بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» POST NO-01 « •─• Biraadaran-E-islam •─• ─≽ ISLAM Ek Muqammal Deen Hai.Is Liye ISLAM Ne Ibaadat-E-Maqsooda Ya’ani Roza, Namaaz, Zakaat, Hajj Vagerah Ke Hi Huqm Nahi Farmaya. ─≽Balke Insaani Zindagi Ke Har Goshe Yaane Bachapan, Jawaani, Bud’haape Ke Furooee Usool Yaani Khaane-Peene, Uthane-Baithne, Sone-Jagne, Bolne-Sun Ne, Marne Aur Jeene Ke Tamaam Ahkaam Ki Rehbari Wa Rehnumaai Farmakar Insaan Ki Zindagi Me Ek Nikhaar, Khoobi Aur Umdagi Paida Farmaai Hai. ─≽DEEN-E-ISLAM Agar Napaki Se Durr Rehne Ka Huqm Farmata Hai, To Paak Rehne Aur Paak Karne Ke Tarike Bhi Bataata Hai. Agar Ye ISLAM Baron Ki Ta’azim Karne Ka Huqm Farmaata Hai, ─≽To Chhoton Par Shafkat Karne Ke Tarike Bhi Bataata Hai. Yahi ISLAM Agar Huqooqullah Ki Ta’alim Deta Hai,To Huqooqul-Ebaad Aur Sila Rehmi Karne Ka Bhi Sabak Deta Hai. ─≽Yahi ISLAM Agar DEEN-E-ISLAM Elan-E-Haque Ki Khaatir Jehaad Karne Aur Talwar Chalaane Ka Huqm Farmata Hai, To Yatimon-Garibon-Bewaaon Ke Saath Shafkat Aur Narmi Karne Ki Ta’alim Bhi Deta Hai.. |
Share on
0 Comments