne sirf in paani ke bartan ke zariye paa liya.” Aap ne Hazrat ki khidmat jaari rakhi aur Tasawwuf ki ta’aleem haasil karte rahe. Ek martaba Aap ko kuchh ajeeb kaifiyat mehsoos hui. Aap ne jab Hazrat ko bataaya to unho ne farmaaya “Abu Ali! Mera safar is maqaam tak hi tha. Yaha se aage main nahi bata sakta.” Aap waha se rukhsat hue aur mursheed ki talaash shuru ki. Jab Shaikh Abul Qaasim Gurgani ki baargaah me pahunche to un se bai'at ki aur faiz aur ta’aleem haasil karte rahe. ************* Aap ka nikaah Khwaja Abul Qaasim Gurgani rahmatullāhi alaihi ki saahabzaadi se hua. ************* Aap Hazrat Khwaja Abul Qaasim Gurgani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap Juinaidi silsila ke shaikh hain. Aap ke khulfa :(1)Hazrat Khwaja Yousuf al-Hamadani rahmatullāhi alaihi, (2) Hazrat Imaam Muhammad al-Ghazaali rahmatullāhi alaihi. ************* Aap ka wisaal 4 Rabi-ul-Awwal 477 Hijri (10 July 1084 A.D.) ko hua. Aap ka mazaar Tus ke qareeb Faarmad (Khorasan, Iran) me hai. ************ ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Abu Ali, Fazl al-Faarmadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae. Aameen. *Apne Mobile pr Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne ke liye Dowanlod kare Maslak E AalaHazrat Android App Es link se* https://maslakeaalahazratofficial.blogspot.com |
0 Comments