اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 41 ↡ Aqeeda Qayamat ke Bare Main ↡ •─────────────• Ek Din Aisa Aa’ega Jis Din Puri Duniya Tabah-o-Barbaad Ho Jaayegi,Saare insaan Aur Jaanwar Mar Jaayenge,Zamin,Asmaan,Chand,Suraj,Sitaare Aur Pahad Wagairah Sab Toot Phoot Kar Fana Ho Jaayenge.Esi Din Ko Qayamat Kehte hai.Ye Haq Hai Aur is Ka inkaar Karne Wala Kaafir-o-Be’deen Hai. ⚘AQEEDA ⌬ ➤ Qayamat Ki Bahut Saari Nishaanyan Hai Jo Qayamat Ke Hone Se Pehle Zaahir Hongi.Hadeeson Mein Bahut Saari Nishaanyan Bayan Ki Gaye Hai,Jaise Maal-o-Daulat Ka Khoob Zyada Hona, Zina’Kaari Ka Aam Ho Jaana,Naach Gaane Aur Haraam Kaamon Ka Khullam Khulla Hona,Auladon Ka Apne Maa Baap Ki Naafarmani Karna Aur Un Par Hukm Chalana, Bad’kaar Aur Zalil Logon Ka Qaum ka Leader Ho Jaana,Musaafaton(Distances) Ka Simat Jaana,Waqt Mein Barkaton Ka Khatam Ho Jaana,ilm Ka Uth Jaana,Jahilon Ka Fatwa Dena Aur Logon ko Gumraah Karna wagairah.In ke Elawah Qayamat Ki Kuchh Badi Nishanyan Hai Jo Qayamat Se Pehle Zarur Zaahir Hongi,Woh Ye Hain.★↷ (1)Dajjal ka Nikalna. (2)Yajuj Majuj Ka Zaahir Hona. (3)Hazrat e Isa alaihissalam Ka Aasman Se utarna. (4) Hazrat-e-imam Mehdi ka Zaahir Hona. (5) Pachchhim,Purab aur Arab Mein Zameen ka Dhaas Jaana. (6) Dabbatul’Arz ka Nikalna. (7)Suraj ka pachchhim se Nikalna.Wagairah Wagairah. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments