👉 Sms prepared by 👈
*ⓩⓔⓑⓝⓔⓦⓢ*
*हिन्दी/hinglish* *आसारे क़यामत-17*
*हश्र का बयान*
*कंज़ुल ईमान* - बेशक अल्लाह मुनाफिक़ों और काफिरों सबको जहन्नम में इकठ्ठा करेगा
📕 पारा 5,सूरह निसा,आयत 140
*ⓩ इस आयत से ये भी पता चला कि काफिर अलग हैं और मुनाफिक़ अलग हैं और दोनों ही जहन्नमी हैं,ये तो हुई क़ुर्आन की बात अब शफाअत के मुताल्लिक़ चन्द हदीस भी पढ़ लीजिये*
*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि तमाम ज़मीन पर जितने पेड़ और पत्थर हैं मैं क़यामत के दिन उससे भी ज़्यादा आदमियों की शफाअत कराऊंगा
*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मेरी शफाअत मेरे गुनह्गार उम्मतियों के लिए है इस पर हज़रत अबु दर्दा रज़ियल्लाहु तआला अन्हु अर्ज़ करते हैं कि अगर चे वो ज़ानी हों अगर चे वो चोर हों तो इस पर हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं की हां अगर चे वो ज़ानी हों अगर चे वो चोर हों
*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मेरी शफाअत हर उस शख्स के वास्ते है जिसका खात्मा ईमान पर हुआ हो
📕 शफाअते मुस्तफा,सफह 8-10
*ⓩ इस तरह की सैकड़ों हदीसें पेश की जा सकती है मगर जिनको मानना होगा उनके लिए 1 ही हदीस काफी है और जिनको नहीं मानना है उनके सामने पूरा दफ्तर भी रख दो तब भी नाकाफी होगा,खैर मैं जिस वाक़िये को बयान कर आया हूं अब उसी को हदीस के अल्फाज़ में मुलाहज़ा फरमा लें*
*हदीस* - क़यामत के दिन जबकि उम्मत सबके पास से मायूस होकर रऊफुर रहीम आक़ा सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम की बारगाह में हाज़िर होगी और अपनी मुसीबत बयान करेगी,मेरे आक़ा रहमतुल लिल आलमीन शफीउल मुज़नबीन सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमायेंगे कि ग़म ना करो *अना लहा* मैं तो हूं ही इसीलिए कि तुम्हारी शफाअत करूं,फिर आक़ा सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम रब की बारगाह में हाज़िर होकर सज्दे में सर को रख देंगे उनका रब अपने महबूब से फरमायेगा ऐ महबूब सर उठाओ और कहो तुम्हारी सुनी जायेगी शफाअत करो कि तुम्हारी शफाअत क़ुबूल है
📕 मुस्लिम,जिल्द 1,सफह 110
*ⓩ नबी का अपने उम्मतियों की शफाअत करने में तो कलाम ही क्या है खुद क़ुर्आन में एक ऐसा वाकिया दर्ज है जिससे ये साबित होता है कि एक आम मुसलमान की नेकियां भी उसकी औलाद के काम आती है इसको मैं हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम की पोस्ट में बता चूका हूं उसका दूसरा और तीसरा हिस्सा पढ़ लिया जाये मैं यहां मुख़्तसर ज़िक्र करता हूं,जब हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम से मिलने गये और उनके साथ एक सफर पर निकले तो वहां 3 वाक़िये पेश आये,तीसरे में दो यतीम बच्चों का खज़ाना लुटने से बचाने के लिए हज़रत खिज़्र अलैहिस्सलाम ने बगैर कीमत वसूल किये उनकी दीवार दुरुस्त कर दी जब कि उस बस्ती वालों ने उनकी मेहमान नवाज़ी ना की थी,उसी तीसरे वाक़िये में एक राज़ ये भी था रब तआला फरमाता है*
*कंज़ुल ईमान* - और उनका बाप नेक आदमी था
📕 पारा 16,सूरह कहफ,आयत 82
*तफसीर* - उन दोनो बच्चों का नाम अदरम और सुरैन था और उनके बाप का नाम कासिख था और ये शख्स नेक परहेज़गार था,रिवायत में आता है कि अल्लाह तआला अपने बन्दे की नेकी के सबब उसकी औलाद को और उसकी औलाद की औलाद को और उसके कुनबे वालों को और उसके मुहल्ले वालों को अपनी हिफाज़त में रखता है
📕 खज़ाएनुल इरफान,सफह 361
📕 रूहुल बयान,पारा 16,सफह 477
*ⓩ एक तरफ तो क़ुर्आन और हदीस में ये लिखा है कि बाप की नेकियां औलाद के काम आती हैं मगर वहीं दूसरी तरफ कुछ लोगों का हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम के बारे में ये कहना है कि "हुज़ूर तो अपनी बेटी के भी काम नहीं आ सकते तो वो अपने उम्मतियों को किस तरह बचायेंगे माज़ अल्लाह" तो उन कमज़र्फों से सिर्फ इतना कहना चाहूंगा कि ये बात तुम अपने और अपने बाप दादा के लिए कह सकते हो कि मेरे आक़ा सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम तुम्हारे और तुम्हारे बाप दादा के काम नहीं आयेंगे,और काम नहीं आयेंगे से मुराद ये नहीं कि वो काम नहीं आयेंगे बल्कि ये कि तुम्हारी औकात उनसे मदद लेने की नहीं रहेगी लिहाज़ा वो तुम्हारे किसी काम नहीं आयेंगे,मगर हम तो उनके ग़ुलाम हैं उनके उम्मती हैं उनके बन्दे हैं हमारा तो हर काम उन्ही से बनता है और उन्हीं से बनेगा यहां भी और वहां भी इन शा अल्लाह तआला लिहाज़ा वो हमारे काम आयेंगे आयेंगे आयेंगे*
जारी रहेगा...........
---------------------------------------
http://zebnews.in/
---------------------------------------
*KANZUL IMAAN* - Beshak ALLAH munafikon aur kaafiro sabko jahannam me ikattha karega
📕 Paara 5,surah nisa,aayat 140
*ⓩ Is aayat se ye to pata chal hi gaya hoga ki kaafir alag hain aur munafiq alag hain aur dono hi jahannami hain,ye to huyi quran ki baat ab shafa'at ke mutallik chund hadees bhi padh lijiye*
*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki tamam zameen par jitne peid aur patthar hain main qayamat ke din usse bhi zyada aadmiyon ki shafa'at karaunga
*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki meri shafa'at mere gunahgar ummatiyon ke liye hai ispar hazrat abu darda raziyallahu taala anhu arz karte hain ki agar che wo zaani hon agar che wo chor hon to ispar huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki haan agar che wo zaani hon agar che wo chor bhi
*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki meri shafa'at har us shakhs ke waaste hai jiska khaatma imaan par hua ho
📕 Shafa'ate mustafa,safah 8-10
*ⓩ Is tarah ki saikdon hadisein pesh ki ja sakti hai magar jinko maanna hoga unke liye 1 hi hadees kaafi hai aur jinko nahin maanna hai unke saamne poora daftar bhi rakh do tab bhi na kaafi hoga,khair main jis waqiye ko bayaan kar aaya hoon ab usi ko hadees ke alfaaz me mulahza farma lein*
*HADEES* - Qayamat ke din jabki ummat sabke paas se mayoos hokar raufur raheem aaqa huzoor sallallahu taala alaihi wasallam ki baargah me haazir hogi aur apni musibat bayaan karegi tab huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmayengi ki ANA LAHA ai ummatiyon ghum na karo main to hoon hi isi liye taaki tumhari shafa'at karun,phir huzoor sallallahu taala alaihi wasallam rub ki baargah me haazir hokar sajde me sar ko rakh denge unka rub unse farmayega ai mahboob sar uthao aur kaho tumhari suni jayegi shafa'at karo ki tumhari shafa'at qubool hai
📕 Muslim,jild 1,safah 110
*ⓩ Nabi ka apne ummatiyon ki shafa'at karne me to kalaam hi kya hai khud quran me ek aisa waqiya darj hai jisse ye saabit hota hai ki ek aam musalman ki nekiyan bhi uski aulaad ke kaam aati hai isko main hazrat khizr alaihissalam ki post me bata chuka hoon uska doosra aur teesra hissa padh liya jaaye main yahan mukhtasar zikr karta hoon,jab hazrat moosa alaihissalam hazrat khizr alaihissalam se milne gaye aur unke saath ek safar par nikle to wahan 3 waqiye pesh aaye,teesre me do yateem bachchon ka khazana lutne se bachane ke liye hazrat khizr alaihissalam ne bagair keemat wasool kiye unki deewar durust kar di jab ki us basti waalon ne unki mehmaan nawazi na ki thi,usi teesre waqiye me ek raaz ye bhi tha Rub taala farmata hai*
*KANZUL IMAAN* - Aur unka baap neik aadmi tha
📕 Paara 16,surah kahaf,aayat 82
*TAFSEER* - Un do bachcho ka naam adram aur suraim tha aur unke baap ka naam kaasikh tha aur ye shakhs neik parhezgar tha,riwayat me aata hai ki ALLAH taala apne bande ki neki ke sabab uski aulaad ko aur uski aulaad ki aulaad ko aur uske kunbe waalo ko aur uske muhalle waalo ko apni hifazat me rakhta hai
📕 Khazayenul irfan,safah 361
📕 Ruhul bayan,paara 16,safah 477
*ⓩ Ek taraf to quran aur hadees me ye likha hai ki baap ki nekiyan aulaad ke kaam aati hain magar wahin doosri taraf kuchh logon ka huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ke baare me ye kahna hai ki "huzoor to apni beti ke bhi kaam nahin aa sakte to wo apne ummatiyon ko kis tarah bachayenge maaz ALLAH" to un kamzarfon se sirf itna kahna chahunga ki ye baat tum apne aur apne baap daada ke liye kah sakte ho ki mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam tumhari aur tumhare baap daada ke kaam nahin aayenge,aur kaam nahin aayenge se muraad ye nahin ki wo kaam nahin ayenge balki ye ki tumhari auqaat unse madad lene ki nahin rahegi lihaza wo tumhare kisi kaam nahin aayenge,magar hum to unke ghulam hain unke ummati hain unke bande hain hamara to har kaam unhi se banta hai aur unhi se banega yahan bhi aur wahan bhi in sha ALLAH taala lihaza wo hamare kaam aayenge aayenge aayenge*
To be continued..........
*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
*NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
*ALLAHABAD*
0 Comments