Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-11

👉               *Msg prepared by*               👈
                           *ZEBNEWS*

*हिन्दी/Hinglish*                  *आसारे कयामत-11*

                          *हश्र का बयान* 

* सूर नूर का बना हुआ एक सींग है,हदीसे पाक में आता है कि जब ज़मीनों आसमान की तखलीक़ हो चुकी तब सूर पैदा किया गया और उसे मौला तआला ने हज़रत इस्राफील अलैहिस्सलाम को दिया जिसे वो अपने मुंह में लिए रब की इजाज़त का इंतज़ार कर रहे हैं कि कब मौला का हुक्म हो और कब वो सूर फूंक दें,सूर 2 बार फूंका जायेगा पहली बार में सारे ज़िन्दा मुर्दा हो जायेंगे और दूसरी बार में सारे मुर्दे ज़िंदा हो जायेंगे,याद रहे कि हर सूर की मुसाफत 6 महीने की होगी यानि 6 महीने तक लगातार सूर फूंका जायेगा फिर उसके बाद 40 साल का वक़्फा होगा और फिर दूसरा सूर फूंका जायेगा,दूसरा सूर बैतुल मुक़द्दस के उस जगह से फूंका जायेगा जहां आज बेलाग टंगा हुआ पत्थर है

📕 रूहुल मआनी,जिल्द 20,सफह 196
📕 तफसीरे जमल,जिल्द 3,सफह 730
📕 खज़ाएनुल इरफान,सफह 553
📕 ज़लज़लातुस साअत,सफह 18

* दूसरा सूर फूंकने के लिए सूर को और हज़रत इस्राफील अलैहिस्सलाम को फिर से ज़िंदा किया जायेगा क्योंकि वो भी फना हो चुके होंगे तब मौला उस सूर में तमाम रूहों को दाखिल फरमायेगा जो कि चींटियों और टिड्डियों के झुण्ड की तरह उसमे समां जायेंगी और फिर दोबारा सूर फूंकने का हुक्म देगा तब हज़रत इस्राफील अलैहिस्सलाम ये कहते हुए सूर फूंकेंगे कि *ऐ सड़ी गली हड्डियों ऐ जिस्म के मुताफर्रिक जोड़ों और ऐ बिखरे हुए गोश्तों अल्लाह तुमको हुक्म देता है कि फैसले के लिए जमा हो जाओ* तब वो सब लब्बैक कहते हुए अपने अपने जिस्मों में इस तरह समां जायेंगी जिस तरह चिड़िया अपने घोंसले को पहचान कर उसमें चली जाती हैं 

📕 तफसीरे जमल,जिल्द 3,सफह 729 
📕 तफसीरे सावी,जिल्द 3,सफह 50

* क़यामत बेशक क़ायम होगी इसका इन्कार करने वाला काफिर है और हश्र रूह और जिस्म दोनों का होगा लिहाज़ा अगर कोई ये कहे कि वहां जिस्म नहीं होगा बल्कि सिर्फ रूह होगी तो वो भी काफिर है और जो रूह जिस जिस्म के साथ मुन्सलिक है उसी के साथ उसका हश्र होगा ये नहीं कि नया जिस्म बनाकर उसमे वो रूह दाखिल की जाये

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 35

* यहां पर कोई ऐतराज़ कर सकता है कि कितने इंसान तो कबके मर खप चुके हैं जिनकी क़ब्रों में ना तो उनका जिस्म ही बाकी है और ना उनकी हड्डियां ही बाकी होंगी तो ऐसे में रूहें अपने अपने जिस्म में कैसे दाखिल होंगी तो इसका जवाब ये है कि इंसान के रीढ़ की हड्डी में कुछ ऐसे महीन अज्ज़ा यानि कण होते हैं जो किसी दूरबीन से भी नहीं दिखाई देते ना तो उसे मिट्टी गला सकती है और ना आग उसे जला सकती है,इंसान का पूरा बदन खत्म हो जाता है मगर ये अज्ज़ा क़यामत तक सही सलामत रहते हैं इसको *अज्बुज़ ज़ंब* कहते हैं,बरौज़े क़यामत यही अज्बुज़ ज़ंब अपने गोश्त व पोश्त को इकठ्ठा करके फिर से उसी सूरतो हैबत पर खड़ा हो जायेगा 

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 28

* क़ब्र से सबसे पहले जो ज़ात बर-आमद होगी वो मेरे आक़ा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम की ज़ाते बा बरकात होगी इस तरह कि आप दाहिने हाथ में सिद्दीक़े अकबर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु का और बायें हाथ में उमर फारूक़े आज़म रज़ियल्लाहु तआला अन्हु का हाथ थामे हुए होंगे फिर उसके बाद हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम बाहर तशरीफ लायेंगे,और उसके बाद तमाम अंबिया फिर सिद्दिक़ीन फिर शुहदा फिर सालेहीम फिर आम मुसलमान फिर काफिर इस तरह ज़िन्दा होते जायेंगे 

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 35 
📕 ज़लज़लातुस साअत,सफह 19

* हर इंसान उस दिन क़ब्र से इस तरह उठेगा जिस तरह पैदा किया जाता है यानि नंगे पैर नंगे बदन बिना खतना किये हुए सर और दाढ़ी के बाल नहीं होंगे मगर दांत होंगे,अव्वल तो किसी की नज़र किसी के सतर पर पड़ेगी नहीं और अगर पड़ भी गयी तो जिस तरह बच्चों का सतर देखने से शहवत नहीं होती वहां भी शहवत नहीं होगी,और जितने भी ऐबदार लोग दुनिया में पैदा हुए होंगे मसलन अन्धे लंगड़े लूले काने बहरे गूंगे वो सब वहां सही सालिम हालत में उठेंगे 

📕 खज़ाएनुल इरफान,पारा 17,रुकू 17 
📕 ज़लज़लातुस साअत,सफह 18

जारी रहेगा...........

---------------------------------------

* Soor noor ka bana hua ek seeng hai,hadise paak me aata hai ki jab zameeno aasman ki takhleeq ho chuki tab soor paida kiya gaya aur use maula ne hazrat israfeel alaihissalam ko diya jise wo apne munh me liye rub ki ijaazat ka intezaar kar rahe hain ki kab maula ka hukm ho aur kab wo soor phoonk dein,soor 2 baar phoonka jayega pahli baar me saare zinda murda ho jayenge aur doosri baar me saare murda zinda ho jayenge,yaad rahe ki har soor ki musafat 6 mahine ki hogi yaani 6 mahine tak lagataar soor phoonka jayega phir uske baad 40 saal ka waqfa hoga aur phir doosra soor phoonka jayega,doosra soor baitul muqaddas ke us jagah se phoonka jayega jahan aaj belaak tanga hua patthar hai

📕 Ruhul maa'ni,jild 20,safah 196
📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 730
📕 Khazayenul irfan,safah 553
📕 Zalzalatus sa'at,safah 18

* Dosra soor phoonkne ke liye soor ko aur hazrat israfeel alaihissalam ko phir se zinda kiya jayega kyunki wo bhi fana ho chuke honge tab maula us soor me tamam rooho ko daakhil farmayega jo ki cheentiyon aur tiddiyon ke jhund ki tarah usme sama jayengi aur phir dobara soor phoonkne ka hukm dega tab hazrat israfeel alaihissalam ye kahte hue soor phoonkenge ki *Ai sadi gali haddiyon ai jism ke mutafarriq jodon aur ai bikhre hue goshton ALLAH tumko hukm deta hai ki faisle ke liye jama ho jao* tab wo sab labbaik kahte hue apne apne jismo me is tarah sama jayegi jis tarah chidiya apne ghoslo me pahchaan kar chali jaati hain

📕 Tafseere jamal,jild 3,safah 729
📕 Tafseere saavi,jild 3,safah 50

* Qayamat beshak qaayam hogi iska inkaar karne waala kaafir hai aur hashr rooh aur jism dono ka hoga lihaza agar koi ye kahe ki wahan jism nahin hoga balki sirf rooh hogi to wo bhi kaafir hai aur jo rooh jis jism ke saath munslik hai usi ke saath uska hashr hoga yun nahin ki naya jism banakar usme wo rooh daakhil ki jayegi,us din har insaan phir se apne jism aur rooh ke saath zinda kiya jayega

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 35

* Yahan koi aitraaz kar sakta hai ki kitne insaan to kabke mar khap chuke hain jinki qabro me na to unka jism hi baaki hai aur na unki haddiyan hi baaki hongi to aise me roohein apne apne jism me kaise daakhil hongi to iska jawab ye hai ki ki Insaan ke reedh ki haddi me kuchh aise maheen ajza yaani kan hote hain jo kisi doorbeen se bhi nahin dikhayi dete aur na hi use miiti gala sakti hai aur na aag use jala sakti hai,insaan ka poora badan agar che khatm ho jaata hai magar ye ajza qayamat tak sahi salamat rahte hain isko *AJABUZ ZANB* kahte hain,barauze qayamat yahi ajabuz zanb apne gosht posht ko ikattha karke phir se usi surato haibat par khada ho jayega

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 28

* Qabr se sabse pahle jo zaat bar aamad hogi wo mere aaqa huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ki zaate ba barkaat hogi is tarah ki aap daahine haath me siddiqe akbar raziyallahu taala anhu ka aur baayein haath me umar farooqe aazam ka haath thaame hue honge phir uske baad hazrat eesa alaihissalam baahar tashreef layenge,aur uske baad tamam ambiya phir siddiqeen phir shuhda phir saaleheem phir aam musalman phir kaafir is tarah zinda hote jayenge

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 35
📕 Zalzalatus sa'at,safah 19

* Har insaan us din qabr se is tarah uthega jis tarah paida kiya jaata hai yaani nange pair nange badan bina khatna kiye hue sar aur daadhi ke baal nahin honge magar daant honge,awwal to kisi ki nazar kisi ke satar par padegi nahin aur agar pad bhi gayi to jis tarah bachchon ka satar dekhne se shahwat nahin hoti wahan bhi shahwat nahin hogi,aur jitne bhi aibdaar log diniya me paida hue honge maslan andhe langde loole kaane bahre goonge wo sab wahan sahi saalim haalat me uthenge 

📕 Khazayenul irfan,paara 17,R 17
📕 Zalzalatus sa'at,safah 18

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments