اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E Ahlesunnat 🅿🄾🅂🅃 ➫03 ↡ Aqeeda AllaH Ta’aLa ke Baare Main ↡ •─────────────• ⚘AQEEDA ⌬ ➤ Allah Ta’ala ne Huzurﷺ ke ilm-e-gaib ko bayan karte hue farmaya ki, وَ مَا ہُوَ عَلَی الْغَیۡبِ بِضَنِیۡنٍ. ⚘⌬ ➤ Aur woh( Muhammad ﷺ) Gaib ki baat batane par bakhil(yaani kanjoos) nahi hain 📬 SuraH Takveer, Aayat No.24 📒 ⚘⌬ ➤ Yaani gaib ki baat bataate hain aur us ke bataane me kanjusi nahi karte hain, Saaf baat hai ki gaib ki baaten wahi bataaega jiske paas gaib ka ilm hoga Is liye is aayat se maloom hua ki Huzur ﷺ gaib ki baat jaante hain Aur Hazrat-e-Isa alaihissalam ki sifaat ka zikr karte hue Allah ta’ala ne farmaya ki وَرَسُوۡلًا اِلٰی بَنِیۡۤ اِسْرَآءِیۡلَ ۬ۙ اَنِّیۡ قَدْ جِئْتُکُمۡ بِاٰیَۃٍ مِّنۡ رَّبِّکُمْ ۙ اَنِّیۡۤ اَخْلُقُ لَکُمۡ مِّنَ الطِّیۡنِ کَہَیۡئَۃِ الطَّیۡرِ فَاَنۡفُخُ فِیۡہِ فَیَکُوۡنُ طَیۡرًۢا بِاِذْنِ اللہِ ۚ وَاُبْرِیُٔ الۡاَکْمَہَ وَالۡاَبْرَصَ وَاُحۡیِ الْمَوْتٰی بِاِذْنِ اللہِ ۚ وَاُنَبِّئُکُمۡ بِمَا تَاۡکُلُوۡنَ وَمَا تَدَّخِرُوۡنَ ۙ فِیۡ بُیُوۡتِکُمْ ۙ اِنَّ فِیۡ ذٰلِکَ لَاٰیَۃً لَّکُمْ اِنۡ کُنۡتُمۡ مُّؤْمِنِیۡنَ ⚘Tarjuma ⌬ ➤ Aur (Isa) Rasool hoga Bani Israa’eel ki taraf (ye kehte hue ki) be-shak main tumhare rab ki taraf se kuchh nishanyan le kar aaya hun,(Toh) main tumhare liye mitti se parinde ki surat banata hun phir us me phoonk maarta hun to woh parinda ban jaata hai Allah ke hukm se,Aur main paida’ishi andhe aur safeed daag walon ko shifa deta hun aur murdon ko zinda karta hun Allah ke hukm se aur main tumhe batata hun jo tum khaate ho aur jo apne gharon me jama kar ke rakhte ho Be-shak is me tumhare liye badi nishani hai agar tum imaan rakhte ho 📬 SuraH Aal-e-imran,Aayat No.49 📘 ⚘⌬ ➤ Aur bhi bahut saari sifaat hain jo haqiqat me Allah Ta’ala ki hain magar Allah Ta’ala ne use nabiyon aur dusre logo ko ata farmaya hai Yahan par ham un sifaat ki ek mukhtasar list pesh karte hain jo Allah Ta’ala ne Quran sharif me apne liye bhi aur dusron ke liye bhi istemal farmaya hai Aap is baare me upar jo wazaahat (explanation) bayan ki ga’ee hai use hamesha apne zehan me rakhen taaki aap ka zehan parishaan na ho..✍ 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments