*🌹SAWAL:-🌹*
Salam, Ek sawal he ki sadi ke din dulan apne ghar se vida ho ke sasural aae tab sasural pohche tab gharme dakhil hone se pehle dulhan ke pehar dho ke us pani ko ghar ki diwalo pe chhirak na kesa hadis ki rosni me
Jawab de ke ilm me izafa kare
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Nai Dulhan Ke Pair Dho Kar Uska Paani Ghar Ki Diwalo Par Charo Kone Me Chhidakna Mubah W Jaiz He, Balki Baaise Barkat He, Albatta Ye Zaroori He Ki Isme Or Koi Khilafe Shara'a Rasm Na Ki Jaye.
Jaisa Ki Huzur Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Dulhan Ko Biyah Kar Laaye To Mustahab He Ki Uske Paanw Dho Kar Makaan Ke Charo Gosho Me Chhirke Is Se Barkat Hoti He.
*📚(Fatawa Razviya, J-2, S-595, Matbuaa Raza Foundation Lahor)*
Isi Tarah Fatawa Europe Me He,
Ki Ye Rasm Mubah W Jaiz He..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments