بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 02 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ ● Imaan Lane K Baad Imaan Wala Rahna Az Had Zaroori Hai Is Silsile Me Imaan Ki Hifazat Ki Fikr Wa Koshish Har Musalman Ki Khud Ki Zimmedari Hai Mu'allime Qayenaat Shahe Maujudaat ﷺ Ka khususi Faiz Pane Wale Sahaba E Kiraam علیہم الرضوان Ne Khud Ko Shari'at Ke Hukmo Ki Haqiqat Ki Amli Tasweer Bana kar Pesh Kiya Aur Apne Kaamil Aur Mukammal Imaan Hone Ka Saboot Diya Aur Imaan Ki Raah Me Aur Sabit qadmi Me Aane Wali Har Sakhti Wa Pareshani Ka Jawan Mardi Se Datt'kar Muqabla Kiya Aur Aakhri Dam Tak Imaan Par Qaim Rahe . ● Is Silsile Me Sache Aashiqo Aur Qamil Momino Me Se Hazrat E Bilal , Hazrat E Khabbab , Hazrat E Ammar , Aur Kaneez E Rasool Hazrat E Sumaiya رضى الله تعلا عنهم Wagairahum Buzurgan E Giraami Qadr Ki Imaan Par Iste'qamat ( Majbooti ) Ki Kathin Adwar ( Gardishoñ ) ka Shikaar Rahi Musalmano Ka Bacha Bacha Waqif Hai Apne As'haab E Jisaan Ko Aaqa E Qainaat Ne Kalanjoom Yaani Sitaaro Ki Tarah Irsaad Farmaya Unhi Ki Pai'rawee Wa Iq'tida Raahe Hidayat Thahri. |
Share on |
0 Comments