Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Ahmad Madaar Shaah rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Ahmad Madaar Shaah rahmatullāhi alaihi :
***********

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Madaar, Zinda Shaah.

***********
Aap ki wilaadat 1 Shawwaal 242 Hijri (August 839 A.D.) me Halab (Shaam /Syria) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Qidwat-ud-deen Mehzar Ali Halbi ibn Sayyed Baha-ud-deen Manaazar Ali rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Haajra binte Sayyed Abdullāh Aazami rahmatullāhi alaihi hai.

Aap ke waalid Husaini saadaat hai aur waalida Hasani saadaat hain.

***********
Aap ki waalida agar be-wuzu hoti to aap doodh nahi pite the.

Agar aap kisi wajah se ro rahe hote aur Azaan ki aawaaz sunte to foran khaamosh ho jaate aur puri Azaan sunte.
Isi tarah agar koi Tilaawat e Qur’an kar raha ho to aap khaamoshi ke saath sunte.

***********
4 saal 4 maah aur 4 din ki umr me Bismillāh khwaani ke baad Aap ke waalid ne Hazrat Khwaja Sadeed-ud-deen Huzaifa al-Mar'ashi ke paas ta’aleem ke liye rakha.
Aap Arabi ke har harf ke baare me gehra mutaalah karke sikhne lage.

Ek baar Hazrat Khwaja Huzaifa al-Mar'ashi ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne khwaab me farmaaya ke “Yeh ladka ALLĀH ta’ala ka wali hai aur meri aal me se hai. Tum is ka khaas khayaal rakhna.”

14 saal ki umr me aap Haafiz e Qur’an hue.
Aap Hadeeṡ, Tafseer, Fiq'h aur dusre uloom ke bhi maahir hue.

*************
Is ke baad Aap apne waalidain se ijaazat lekar Hajj ke liye rawaana hue. Aap ne apne saath kuchh bhi saamaan nahi liya.
Raaste me jab aap Baitul Muqaddas par pahunche to Hazrat Baayazeed Bustami rahmatullāhi alaihi apne mureedo ke saath waha tashreef farma the.
Hazrat ne aap ki peshani chumkar farmaaya ‘Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne mujhe khwaab me bashaarat di hai ke bahot jald tumhari mulaaqaat Badi-ud-deen Ahmad naam ke ek shakhs se hogi. Jab tum use milo to tum ne jo ilm haasil kiya hai wo use ata kar dena ke ye us ka haq hai. Is liye main is ke liye tayyaar hu.”

Is tarah Aap Hazrat Baayazeed Bastami ke mureed hue aur Tayfuria silsila me daakhil hue.
Phir peer ki ijaazat lekar Hajj ke liye rawaana hue.
Ek baar Aap Baitullāh ka tawaaf kar rahe the ke ghaib se aawaaz sunai di ke “Aye Badi-ud-deen! Ab tumhe Madeena ke liye nikalna chaahiye.” Yeh sunkar Aap foran Madeena ke liye rawaana ho gaye.

Jab aap Roza mubarak par pahunche aur Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ko salaam pesh kiya to Roza mubarak ke andar se Aap ko jawaab mila.
Kuchh din Madeena me guzarne ke baad aap waapas aaye aur Hazrat Ali Halbi ke paas charo aasmaani kitaabo ka ilm haasil kiya aur ilaawa in ke dusri kitaabo ka ilm bhi haasil kiya.

***********
Phir Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke hukm se Hindustan ke liye rawaana hue.
Safar me Aap roz Roza rakhte the. ALLĀH ta’ala ki taraf se roz aap ko 2 roti ata ki jaati, jis me se ek aap khairaat me de dete.
Is tarah Aap jahaaz se Yemen hote hue Hindustan tashreef laaye.
Aap Surat (Gujarat) shaher me pahunche. Yaha Aap ne Muslim aur Ghair-muslim sab ko Islaam ki sahi ta’aleem dena shuru kiya.
Phir kuchh arse baad Aap Khambhat tashreef le gaye. Yaha Aap ki ta’aleem se Raja Jaswant Singh ne Islaam apnaaya, Aap ne us ka naam Jaffar Khan rakha. Us ne kai Masjiden banai.
Phir Aap ne Bhedoch jaakar qayaam farmaaya.
Phir Khambhat se jahaaz me Hajj ke liye tashreef le gaye. Waha se Iraq aur Bukhara hokar Shaam gaye.
Phir Hindustan aakar Ahmedabad gaye. Yaha Raja Balwaan Singh ne Islaam apnaaya aur Aap ne us ka naam Zoraawar Khan rakha.

Phir Khambhat aakar jahaaz me Hajj ke liye gaye. Waha se Iraq gaye aur Hazrate Ghauṡ e aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu se mile. Us waqt Ghauṡe aazam ke jalaal ka ye aalam tha ke koi insaan Aap ke saamne nahi thehar sakta tha aur koi parinda Aap ke upar se guzar nahi sakta tha. Agar koi parinda aasmaan me Aap ke upar se guzarta to jalkar mar jaata. Aap ne Ghauṡe aazam se farmaaya “Humare naana jaan to rahmatallil aalameen kehlaate hain.” Yeh sunkar Ghauṡe paak ne khud ko badal diya aur sukoon waale ban gaye.

Phir aap Badkhashan hokar Misr pahunche.
Yaha pure ilaaqe me koi beemaari phail gai thi aur Hakeem Ahmad Misri ke ilaaj se bhi logo ko shifa nahi mil rahi thi. Aap ne Hakeem Ahmad Misri se farmaaya “Yeh beemaari ALLĀH ki na-farmaani aur gunahao ki wajah se hai. Yaha ke log yateem bacho ka maal chhin lete hain” Yeh sunkar us ne foran tauba kar li aur Aap ka mureed ban gaya. Aap ki naseehat se dusre ilaaqe ke logo ne bhi yateemo ka maal lautana shuru kar diya. Phir Aap ki dua se ALLĀH ta’ala un ko is beemaari se najaat ata farmai.

Phir aap Neem Roz gaye aur Yaha Hazrat Shaah Lutfullāh Aap ke mureed hue. Aap ne unhe ta’aleem e deen ke liye Najaf bheja.

Phir aap Hindustan aakar pure ilaaqe ka aur Sri Lanka me bhi gasht karte rahe.

Aap jab Ajmer pahunche to logo ne aap ko waha se chale jaane ke liye kaha aur kaha ke “Yaha jung me bahut saare musalman mar gaye hain aur Taraghadh par un ki laashen padi hai aur raat ko waha se Allāhu akbar (takbeer) ki aawaaz aati hai.”
Aap ne logo se farmaaya “Agar main is pareshaani ko door kar du to tum meri baat maanoge?” Logo ne kaha “Zaroor.”
Aap ne apne shaagirdo ko bhejkar un shohada ko janaaza padhakar dafn karne ke liye kaha. Is ke baad wo aawaaze aana band ho gaya. Logo ka khauf door hua aur un ko itminan hua aur sab ne musalman hokar Hazrat se bai'at ki.

Jab Aap Lucknow pahunche to ek shakhs ne aakar arz kiya ke “Meri biwi 4 mahine se beemaar hai aur aap us ki sehat ke liye dua karen.” Aap ne use Makhdoom Shaah Meena ke se milne ke liye kaha aur saath me apne shaagird Shaikh Shahaab-ud-deen ko jaa-namaaz aur ek thaili di aur farmaaya ‘Hazrat Qawaam-ud-deen ki dargaah par jaakar Shaah Meena ko ye do cheezen dena aur un ko dua karne ke liye kehna.’
Jab wo log us aurat ko lekar waha pahunche to dekha ke Shaah Meena abhi bache hain. Unho ne dono cheeze un ko dekar saari baat bataai. Shaah Meena wuzu karke jaanamaz par khade hue to aap ke pair kaampne lage. Unho ne Shaikh Shahaab-ud-deen ko dua karne ke liye kaha. Unho inkaar kiya magar israar aap karne par Shaah Meena ne Dua ki aur Shaikh Shahaab-ud-deen ne ‘Aameen’ kaha.
Un ki dua se foran us aurat ki beemaari door hui aue woh hosh me aakar khaana maangne lagi. Unho ne us thaili me se chaawal aur sirka nikaalkar use khilaaya. Use khaane ke baad use zyada achha mehsoos hone laga.

Is ke baad Makhdoom Shaah Meena mash'hoor ho gaye aur log un ke paas apni takleefo aur beemaariyo ke liye dua karaane ke liye aane lage.
Is tarah Hazrat Badi-ud-deen Madaar Shaah ne Shaah Meena ko Qutub ka darja ata farmaaya.

Ek baar ek budhi aurat Aap ke paas aakar kehne lagi “Aaj ek ladka paida hua hai, Magar woh doodh nahi pee raha hai.”
Aap ne farmaaya “Yeh bacha ALLĀH ka wali hai aur Maahe Ramazaan shuru ho gaya hai. Is liye wo din ke waqt me doodh nahi pee raha hai.”

Aap jab Kannauj pahunche to waha qareeb me sukhe taalaab me rehne lage. Ek baar kuchh logo ne aakar kaha “Kannauj me Cholera ki beemaari paaili hai aur zyada ta’adaad me log mar rahe hain. Aap hamare liye dua karen.”
Aap ne farmaya ke “Main ALLĀH se dua karunga. Magar yaha ke logo ko Islaam apnaana hoga.”
Logo ne kaha “Agar 40 din tak kisi ki maut nahi hoti hai to hum Islaam apnayenge.”

Aap ne Qaazi Shahaab-ud-deen Kidwai ko bhejkar dua karne ke liye kaha. Unho ne jaise hi Kannauj ki had par khade hokar dua ki, shaher me se aik aag ka gola nikalkar upar uthne laga. Qaazi Shahaab-ud-deen Kidwai apni roohaani taaqat se us aag ko nigal gaye aur Makanpur waapas aaye.
Is ke baad 39 din guzar gaye aur Kannauj me kisi ki maut nahi hui. Logo ne jama hokar mashwara kiya ke agar kal 40we din bhi agar koi nahi marega to sab ko Islaam apnana hoga. Aisa karte hain ki kisi budhe shakhs ko maar daalte hain.
Jab logo ne Bhikha aur Gopal naam ke do daane shakhs ko saari baaten batai to unho ne logo se kaha “Jo us aag ko nigal sakta ho wo waapas baahar bhi nikal sakta hai.’
Aur dono ne tay kiya ke hume Islaam apnaana hai. Un ki baat sunkar sab logo ne bhi Islaam apnaaya.

*************
Aap ke chehre par ALLĀH ta’ala ne aisa noor ata farmaaya tha ke agar koi Aap ko baghair hijaab ke dekh leta to be-ikhtiyaar aap ke qadmo me gir padta aur kalma e shahaadat padh leta.

Aap paani par is tarah chal sakte the jis tarah zameen par ya ret par chalte ho.

Aap ALLĀH ke fazl se apne takht par baithkar jaha jaana chahte waha pahunch jaate the.

*************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Hazrat Ghauṡe aazam Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki bahen Sayyeda Bibi Naseeba ko koi aulaad nahi thi. Unho ne apne bhai se kaha “Kaa'inat ki har cheez aap ka faiz o barkat haasil karti hai. Magar main aulaad se mehroom hu. Aap mere liye dua kijiye ke ALLĀH ta’ala mujhe aulaad ata farmae.’ Ghauṡe aazam ne farmaaya “Tumhare naseeb me aulaad hai, magar woh Hazrat Madaar Shaah ki dua se hai. Woh bahot jald Baghdad tashreef laayenge. Jab wo aaye to tum un se ilteja karna. Agar woh tumhare liye dua karen to in sha Allāh ALLĀH tumhe ata farmaega.”
Kuchh dino ke baad Hazrat Madaar Shaah Baghdad tashreef laaye. Sayyeda Naseeba ne jab ye khabar suni to foran aap ki baargah me haazir hui aur dua ke liye kaha. Aap ne farmaaya “ALLĀH ta’ala tumhe 2 bete ata farmaega agar tum un me se ek ko khidmate deen ke liye dene ke liye raazi ho to.” Sayyeda Naseeba is ke liye raazi ho gai.
Is ke baad Aap ki dua se Sayyeda ko 2 bete hue. Jin ke naam Sayyed Muhammad aur Sayyed Ahmad rakhe gaye.
Kuchh arse baad jab Madaar shah teesri baar Baghdad tashreef laaye aur kuchh din ke liye waha qayaam kiya.
Ek din Sayyed Muhammad ghar ki chhat par khel rahe the ki achanak waha se niche gire aur foran un ka inteqaal ho gaya. Yeh dekhkar Sayyeda ki aankho me aansoo aa gaye. Itne me unhe yaad aaya ki maine apne wade ke mutabik is bete ko Madaar shah ko dene ka tay kiya tha.
Chunaanche wo Madaar Shaah ki baargah me apne bete ki laash ko lekar pahunchi aur kaha “Aap ki dua se ALLĀH ta’ala ne mujhe 2 bete ata farmae the. Jin me se ek mujhe rakhna hai aur dusra jise aap ko dena tha us ka inteqaal ho gaya hai.” Aap ne farmaaya “Theek hai, woh beta mujhe de do.” Sayyeda ne kaha “Magar jo mar chuka hai use kisi ko nahi de sakti.”
Yeh sunkar Aap ne laash ke qareeb khade hokar farmaaya “Aye Jamaal-ud-deen Jaameman Jannati! ALLĀH ta’ala ke hukm se khade ho jaao.” Yeh kehte hi wo ladka zinda hokar khada ho gaya.
Baad me woh isi naam se mash'hoor hue. Aur un ka laqab ‘Jameel Shaah Daatar’ bhi hai. Aur un ka mazaar Helsa Jatinagar (Bihar) me hai.

(2) Kannauj me rehne waale ek shakhs ko aulaad nahi thi. Ek martaba woh apni biwi ke saath Madaar Shaah ke paas aaya. Aap ne us ke liye dua ki. Us ke baad us ki biwi ko hamal raha magar us ko jo bacha paida hua wo sirf gosht ke tukde jaisa tha us ka sar, haath ya pair nahi the. Woh shakhs use lekar Madaar Shaah ke paas aaya. Aap use dekhne lage aur phir Aap ne kuchh gungunana shuru kiya. Us ke saath hi us bache ne shuru kiya aur phir ALLĀH ta’ala ne use zindagi ata farmai aur insaani shakl o soorat ata farmai. Aur us ka naam ‘Alrai’ rakha gaya.

(3) Ek baar Aap apne mureed Hazrat Khwaja Sayyed Abu Turaab Fansoor ke saath ek baagh me sair kar rahe the. Aap ne ek insaan ki khopdi dekhi. Aap ne us se puchha “Tum kaun ho aur kya ho?” ALLĀH ke hukm se woh khopdi bolne lagi aur us ne kaha “Main is baagh ki nigraani ka kaam karta tha aur apne bacho ki parwarish karta tha. Magar ek din achaanak mujhe maut aa gai. Aur 12 saal se main yahi par dafn tha. Aur mere gunaaho ki wajah se mujh par azaab ho raha tha. Kisi ko meri koi parwah nahi hai. Aur main kahi ka nahi raha.”
Yeh sunkar Aap ne ALLĀH se dua ki. Aap ki dua se ALLĀH ne apni rahmat se use zinda kiya aur jism ata farmaaya. Aap ne use ‘Zamzama’ naam diya aur us ke baad woh 12 saal tak dunya me raha.

(4) Ek baar ek aurat Madaar Shaah ki baargaah me aai aur kaha “Mujhe bahot duao ke baad ALLĀH ne ek beta diya tha. Magar bad-naseebi se bachpan me hi us ka inteqaal ho gaya. Ab main tanha aur be-sahara hu. Aap ki dua se bahot se logo ne faiz paaya hai to main kyun mehroom rahu?”
Aap ko raham aa gaya aur Aap us bache ki qabr par gaye aur farmaaya “Qum bi iznillāh.” Aur foran wo bacha zinda hokar kalma padhne laga.
Magar us bache ne Hazrat se arz ki ke “Yeh dunya gunaho aur khwahishaat se bhari hai aur us me koi sukoon nahi. Haqeeqi sukoon to Jannat me hai. Is liye main is dunya me waapas aana nahi chaahta.”

(5) Ek baar Madaar Shaah ek nadi ke kinaare baithe the. Itne me ek machhyaare (maahigeer) bhaagkar aaya aur bataaya ke “Ek saudagar kashti me apna maal lekar safar par nikla tha. Kuchh der baad woh kashti dariya me doob gai.” Aap ne waha se geeli mitti li aur use dekar farmaaya “Jis jagah par woh kashti doob gai hai waha jaakar is mitti ko daal do.” Us ne waha jaakar jab wo mitti dariya me daali to use ye dekhkar ta’ajjub hua ke woh kashti paani ke upar salaamat laut aai aur tairne lagi. Yeh dekhkar woh apne saathiyo ke saath Hazrat ke paas aaya aur Aap ki daawat par wo sab musalman ho gaye.

(6) Ek martaba Aap Surat pahunche to Aap ne ek maqaam par logo ki bheed dekhi. Aap waha pahunche to dekha ke ek na-bina shakhs raaste me baitha tha. Jab us shakhs ko Hazrat ki haazri ka pata chala to us ne aap se fariyaad ki. Aap ne foran wuzu kiya aur phir usi paani ko us shakhs ki aankho par lagaya. Foran us shakhs aankho ki roshni durust ho gai. Yeh karaamat dekhkar aas-paas se ilaaqe ke log Aap ki bahut izzat karne lage aur apne naam ke sath Shaah lagaane lage.

(7) Hazrat Ahmad ghud-sawaari me bahot maahir the. Ek baar woh apne ghode par sawari karte hue soch rahe the ki main dunya me sab se zyada khush aadami hu aur mujhe kisi tarah ki koi pareshaani nahi hai. Bad-qismati se un ka ghoda gir gaya aur un ko bhi neeche girne ki wajah se gehri chot aai aur dard aur khoon nikal jaane ki wajah se be-hosh ho gaye. Jab Madaar shah aap ke paas aaye to aap ne farmaaya “Kab tak tum yun be-hosh pade rahoge. Utho aur ALLĀH ta’ala se tauba karo.” Yeh sunkar Hazrat Ahmad jaage aur tauba ki. Unho ne Hazrat ke qadmo ko chhune ke koshish ki. Magar dard ki wajah se na kar paaye. Madaar Shaah ke pukaarne par unka ghoda waha aa gaya aur Aap ne Hazrat Ahmad ko qareeb ke gaanv me ek jarrah (doctor) ke paas le gaye aur ilaaj ke liye kaha. Us ne jaanch karke kaha “Is shakhs ka ilaaj karna mere bas ki baat nahi. Shaayad gehre jakhm ki wajah se yeh mar bhi sakta hai.”
Yeh sunkar Aap ne waha zameen par padi anaar ki chhal ko uthaaya aur use piskar un ke jakhmo par lagaaya to khoon nikalna band ho gaya. Chand dino baad Hazrat Ahmad bilkul tandurast ho gaye. Aur Aap ke mureed hue aur Madaar Shaah ke Makka ke safar me aap ke saath rahe.

(8) Ek martaba Madaar Shaah Bengal ke ilaaqe me the. Waha qahet pada tha. Logo ne Aap ki baargaah me haazir hokar arz ki “Baarish na hone ki wajah se sab bahot pareshaan hain. Paani ki tangi hai aur hamari kheti bhi sukh kar barbaad ho rahi hai.” Aap ne baargaahe ilāhi me dua ke liye apne haath uthaaye aur farmaaya “Aye ALLĀH! Tu Qaadir e mutlaq hai. Main ek insaan hu aur aasi hu. Teri baargaah me dua karta hu ki teri makhlooq par raham farma de aur tere Habeeb Muhammad Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me in par rahmat naazil farma.”
Is ke saath hi tez baarish shuru ho gai aur chaaro taraf paani paani ho gaya. Yaha tak ke jo log Madaar Shaah ki baargaah me aaye the un ko bhi paani ki wajah se apne gharo tak waapas jaana mushkil ho gaya.

(9) Ek baar Madaar Shaah naher ke kinaare baithe the. Itne me ek Jogi ek botal lekar aaya aur kaha “Ye Aksir hai.” Aap ne is ke baare me puchha to us ne kaha “Ise taanbe ki cheez par lagao to use sona bana deta hai.” Aap ne us botal ko naher me phenk diya. Yeh dekhkar wo Jogi ghusse me aa gaya aur aap se kehne laga “Tum ne meri zindagi bhar ki mehnat barbaad kar di.” Aap ne farmaaya “Insaan khud aksir hai. Lihaaza kisi aur cheez ko taanbe me se sona banaane ke liye istemaal kyun karna chaahiye?”
Phir Aap ne farmaaya “Yeh aksir dikhta kaisa hai?” Us ne kaha “Mitti jaisa.” Aap ne waha se mitti uthaakar farmaaya “Yeh mitti bhi aksir jaisa kaam kar sakti hai. Ise le jaao aur jitna chaaho sona bana lo.” Use yaqeen na hua aur us ne jaanch karne ke liye taanbe ke bartan par lagaaya to woh sone ka ho gaya.
Yeh dekhkar wo Aap ke qadmo me gir gaya aur Islaam me daakhil ho gaya. Aur kuchh dino ke liye aap ki khidmat me bhi raha.

(10) Kabul me qayaam ke dauraan ek martaba Hazrat Shaah e Madaar ne apne khaadimo ko paani laane ke liye bheja. Wo log qareeb me ek kuen par gaye aur jab wo us me se paani nikal rahe the to waha rehne wale kuchh logo ne unhe roka. Khaadimo ne aakar Hazrat ko ye baat bataai. Aap ne unhe farmaaya “Kuen par waapas jaao aur us se kaho ke Shaheed e Karbala ke pote ne tumhe bulaaya hai.” Khaadimo ne waisa hi kiya. Aap ka farmaan sunkar kuen ka paani tez raftaar se upar aane laga. Aur jab khaadim ne bartan me paani bhar liya to paani waapas apni jagah par chala gaya. Yeh sab dekhakar wo sab log sharminda ho gaye aur Hazrat ki baargaah me aakar qadmo me gir gaye aur muafi maangi.

(11) Ek baar Madaar Shaah Mevat ke pahaadi ilaaqe se guzar rahe the. 52 Dakaito ke ek giroh ne Aap ko ameer suadagar samajhkar aap ko lootne ke liye hamla kiya. Aap ne apne chehre par se naqaab hata diya. Aur us noor ki wajah se wo sab log andhe ho gaye aur chillaane lage. Aur Hazrat ke qadmo me girkar muafi maangne lage. Aap ne farmaaya “Main tumhe ek hi shart par muaf kar sakta hu ke tumhe yeh loot karna aur raahgiro ko pareshaan karna chhodna hoga.” Un logo ne kaha “Hum waada karte hain ki abhi se yeh burai ka kaam chhod denge aur mehnat karke rozi kamaenge.” Is ke saath hi sab ko aaankho ki roshni phir se mil gai.
Wo sab log musalman ho gaye aur aap ke mureed hue.

(12) Ek baar aap wa’az farma rahe the. Ek shakhs waha se guzra to logo ki bheed dekhkar us ne Shaikh Mohammad Baqa'ullāh se is ki wajah puchhi. Unho ne bataaya “Hamare Peer Qutb-ul-Madaar Shaah wa’az farma rahe hain.” Magar woh shakhs aap ke martabe ko maanne se aitraaz karne laga.
Madaar Shaah us ke dil ki baat jaankar use qareeb bulaaya aur farmaaya “Tumhare ghar ke saamne jo paid hai woh kis ka hai?” Us ne kaha “Woh bahot puraana darakht hai aur bijli girne ki wajah se sukh gaya hai aur us par koi patte ya phal na hone ki wajah se yeh bataana mushkil hai ki woh kis cheez ka paid hai.” Aap ne use us paid ke saamne dekhne ke liye kaha aur farmaaya “Ab batao yeh kaun sa paid hai?” Jab us ne paid ko dekha to wo hairat me yeh dekhkar pad gaya ke woh paid patto aur naariyal se bhara hua hai.
Woh Hazrat ke qadmo me gir gaya aur muafi maangi. Aap ne use us paid ka khayaal rakhne ke liye kaha aur farmaaya “Jo is paid ke naariyal ka paani piyega use aankho ki beemaari nahi hogi.”

(13) Malik-ul-Ulama Qaazi Maulana Shahaab-ud-deen Madaar Shaah ki izzat nahi karte the. Ek baar unho ne Aap se kai sawaal kiye aur Aap ne har sawaal ka jawaab diya. Phir bhi woh nahi maane.
Ek baar unho ne ek zinda shakhs ko kafan pehnakar janaaze me rakhkar Hazrat ki baargaah me bheja aur Madaar shah se namaaz e janaaza padhaane ke liye kaha. Aap ne namaaz e janaaza padhai aur apne khaime me chale gaye.
Madaar shaah ko koi ilm nahi hai yeh sochkar wo log janaaza kholkar kafan ko hataane lage. Jaise hi kafan khola un logo ne dekha ki woh shakhs mar chuka hai.
Qaazi Maulana Shahaab-ud-deen ko jab yeh pata chala to Madaar Shaah ki baargaah me aaye to apni gustaakhi ke liye muafi maangi.

*************
Aap Hazrat Khwaja Baayazeed Bastami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap se tareeqat ka ‘Madaariya’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Khwaja Sayyed Abu Muhammad Arghoon rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Maulana Sayyed Hisaam-ud-deen Salaamati Jaunpuri rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Sayyed Muhammad Jamaal-ud-deen Jaaneman Jannati Bukhari rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Khwaja Sayyed Abul Hasan Tayfoor rahmatullāhi alaihi
(5) Khwaja Sayyed Abu Turaab Fansoor rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Qaazi Shahaab-ud-deen Kidwai Daulatabadi rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Qaazi Mahmood Kintoori rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Qaazi Mazhar Kallesar rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Qaazi Mutesher Kaliyari rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Sadan Shaah Sarmast rahmatullāhi alaihi
(11) Hazrat Makhdoom Jahaaniyan Jahaangasht Sayyed Jalaal-ud-deen Husain rahmatullāhi alaihi
(12) Hazrat Qaazi Sayyed Abdul Malik urfe Ajmal Shaah Bahraichi rahmatullāhi alaihi

***********
Aap ke wisaal se pehle Aap ne mureedo se farmaaya ke “Mere wisaal ka waqt qareeb hai. Is liye paani ka intazaam karke rakhna. Mujhe farishten ghusl denge.”
Yeh sunkar mureedo ne Aap ko unhe chhodkar na jaane ke liye kaha. Aap ne farmaaya “Har jaandar ko maut ka maza chakhna hai. Aur main tumhe chhodkar nahi jaa raha hu. Jab bhi tum mujhe yaad karke dua karoge ALLĀH ta’ala tumhari muraad puri farmaega.”

Is ke baad Aap puri raat apne kamre me tilaawat e Qur’an karte rahe.

***********
Aap ka wisaal 17 Jamaadi ul awwal 838 Hijri (1434 A.D.) me 596 baras ki umr me hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Maulana Sayyed Hisaam-ud-deen Salaamati rahmatullāhi alaihi ne padhaai.

Aap ka mazaar Makanpur (Uttar Pradesh) hai.

*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Badi-ud-deen Ahmad Madaar Shaah rahmatullāhi alaihi ke aur Ahle bait Aur Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments