Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-02

👉               *Msg prepared by*               👈
                           *ZEBNEWS*

*हिन्दी/Hinglish*                  *आसारे कयामत-02*

*ⓩ मौला अपने बन्दों को किस तरह क़यामत में ज़िंदा करेगा उसको जानने के लिए ये रिवायत पढ़िये*

बुखारी व मुस्लिम शरीफ में है कि एक शख्स बहुत ही गुनाहगार था जब वो मरने लगा तो अपनी औलाद को वसीयत की कि मेरे मरने के बाद मुझे दफ्न ना करना बल्कि जला देना और मेरी राख के 2 हिस्से करना एक हिस्से को हवाओं में उड़ा देना और दूसरे हिस्से को पानी में बहा देना,उसकी औलाद ने ऐसा ही किया मौला ने हवा को हुक्म दिया कि इसके सारे ज़र्रात को मिला दो और पानी को हुक्म दिया कि इसके सारे ज़र्रात को मिला दो तो दोनों ने ऐसा ही किया,जब उसके जिस्म के दो हिस्से बन गये तो मौला ने दोनों को मिलाकर उसमें रूह लौटाई और फरमाया कि तेरी ऐसी वसीयत करने की क्या वजह थी हालांकि वो सब जानता है,तो बन्दा अर्ज़ करता है कि मौला मैं बहुत ही गुनहगार था मुझे यही खौफ था कि अगर मुझे अज़ाब दिया गया तो दुनिया का सबसे ज़्यादा अज़ाब मुझ पर होगा तो तेरे इसी खौफ से मैंने ऐसा फैसला किया तो मौला फरमाता है कि तेरे इसी खौफ ने आज तुझे बचा लिया और वो बख्शा गया क्योंकि खुदा से डरना ही तो सारी इबादत की अस्ल है

📕 अहवाले बर्ज़ख,सफह 12

*ⓩ और ये रिवायत तो क़ुर्आन से साबित है,पढ़िये*

एक दिन हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने समुन्दर के किनारे एक मरे हुए शख्स को देखा जिसकी लाश को मछलियां खा रही थीं फिर कुछ देर बाद उसी लाश पर कुछ परिंदे भी आ गए और उन्होंने भी उस लाश को खाना शुरू कर दिया फिर कुछ जंगली जानवर आये और उन्होंने भी कुछ खाया,जब आपने ये मंज़र देखा तो आपके दिल में ये शौक़ पैदा हुआ कि मैं अपनी आंख से देखना चाहता हूं कि मौला तआला किस तरह मुर्दो को ज़िन्दा फरमायेगा और आपने बारगाहे खुदावन्दी में अपनी आरज़ू पेश कर दी,ख्याल रहे कि आपको खुदा की कुदरत पर शक नहीं था क्योंकि आपने काफिरो से खुदा की यही सिफत बयान की थी "कि मेरा रब वो है जो मारता है और जिलाता है" अगर आपको इस बात में शक होता तो हरगिज़ आप ऐसा नहीं कहते बल्कि सिर्फ अपनी आंखों से रब की कुदरत का मुशाहद करना चाहते थे,और ये भी ख्याल रहे कि अगर आपको इस बात में शक होता तो यक़ीनन आप पर खुदा का इताब होता मगर हरगिज़ ऐसा नहीं हुआ बल्कि मौला फरमाता है "ऐ खलील तुम 4 परिंदो को मिलाकर अलग अलग पहाड़ो पर रख दो फिर उनको बुलाओ तो वो तुम्हारे पास दौड़ते हुए आयेंगे" हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम ने मोर-कबूतर-मुर्ग-कव्वा इन चारों को कीमा बनाकर सबको एक साथ मिला दिया फिर उन सब में से 4 हिस्से करके 4 अलग अलग पहाड़ियों पर रख दिए और सबका सर अपने पास रख लिया,अब जिस परिन्दे को आप आवाज़ देते तो उसके पूरे अज्ज़ा चारो पहाड़ियों में से उड़ते हुए आते आपकी आंखों के सामने सब इकठ्ठा होता आप उस पर जैसे ही सर का टुकड़ा लगते वो ज़िंदा होकर उड़ जाता 

📕 खज़ाएनुल इरफान,सफह 66

*ⓩ अब क़यामत की निशानियों की तरफ बढ़ते हैं दीगर अम्बियाये किराम जब अपनी उम्मतों को क़यामत से डराते और क़यामत की निशानियां बताते तो परमाते कि "क़यामत उस वक़्त तक क़ायम नहीं होगी जब तक कि इस दुनिया में नबीये आखिरुज़्ज़मां सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम का ज़हूर ना हो जाये" और कुछ रिवायतों में आपका इस दुनियाये ज़ाहिरी से विसाल फरमाना भी आया है,बहरहाल इतना तो साबित है कि क़यामत की निशानियों में सबसे पहली निशानी यही थी कि मेरे आक़ा सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम की आमद आमद होती और आपकी आमद हुए 1492 साल और फिर आपका ज़ाहिरी विसाल हुए भी 1429 साल हो चुके हैं,इसका मतलब ये है कि हम क़यामत से बस गिनती के चन्द साल ही दूर हैं मगर हाय रे मुसलमान मौत के मुहाने पर खड़ा है और आखिरत को छोड़कर दुनिया सजाने की फिक्र में लगा बैठा है,मौला तआला से दुआ है कि मुसलमानों को हिदायत अता फरमाये कि जल्द से जल्द अपनी आखिरत के बारे में सोचें वरना कहीं ऐसा ना हो जाये कि गफलत में ही मौत आ जाये और जब अपने गुनाहों पर पशेमान हों तो कुछ कर भी ना सकें,हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने क़यामत से पहले उनकी निशानियां अपने बन्दों को बता रखी है इसको अलामाये क़यामत कहते हैं और इसकी भी दो किस्में हैं*

1. अलामाते सुग़रा - यानि छोटी निशानियां,इसका ज़हूर क़यामत आने से बहुत पहले ही शुरू हो जायेगा बल्कि शुरू हो चुका है

2. अलामाते कुबरा - यानि बड़ी निशानियां,इसका ज़हूर क़ुर्बे क़यामत में होगा और इसकी शुरुआत मुसलमानों की तमाम हुक़ूमतों के खातमे से होगी

📕 आसारे क़यामत,सफह 9
📕 अलमलफूज़,हिस्सा 1,पेज 92

जारी रहेगा...........

------------------------------------------------

*ⓩ Maula apne bando ko kis tarah qayamat me zinda karega usko jaanne ke liye ye riwayat padhiye*

Bukhari wa muslim sharif me hai ki ek shakhs bahut hi gunahgar tha jab wo marne laga to apni aulaad ko wasiyat ki mere marne ke baad mujhe dafn na karna balki jala dena aur meri raakh ke 2 hisse karna ek hisse ko hawaon me uda dena aur doosre hisse ko paani me baha dena,uski aulaad ne aisa hi kiya maula ne hawa ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do aur paani ko hukm diya ki iske saare zarrat ko mila do to dono ne aisa hi kiya,jab uske jism ke do hisse ban gaye to maula ne dono ke milakar usme rooh lautayi aur farmaya ki teri aisi wasiyat karne ki kya wajah thi halaanki wo sab jaanta hai,to banda arz karta hai ki maula main bahut hi gunahgar tha mujhe yahi khauf tha ki agar mujhe azaab diya gaya to duniya ka sabse zyada azaab mujhi par hoga to tere isi khauf se maine aisa faisla kiya to maula farmata hai ki tere isi khauf ne aaj tujhe bacha liya aur wo bakhsha gaya kyunki khuda se darna hi to saari ibadat ki asl hai

📕 Ahwaale barzakh,safah 12

*ⓩ Aur ye riwayat to quran se saabit hai,padhiye*

Ek din hazrat ibraheem alaihissalam ne samundar ke kinare ek mare hue shakhs ko dekha jiski laash ko machhliyan kha rahi thi phir kuchh deir baad usi laash par kuchh parinde bhi aa gaye aur unhone bhi us laash ko khaana shuru kar diya phir kuchh jangli jaanwar aaye aur unhone kuchh khaaya,jab aapne ye manzar dekha to aapke dil me ye shauq paida hua ki main apni aankh se dekhna chahta hoon ki maula taala kis tarah murdo ko zinda farmayega aur aapne baargahe khudawandi me apni aarzu pesh kar di,khayal rahe ki aapko khuda ki qudrat par shaq nahin tha kyunki aapne kaafiro se khuda ki yahi sifat bayaan ki thi "ki mera rub wo hai jo maarta hai aur jilaata hai" agar aapko is baat me shaq hota to hargiz aap aisa nahin kahte balki sirf apni aankhon se rub ki qudrat ka mushahda karna chahte the,aur ye bhi khayal rahe ki agar aapko is baat me shaq hota to yaqinan aap par khuda ka etaab hota magar hargiz aisa nahin hua balki maula farmata hai "ai khaleel tum 4 parindo ko milakar alag alag pahado par rakh do phir unko bulao to wo tumhare paas daudte hue aayenge" hazrat ibraheem alaihissalam ne mor-kabutar-murg-kawwa in chaaro ko keema banakar sabko ek saath mila diya phir un sab me se 4 hisse karke 4 alag alag pahadiyon par rakh diye aur sabka sar apne paas rakh liya,ab jis parinde ko aap aawaz dete to uske poore ajza chaaro pahadiyon me se udte hue aate aapki aankhon ke saamne sab ikattha hota aap us par jaise hi sar ka tukda lagate wo zinda hokar ud jaata

📕 Khazayenul irfan,safah 66

*ⓩ Ab qayamat ki nishaniyon ki taraf badhte hain deegar ambiyaye kiram jab apni ummato ko qayamat se daraate aur qayamat ki nishaniyan batate to farmate ki "qayamat us waqt tak qaayam nahin hogi jab tak ki is duniya me nabiye aakhiruz zama sallallaho taala alaihi wasallam ki zahoor na ho jaaye" aur kuchh riwayton me aapka is duniyaye zaahiri se wisaal farmana bhi aaya hai,baharhaal itna to saabit hai ki qayamat ki nishaniyon me sabse pahli nishaani yahi thi ki mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam ki aamad aamad hoti aur aapki aamad hue 1492 saal aur phir aapka zaahiri wisaal hue bhi 1429 saal ho chuke hain,iska matlab ye hai ki hum qayamat se bas ginti ke chund saal hi door hain magar hay re musalman maut ke muhaane par khada hai aur aakhirat ko chhodkar duniya sajane ki fikr me laga baitha hai,maula taala se dua hai ki musalmano ko hidayat ata farmaye ki jald se jald apni aakhirat ke baare me sochen warna kahin aisa na ho jaaye ki gaflat me hi maut aa jaaye aur jab apne gunahon par pashemaan hon to kuchh kar bhi na saken,huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne qayamat se pahle unki nishaniyan apne bandon ko bata rakhi hai isko alamaate qayamat kahte hain aur iski bhi do kismein hain*

1-Alamaate sugra yaani chhoti nishaniyan iska zahoor qayamat aane se bahut pahle se hi shuru ho jayega

2-Alamaate kubra yaani badi nishaniyan iska zahoor qayamat ke bilkul qareeb hoga

📕 Aasaare qayamat,safah 9
📕 Almalfooz,hissa 1,safah 92

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments