Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-07

👉               *Msg prepared by*               👈
                           *ZEBNEWS*

*हिन्दी/Hinglish*                  *आसारे कयामत-07*

                            *सिद्दे सिकंदरी*

*अब* तक 4 ऐसे बादशाह गुज़रे हैं जिन्होंने पूरी दुनिया पर हुक़ूमत की है दो मोमिन हज़रत सिकंदर ज़ुलरनैकन और हज़रत सुलेमान अलैहिस्सलाम और दो काफिर नमरूद और बख्ते नस्र,और अनक़रीब पांचवे बादशाह हज़रत इमाम मेंहदी रज़ियल्लाहु तआला अन्हु होंगे जो पूरी दुनिया पर हुक़ूमत करेंगे,जिस सिकन्दर का किस्सा हम लोगों ने दुनियावी इतिहास की किताबों मे पढ़ा है वो सिकन्दर युनानी था जो कि काफिरो मुशरिक था मगर सिकन्दर ज़ुलरनैकन दूसरे हैं आप सालेह मोमिन थे

📕 अलइतक़ान,जिल्द 2,सफह 178

*हज़रत* सिकंदर ज़ुलकरनैन हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम के ज़माने के थे और आप हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम पर ईमान लाये और उनके साथ तवाफे काबा भी किया,चुंकि हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम भी हज़रत इब्राहीम अलैहिस्सलाम की बारगाह में हाज़िरी देते थे जहां ज़ुलकरनैन की हज़रते खिज़्र अलैहिस्सलाम से मुलाकात हुई और उनकी शख्सियत इल्मो अखलाक़ को देखकर हज़रते ज़ुलकरनैन ने उन्हें अपना खास और वज़ीर बना लिया,हज़रत सिकन्दर ज़ुलरनैकन ने किताबों में पढ़ा कि औलादे साम में से एक शख्स आबे हयात तक पहुंचेगा और उसे पा लेगा जिससे कि उसे मौत ना आयेगी,,ये पढ़कर आपने एक अज़ीम लश्कर तैयार किया जो कि मग़रिबो शिमाल की जानिब रवाना हुआ आपके साथ आपके वज़ीर हज़रते ख़िज़्र अलैहिस्सलाम भी चले,पानी का सफर खत्म होते होते वो एक ऐसी जगह पहुंचे जहां दलदल के सिवा कुछ ना था कश्तियां भी ना चल सकती थी मगर अज़्म के मज़बूत हज़रत ज़ुलकरनैन ने उन कीचड़ों पर भी कश्तियां चलवा दी,वहां एक जगह उन्हें सूरज कीचड में डूबता हुआ मालूम हुआ वहां से निकलकर वो एक ऐसी वादी में पहुंचे जहां एक क़ौम आबाद थी मगर वहां के लोग तहज़ीब और तमद्दुन से बिल्कुल खाली थे,जो जानवरों का कच्चा गोश्त खाते उन्ही के खालों का कपड़ा पहनते उनका ना तो कोई दीन था और ना मज़हब,आपने उन लोगों को दीने इस्लाम की दावत पेश की जिसे उन लोगों ने क़ुबूल फरमाया और फिर उन लोगों ने याजूज माजूज की शिकायत पेश की,कि पहाड़ के पीछे से एक क़ौम हमला करती है जो हमारा सब कुछ बर्बाद कर देती है आप हमें उस ज़ालिम क़ौम से बचायें,तब हज़रत ज़ुलकरनैन ने दो पहाड़ों के दरमियान एक दीवार क़ायम फरमाई वो दीवार तक़रीबन 160 किलोमीटर लम्बी 150 फिट चौड़ी और 600 फिट ऊंची है,इसको सिद्दे सिकंदरी कहा जाता है इसको इस तरह बनाया गया कि पहले पानी की तह तक बुनियाद खोदी गई और तह में पत्थर पिघलाये हुए तांबे में जमाये गये,फिर लोहे की तख्ती चारों तरफ लगाकर उसके अन्दर लकड़ी और कोयला भरा गया नीचे आग लगाकर ऊपर से पिघला हुआ तांबा उसके ज़र्रे ज़र्रे में पहुंचाया गया इस तरह हज़रत ज़ुलकरनैन सिद्दे सिकंदरी बनाकर आबे हयात की तलाश में फिर निकल पड़ते हैं, और अब उनके लश्कर का रुख वादिये ज़ुलमात की तरफ हो गया वादिये ज़ुलमात को पार करके उस जगह पहुंचे जहां सिर्फ अंधेरा ही अंधेरा था,उन अंधेरों में ये काफिला कई दिनों तक भटकता रहा और सारा लश्कर तितर बितर हो गया,हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम को एक जगह प्यास लगी तो आप एक चश्मे पर पहुंचे वहीं गुस्ल किया वुज़ू किया खूब सैराब होकर पानी पिया यही चश्मा आबे हयात था,जिसे खिज़्र अलैहिस्सलाम ने तो पा लिया मगर किसी और के मुक़द्दर में ना था सब वहां से मायूस लौटे और आखिर में हज़रत ज़ुलकरनैन को शहरे बाबुल में क़ज़ा आई 

📕 पारा 16,सूरह कहफ,आयत 83-99 
📕 पारा 17,सूरह अम्बिया,आयत 96 
📕 तफसीरे खज़ाएनुल इरफान,सफह 362  
📕 रिजालुल ग़ैब,सफह 148--153 
📕 क्या आप जानते हैं,सफह 188 
📕 तफसीरे खाज़िन,जिल्द 4,सफह 204 
📕 ज़लज़लातुस साअत,सफह 12

---------------------------------------------------------

*Ab* tak 4 aise baadshah guzre hain jinhone poori duniya par huqumat ki hai 2 momin hazrat sikandar zulqarnain aur hazrat suleman alaihissalam aur 2 kaafir namrood aur bakhte nasr,aur anqareeb paanchwe baadshah hazrat imam menhdi raziyallahu taala anhu honge jo poori duniya par huqumat karenge,jis sikandar ka kissa hum logon ne duniyavi itihaas ki kitabon me padha hai wo sikandar unani tha jo ki kaafiro mushrik tha magar sikandar zulkarnain doosre hain aur aap saaleh momin the

📕 Alitqaan,jild 2,safah 178

*Hazrat* sikandar zulkarnain hazrat ibraheem alaihissalam ke zamane ke the aur aap hazrat ibraheem alaihissalam par imaan laaye aur unke saath tawafe kaaba bhi kiya,chunki hazrat khizr alaihissalam bhi hazrat ibraheem alaihissalam ki baargah me haaziri dete the jahan zulkarnain se hazrate khizr alaihissalam ki mulakat huyi aur unki sakhshiyat ilmo akhlaaq ko dekhkar hazrate zulkarnain ne unhein apna khaas aur wazeer bana liya,hazrate zulkarnain ne kitabon me padha tha ki aulade saam me se ek shakhs aabe hayaat tak pahunchega aur use pa lega,jab sikandar zulkarnain ne ye padha to ek azeem lashkar taiyar kiya jo ki magribo shimaal ki jaanib rawana hua aur aapke saath aapke wazeer hazrate khizr alaihissalam bhi chale,paani ka safar khatm hote hote wo ek aisi jagah pahunche jahan daldal ke siwa kuchh na tha aur uspar kashtiyan bhi na chal sakti thi magar azm ke mazboot hazrat zulkarnain ne un keechadon par bhi kashtiyan chalwa di,wahan ek jagah unhein keechad me suraj doobta hua maloom hua wahan se nikalkar wo ek aisi waadi me pahunche jahan ek qaum aabad thi magar wahan ke log tahzeeb aur tamaddun se bilkul khaali the,jo jaanwaro ka kachcha gosht khaate unhi ke khaalo ka kapda pahante unka na to koi deen tha aur na koi mazhab,aapne un logon ko deene islam ki daawat pesh ki jise un logon ne qubool kar liya aur phir un logon ne yajooj majooj ki shikayat ki,ki pahaad ke peechhe se ek qaum hum par hamla karti hai jo hamara sab kuchh barbaad kar deti hai aap hamein us zaalim qaum se bachayein,tab hazrat zulkarnain ne do pahaado ke darmiyan ek deewar qaayam farmayi wo deewa takriban 160 kilometer lambi 150 fitt chaudi aur 600 fitt oonchi hai,isko sidde sikandari kaha jaata hai ise is tarah banaya gaya ki pahle paani ki tah tak uski buniyaad khodi gayi aur tah me patthar pighlaye hue taambe me jamaye gaye,phir lohe ki takhti chaaron taraf lagakar uske lakdi aur koyla bhara gaya uske neeche aaga lagakar oopar se pighla hua taamba uske zarre zarre me pahunchaya gaya is tarah sidde sikandari banakar hazrat zulkarnain aabe hayaat ki talaash me phir se nikal padte hain, ab unke lashkar ka rukh waadiye zulmaat ki taraf ho gaya tha waadiye zulmaat ko paar karke poora kaafila us jagah pahuncha jahan sirf andhera hi andhera tha,us andhere me poora kaafila kayi dino tak bhatakta raha aur titar bitar ho gaya,hazrat khizr alaihissalam ko ek jagah pyas lagi aap ek chashme par pahunche wahin gusl kiya wuzu kiya khoob sairab hokar paani piya yahi chashma aabe hayaat tha,jise hazrate khizr alaihissalam ne to pa liya magar kisi aur ke muqaddar me na tha so sab wahan se mayoos laute aur aakhir me hazrat zulkarnain ko shahre babul me qaza aayi

📕 Paara 16,surah kahaf,aayat 83-99
📕 Paara 17,surah ambiya,aayat 96
📕 Tafseer khazayenul irfan,safah 362  
📕 Rijabul gaib,safah 148--153 
📕 Kya aap jaante hain,safah 188 
📕 Tafseere khaazin,jild 4,safah 204
📕 Zalzalatus sa'at,safah 12

To be continued.............

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments