Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-29

👉               Sms prepared by               👈
                   *ⓩⓔⓑⓝⓔⓦⓢ*
   
*हिन्दी/hinglish*                *आसारे क़यामत-29*

                             *दोज़ख*

*ⓩ दोज़ख में जाना ही क्या कम अज़ाब होगा उस पर ये कि अलग अलग तरीकों से भी उसे अज़ाब दिया जायेगा,अज़ाब की चंद झलकियां पिछली पोस्ट में आपने पढ़ी अब कुछ ऐसे शख्स जिनको अज़ाब दिया जायेगा उनके बारे में पढ़िये*

*इल्म छिपाने वाले* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि अगर किसी को किसी बात का इल्म है और उससे किसी ने पूछा और उसने ना बताया तो उसके मुंह में आग की लगाम लगायी जायेगी

*नशा खोर* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मेरे रब ने अपनी इज़्ज़त की कसम खाई है कि जो कोई दुनिया में शराब का एक घूंट पियेगा मैं उसे जहन्नम में उतनी ही पीप पिलाऊंगा

*बे अमल वाईज़* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मेअराज की रात मैंने देखा कि कुछ लोगों के होंठ आग की कैंचियों से काटे जा रहे हैं मैंने पूछा ये कौन लोग हैं तो बताया गया कि ये बे अमल वायेजीन हैं दूसरी जगह इरशाद फरमाया कि एक शख्स को जहन्नम में डाला जायेगा जिससे उसकी अंतड़ियां बाहर निकलकर गिर जायेगी और वो अपनी अंतड़ियों के साथ घूमता रहेगा कुछ लोग उसके पास आयेंगे और कहेंगे कि तू तो दुनिया में हमें भलाई सिखाता था और बुराई से रोकता था तेरा ये अन्जाम क्यों हुआ तो कहेगा बेशक मैं तुमको नेकी करने को कहता था पर खुद ना करता था और तुमको गुनाहों से मना करता और खुद करता था

*सोने चांदी के बर्तन इस्तेमाल करने वाले* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि जिसने सोने चांदी के बर्तन में खाना खाया तो उतना हिस्सा जहन्नम की आग से भरा जायेगा

*तस्वीर बनाने वाले* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि जहन्नम में सबसे भारी अज़ाब जानदार की तस्वीर बनाने वालों को होगा वो इस तरह कि उसकी बनाई हुई हर तस्वीर उसे अज़ाब देगी

*ख़ुदकुशी करने वाले* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि जिसने जिस तरह अपनी ज़िन्दगी खत्म की होगी तो हमेशा हमेश उसी तरह अज़ाब पाता रहेगा मसलन अगर किसी ने पहाड़ से गिरकर जान दी तो हमेशा वो पहाड़ से गिरता रहेगा जिसने ज़हर पिया वो हमेशा ज़हर पीता रहेगा 

*घमंडी* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि जहन्नम में एक जेल खाना है जिसको बोल्स कहा जाता है इसमें आग ही आग भरी होगी इसमें मुतकब्बिरों को डाला जायेगा जो कि चूंटियों के बराबर जिस्मों के साथ उठेंगे मगर सूरत उनकी ही होगी

*रियाकार आबिद* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि जहन्नम में एक वादी है जिससे खुद जहन्नम भी रोज़ाना 400 बार पनाह मांगा करता है उसमे उन लोगों को डाला जायेगा जो अपने आमाल का दिखावा करते हैं 

📕 अहवाले बरज़ख,सफह 68-70

*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि मैंने जन्नत में नज़र डाली तो अक्सर गरीबों को पाया और जहन्नम में देखा तो ज़्यादातर मालदार व औरतों को पाया

📕 मुसनद अहमद,जिल्द 1,सफह 234

*ⓩ मालदारों और गरीबों का समझना तो आसान है कि ज़्यादातर ग़रीब हज़रात अल्लाह व उसके रसूल सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम के दीन की तरफ माईल दिखते हैं और मालदार ज़्यादातर दौलत कमाने के चक्कर में हलालो हराम की तमीज़ तक भूल जाते हैं और उनका यही माल वबाल बन जाता है दुनिया में भी और आखिरत में भी,दुनिया में इस तरह कि खुद मेरे इल्म में है कि एक शख़्स के 12 मकान थे और उनके 3 बेटे थे मगर जब उनका इंतेक़ाल हुआ तो वो बेटे अपने बाप को दफन करने की बजाये मकान के बटवारे में लगे थे हत्ता कि क़ब्रिस्तान तक यही हाल रहा मआज़ अल्लाह,और आखिरत में इस तरह कि अगर नेकोकार हुआ भी तब ही हदीसे पाक में आता है कि अपने माल का हिसाब देते देते 500 साल गुज़र जायेंगे और ग़रीब जन्नत में जा चुका होगा और अगर बदकार है तो जहन्नम का हक़दार,खैर इसका मतलब ये नहीं कि गरीब है तो जन्नती है और अमीर है तो जहन्नमी नहीं बल्कि वही कि अक्सर ऐसा ही होता है वरना अगर गरीब बे अमल है तो यक़ीनन जहन्नमी है और अमीर बा अमल है तो बेशक जन्नती,और औरतों को जो फरमाया गया तो इसकी एक बड़ी वजह ये है कि वो नाशुक्री बहुत करती है जिसकी वजह से उनकी नेकियां उनके गुनाहों के नीचे दब जाती हैं और बिल आख़िर जहन्नम की हक़दार,और अगर औरत जाहिल है तब तो अल्लाह की पनाह क्योंकि फिर तो वो इस कहावत पर सटीक बैठेगी कि "एक तो करैला ऊपर से नीम चढ़ा" यानि अव्वल तो नाकिसुल अक़्ल ठहरी ऊपर से जाहिल भी और ऐसी औरतों को आज कल ढूंढना कोई मुश्किल काम नहीं जहां नज़र उठाईये इनकी ही अक्सरियत दिखाई देती हैं,परदे में इनहें रखना मुसीबत बन चुका है पुलिस केस कर सकती है चाहे उसका बाप उसका भाई या फिर उसका शौहर ही क्यों ना जेल चला जाये और अगर केस नहीं करती तब तो घर को ही मैदाने जंग बना डालेंगी,और अब तो इन जाहिल औरतों को मर्दों की इमामत करना है इनको मस्जिद में आकर मर्दों के साथ नमाज़ पढ़ना है इनको बे पर्दा घूमना है और सोने चांदी से तो इतनी मुहब्बत है कि मर्द चाहे चोरी करे डाका डाले किसी का माल ग़सब करले पर इनकी ख्वाहिश पूरी करे,तो इनके इस रवैये की वजह से इन्हें दुनिया में तो वो सब मिल ही जायेगा जो ये चाह रही हैं मगर आखिरत में वही होगा जो मेरा आक़ा सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमा रहे हैं कि जहन्नम में औरत ज़्यादा होगी,लिहाज़ा जो मेरी मां बहने अपनी आखिरत नहीं बिगाड़ना चाहती तो वो अपना वो ही दर्जा मांगे जो उन्हें अल्लाह व रसूल सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम ने दिया है उससे ज़्यादा नहीं*

*अल्लाहुम्मा अजिरनी मिनन नार*
*अल्लाहुम्मा अजिरनी मिनन नार*
*अल्लाहुम्मा अजिरनी मिनन नार*

जारी रहेगा...........

---------------------------------------
---------------------------------------

*ⓩ Dozakh me jaana hi kya kam azaab hoga uspar ye ki alag alag tariko se bhi use azaab diya jayega,azaab ki chund jhalkiyan pichhli post me aapne padhi ab kuchh aise shakhs jinko azaab diya jayega unke baare me padhiye*

*Ilm chhipane waale* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki agar kisi ko kisi baat ka ilm hai aur usse kisi ne poochha aur usne na bataya to uske munh me aag ki lagaam lagayi jayegi

*Nasha khor* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki mere Rub ne apni izzat ki kasam khaayi hai ki jo koi duniya me sharab ka ek ghoont piyega main use jahannam me utni hi peep pilaunga

*Be amal waayiz* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki meraj ki raat maine dekha ki ki kuchh logon ke honth aag ki kainchiyon se kaate ja rahe hain maine poochha ye kaun log hain to bataya gaya ki ye be amal waayzeen hain doosri jagah irshaad farmaya ki ek shakhs ko jahannam me daala jayega jisse ussi antdiyan baahr nikalkar gir jayegi aur wo apni antdiyon ke saath ghoomta rahega kuchh log uske paas aayenge aur kahenge ki tu to duniya me hamein bhalayi sikhata tha aur burayi se rokta tha tera ye anjaam kyun hua to kahega beshak main tumko neki karne ko kahta to tha par khud na karta tha aur tumko gunahon se mana karta aur khud karta tha

*Sone chaandi ke bartan istemal karne waale* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jisne sone chaandi ke bartan me khaana khaaya to utna hissa jahannam ki aag se bhara jayega

*Tasweer banane waale* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jahannam me sabse bhaari azaab jaandar ki tasweer banane waalo ko hoga wo is tarah ki uski banayi huyi har tasweer use azaab degi

*Khudkushi karne waale* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jisne jis tarah apni zindagi khatm ki hogi to hamesha hamesh usi tarah azaab paata rahega maslan agar kisi ne pahaad se girkar jaan di to hamesha wo pahaad se girta rahega jisne zahar piya wo hamesha zahar peeta rahega 

*Ghamandi* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jahannam me ek jail khaana hai jisko bols kaha jaata hai isme aag hi aag bhari hogi isme mutakabbiro ko daala jayega jo ki chuntiyon ke barabar jismo ke saath uthenge magar surat unki hi hogi

*Riyakaar aabid* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki jahannam me ek waadi hai jisse khud jahannam bhi rozana 400 baar panaah maanga karta hai usme un logon ko daala jayega jo apne aamal ka dikhawa karte hain

📕 Ahwale barzakh,safah 68-70

*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshad farmate hain ki maine jannat me nazar daali to aksar garibon ko paaya aur jahannam me dekha to zyadatar maal daar wa aurton ko paaya

📕 Musnad ahmad,jild 1,safah 234

*ⓩ Maal daaro aur garibon ka samajhna to aasaan hai ki zyadatar gareeb hazraat ALLAH wa uske Rasool sallallahu taala alaihi wasallam ke deen ki taraf maayil dikhte hain aur maaldaar zyadatar daulat kamane ke chakkar me halalo haraam ki tameez tak bhool jaate hain aur unka yahi maal wabaal ban jaata hai duniya me bhi aur aakhirat me bhi,duniya me is tarah ki khud mere ilm me hai ki ek shakhs ke 12 makaan the aur unke 3 bete the magar jab unka inteqal hua to wo bete apne baap ko dafn karne ki bajaye makaan ke batwaare me lage the hatta ki qabristan tak yahi haal raha maaz ALLAH,aur aakhirat me is tarah ki agar neko kaar hua bhi tab hi hadise paak me aata hai ki apne maal ka hisaab dete dete 500 saal guzar jayenge aur gareeb jannat me ja chuka hoga aur agar badkaar hai to jahannam ka haqdaar,khair iska matlab ye nahin ki gareeb hai to jannati hai aur ameer hai to jahannami nahin balki wahi ki aksar aisa hi hota hai warna agar gareeb be amal hai to yaqinan jahannami hai aur ameer ba amal hai to beshak jannati,aur aurton ko jo farmaya gaya to iski ek badi wajah ye hai ki wo na shukri bahut karti hai jiski wajah se unki nekiyan unke gunahon ke neeche dab jaati hain aur bil aakhir jahannam ki haqdaar,aur agar aurat jaahil hai tab to ALLAH ki panaah kyunki phir to wo is kahawat par sateek baithegi ki "ek to karaila oopar se neem chadha" yaani awwal to naakisul aql oopar se jaahil aur aisi aurton ko aaj kal dhoondna koi mushkil kaam nahin jahan nazar uthaiye inki ki aksariyat dikhayi deti hain,aaj kal ke mahaul me to usko parde me rakhna musibat ban sakta hai wo police case kar sakti hai chahe uska baap uska bhai ya phir uska shauhar hi kyun na jail chala jaaye aur agar case nahin bhi karti tab to ghar ko hi maidane jung bana daalengi,aur ab to in jaahil aurton ko mardon ki imaamat karna hai inko masjid me aakar mardon ke saath namaz padhna hai inko be parda ghoomna hai aur sone chandi se to itni muhabbat hai ki mard chahe chori kare daaka daale kisi ka maal gasab karle par inki khwahish poori kare,to inke is rawaiyye ki wajah se inhein duniya me to wo sab mil hi jayega jo ye chah rahi hain magar aakhirat me wahi hoga jo mera aaqa sallallahu taala alaihi wasallam farma rahe hain ki jahannam me aurat zyada hogi,lihaza jo meri maa bahne apni aakhirat nahin bigaadna chahti to apna wo hi darja maange jo unhein ALLAH wa Rasool sallallahu taala alaihi wasallam ne diya hai usse zyada nahin*

*ALLAHUMMA AJIRNI MINAN NAAR*
*ALLAHUMMA AJIRNI MINAN NAAR*
*ALLAHUMMA AJIRNI MINAN NAAR*

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments