🌹SAWAl:-🌹
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu
Kafan ka kuch kapda bacha Hua Rakha ho Pahle ka to kya us kapde ko Pahenne Ke liye Use Kar Skte Hai.
🌹JAWAB:-🌹
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kafan Ka Bacha Hua Kapda Mayyat Ke Tarka Me Se He To Vo Warsa'a Ka Haq He, Warsa'a Ki Ijazat Ke Bagair Kisi Ko Nahi Diya Ja Sakta, Agar Tamam Warsa'a Aaqil, Baalig, Hoñ Or Ijazat Dede To Usko Unki Ijazat Ke Mutabiq Kisi Kaam Me Istemal Kiya Jaa Sakta He. Or Agar Mayyat ke Tarka Me Se Nahi He Balki Kisi Ne Apni Taraf Se Use Kafan Diya He To Is Soorat Me Ye Kapda Usi Kafan Dene Wale Ki Milk Me Hoga Usi Ki Ijazat Se Ye Kapda Dusre Kisi Kaam Me Istemal Kiya Ja Sakta He.
Durre Mukhtar Me He,
Agar Kafan Me Se Koi Cheez Bach Gai To Agar Ma'aloom He Ki Falañ Ne Kafan Diya He To Usko Wapas Ki Jaayegi Or Agar Kafan Dene Wale Ka Pata Na Chale To Usi Ki Misl Mohtaj Ke Kafan Me Sarf Kiya Jaaye Or Agar Aysa Bhi Na Ho To Sadqa Kar Diya Jaaye. Or Kafan Tabra'a Karne Wale Ki Milk Se Kafan Nahi Niklega.
*📚(Durre Mukhtar Ma'a Raddul Muhtar, J-3, S-120)*
Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Saamane Tajheez Maslan Khushboo Or Gusaal Or Le Jane Walo Ki Ujrat Or Dafan Masaarib Sab Me Sharai Miqdar Murad He Baaqi Or Baate Agar Mayyat Ke Maal Se Ki Gai Or Warsa'a Baalig Ho Or Sab Wariso Ne Ijazat Bhi Dedi Ho To Jaiz He Warna Kharch Karne wale Ke Zimma He.
Kafan Ke Liye Sawal Kar Laaye Usme Se Kuchh Bach Raha To Agar Ma'aloom He ki Ye Falañ Ne Diya He To Use Wapas Kar De, Warna Dusre Mohtaj Ke Kafan Me Sarf Kar De, Ye Bhi Na Ho To Tasadduq (Sadqa) Kar De.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, S-170)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments