Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi


Hazrat Allama Maulana Muhammad Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi :

Alqab :

‾‾‾‾‾‾‾‾
Hujjat-ul-Islaam, Raees-ul-Ulama, Taaj-ul-Atqiya.

******************
Aap ki wilaadat Rabi ul awwal 1292 Hijri (April 1875 A.D.) me Bareilly me hui.

Aap ke waalid ka naam Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan bin Maulana Naqi Ali Khan rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Sayyeda Irshaad Begam bint Shaikh Fazl Husain hai.

Aqeeqah ke waqt aap ka naam ‘Muhammad’ rakha gaya.

Aap Aa’la Hazrat rahmatullāhi alaihi ke bade saahabzade hain aur Aa’la Hazrat aap se be-had muhabbat karte the the aur farmaaya ke ‘Haamidum minni wa ana min Haamid [Haamid mujh se hai aur main Haamid se]’.

******************
Aap ne apne waalid Aa’la Hazrat rahmatullāhi alaihi se ta’aleem shuru ki.
19 saal ki umr me Aap ne ta’aleem mukammal ki.
Aap Arabi aur Faarsi ke maahir the.
Aap ne Hadeeṡ, Fiq'h, Tafseer, Falsafa aur Ilm e Riyaazi aur dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

******************
Phir Aap ne Madrasa me ta’aleem wa tadrees shuru ki.

Aap bahot achhe Muqarrir aur Mudarris the.

Ek baar madrasa ke ba’az mudarriseen ne istifa de diya. Un ka maanna tha ki un sab ke madrasa chhod dene se talba ko taaleem dena mumkin nahi hoga aur un ki ehmiyat pata chalegi. Magar Hujjat ul islaam ne akele hi sab mazmoon par ta’aleem dena shuru kiya. Aur Aap ki behtar ta’aleem ki wajah se talba ki ta’adaad me bahit zyada ijaafa bhi hua.

******************
Aap har kaam shariat ke mutaabiq karte the aur har sunnat e Rasool ko apnaate the aur logo ko bhi is ke liye ta’aleem dete the.

Aap din aur raat me akṡar waqt mohabbat ke saath Zikr e ilāhi me aur Durood o Salaam padhne me guzaarte.

Ek baar Aap ko ek phoda ho gaya, jis ki wajah se aap ko shadeed dard ho raha tha. Doctor ne mashwara diya ke Hazrat ko be-hosh karke us phode ko nikalna hoga. Magar Aap ne khud ko dawa ke zariye be-hosh karne se ya us hisse ko sunn karne se inkaar kiya kyun ki aap apne jism me Alcohol daakhil karna nahi chahte the. Doctor ne samjhaaya ke aisa na karne se operation ke dauran aap ko bahut dard ho sakta hai magara aap nahi maane. Aakhirkaar taqreeban ek ghante tak aap ka operation chala maagar aap ne bardasht kar liya. Baad me pata chala ke aap pure operation ke dauran Durood shareef padhne me mashgool rahe jis ki wajah se aap ko dard ka ehsaas na hua.

******************
Aap Saadaat e kiraam ka aur Ulama e kiraam ki bahot ta’azeem aur khidmat karte the.

******************
Aap apne mureedo ka bahot khayaal rakhte the.

Ek baar Aap lambe safar ke baad Bareilly pahunche. Abhi Aap sawaari se neeche utre bhi nahi the ke Biharipur se aik shakhs aaya aur us ne kaha ke us ka bhai aap ka mureed hai aur bahut beemaar hai aur wo jald hi apne peer se milna chahta hai. Aap ne apne bete Numani miyan se saaman utarne ke liye kaha aur khud us shakhs ke saath iyaadat ke liye gaye. Waha jaakar aap ne apne mureed ko tasalli di aur us ke liye dua bhi ki.

******************
Banaras me rehne waale ek shakhs par jinn ke aṡraat ho gaye the. Woh der raat ko ghar ki chhat par chala jaata tha. Us ke ghar waale use Hazrat Haamid Raza Khan ke paas lekar aaye. Aap ne us ke liye dua ki. Foran woh jinn tauba karke use chhodkar chala gaya. Us ke baad woh shakhs bilkul theek ho gaya.

Isi tarah ek baar Banaras me bahot saare log jinn aur aaseb ke saaye ki fariyaad lekar Aap ke paas aaye. Aap ne un logo ke kapde laane ke liye kaha. Aur phir un ke kapde dekhkar jin logo ko asraat nahi the un ko batlaaya aur jin ko asraat the un ke kapdo par dam kiya aur dua ki to un ki takleef door ho gai aur wo bilkul theek ho gaye.

******************
Aap ne British hukoomat aur un ki tadbeero par aitraaz jataakar us ka muqaabala kiya.

Jab Tehreeq-e-Fitna-e-Irtidaad (Shudhi Tahreeq) ke dauraan kaafiro ne musalmano ko behkakar phir se Hindu banaana shuru kiya to Aap ne is ka muqaabala kiya aur Islaam ki hifaazat ki.

Isi tarah Aap ne Wahaabi aur Qadiani aur dusre bad-mazhab firqo ka muqaabala karke ta’aleem ke zariye musalmano ke eimaan ki hifaazat ki.

******************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :

(1) As-Saarim-ur-Rabaani alaa Asraaf Qaadiani
(2) Haashia Mulla Jalaal
(3) Majmua Fataawa
(4) Saddul Farar
(5) Naatia Deewaan

Aap ne Ad-Daulat-ul-Makkiyah aur Husaam-ul-Haramain ka Urdu Tarjuma bhi kiya hai.

Aap ne bahot saari Naat e Rasool bhi likhi hain.

******************
Aap ne 2 baar Hajj ada kiye :
(1) 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne waalid Aa’la Hazrat ke saath,
aur (2) 1334 Hijri (1916 A.D.) me.

Hajj ke duraan Hazrat Shaikh Sayyed Husain Dabbaagh rahmatullāhi alaihi aur Sayyedi Maaliki Turki rahmatullahi alaihi se mulaaqaat hui to unho ne Aap ki bahot ta’areef ki.

******************
Aap ka nikaah Kaneez Aa'isha binte Haaji Waariṡ Ali Khan se hua.

Aap ke 2 saahabzaade aur 4 saahabzaadiya hain.

Saahabzaade :
(1) Hazrat Ibrāheem Raza Khan urfe Jeelaani Miyan (Sajjaada nasheen),
(2) Hazrat Muhammad Hammaad Raza Khan urfe Numaani Miyan.

Saahabzaadiya :
(1) Umm-e-Kulsoom (Jin ka nikaah Hazrat Hakeem Husain Raza Khan se hua)
(2) Kaneez Sughra Begum (Jin ka nikaah Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan rahmatullahi alaihi se hua)
(3) Raabia Begum (Jin ka nikaah Mash'hood Ali Khan se hua)
(4) Salma Begum (Jin ka nikaah Mushaahid Ali Khan se hua)

******************
Aap Hazrat Allama Sayyed Shaah Abul Husain Ahmad e Noori Barkaati Qaadri Marehrawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne aur A’ala Hazrat Qutb-ul-Masha'ikh Sayyed Shaah Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmahtullāhi alaihi ne bhi Aap ko Khilaafat ata farmai.

Aap ke Khulfa :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Mufasseer e aazam Maulana Ibrāheem Raza Khan urfe Jeelaani Miyan rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Maulana Hammaad Raza Khan rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Sher Besha e Ahle Sunnat Maulana Hashmat Ali Khan rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Maulana Sardaar Ahmad rahmatullāhi alaihi
(5) Huzoor Mujaahid e Millat Maulana Habeeb-ur-Rahmān rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Maulana Mufti Sayyed Shaah Rafaaqat Husain Kanpuri rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Maulana Abdul Mustafa Azhari rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Maulana Abdul Ghafoor Hazarwi rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Maulana Ahsaan Ali rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Maulana Inaayat Muhammad Khan Ghori rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Maulana Muhammad Saeed Shibli rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Maulana Wali-ur-Rahmān rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Maulana Haafiz Muhammad Miyan Ashrafi rahmatullāhi alaihi
(15) Hazrat Maulana Abul Khaleel Anees Aalam rahmatullāhi alaihi
(16) Hazrat Maulana Qaari Fazle Kareem rahmatullāhi alaihi
(17) Hazrat Maulana Razi Ahmad rahmatullāhi alaihi
(18) Hazrat Akhtar ul Haamidi rahmatullāhi alaihi
(19) Hazrat Maulana Zaheer-ul-Hasan Aazami
(20) Hazrat Maulana Inaayat Mohammad Feroz.

******************
Aap ka wisaal 17 Jamaadi-ul-awwal 1362 Hijri (23 May 1943 A.D.) ko hua.
Aap ka wisaal duaraan e namaaz haalat e Tashahhud me hua.

Aap ki namaaz e janaaza Mohaddeeṡ e aazam e Pakistan Hazrat Maulana Sardaar Ahmad Razawi rahmatullāhi alaihi ne padhaai.
Aap ke janaaza me hazaaro ki ta’adaad me log shareek hue.

Aap ka mazaar Bareilly (Uttar Pradesh) me Aa’la Hazrat ke mazaar ke bagal me hai.

*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Maulana Haamid Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments