Musafir Ki Namaz
Islam ne Musafir ko ye sahulat di haike woh Safar me Namaz Qasr kare yani jo Farz Namaz 4 Rakt par mushtamil ho iski jagah wo 2 Rakt padhe. Aaqa O Moula ﷺ Ka farmane
Aalishaan hai "Yeh Ek Sadqa hai jo ALLAH Ta'ala ne Tum par kiya hai, Tumhe chahiye ke iska Sadqa Qubool karo". Musafir par wajib haike Namaz me Qasr kare. Jisne Janbojh kar 4 Rakatein padhi wo Gunehgar hua, isse Taubah karni chahiye, Sunnato me Qasr nahi wo pori padhni chahiye.
Sharan Musafir wo shaks hai jo Satawan Meel se kuch zayid (Asal Miqdar 57.375 Meel, ya 92.33 K.M hai) ke Safar ke iradeh se apni Basti se bahar nikal chuka ho. Musafir jab tak apne Shehar me wapas na pohanche wo Namazein Qasr karta rahega albatta dorane Safar wo kisi Muqaam par 15 din ya zayid Qiyam ka iradah karle to wo wahan pori Namaz padhega chahe b'ad me kisi wajah se wahan 15 din se kam Qiyam karsake. isi tarha agar kisi jagah 15 din se kam Qiyam ki niyat ho magar kisi wajah se wahan 15 din se zayid Teharna pade fir b wo Qasr karega.
Agar Musafir Muqeem Imam ke peeche Namaz padhe to 4 Rakt hi ada kare awr agar Muqeem log Musafir Imam ki Iqtidah me Namaz ada karein to Imam ko chahiye ke woh pehle logon ko apna Musafir hona batade fir 2 Rakt ke b'ad Sal'am pherle awr Muqeem muqtadi khade hokar baqiya 2 Rakatein padhein magar Qiyam me Surah Fatiha padhne ki Miqdar khamosh rahe.
Chalti Train par Namaz nahi hoti isliye jab Station par Gadi ruke is waqt Namaz ada kare awr agar Namaz ka waqt ja raha hoto jis tarha bhi mumkin ho padhle fir jab mouqa mile to Namaz ka iyadah kare. Jo Namaz Safar me Qaza huye ya naqis padhi gaye ise Manzil par pohanch kar lautane me zaruri hai ke isse Qasr hi padha jaye.
0 Comments